Results 1 to 2 of 2

Thread: PoetrySMS07 (60 SMSs)

  1. #1
    shahid786imran is offline Member
    Last Online
    7th February 2018 @ 06:27 PM
    Join Date
    06 Apr 2009
    Location
    Pakistan, Gujrat
    Age
    37
    Posts
    431
    Threads
    80
    Thanked
    17

    Default PoetrySMS07 (60 SMSs)

    Sang Mar-Mar Se Tarasha Hua Dil Kash Pekar Mera
    Beghwan Hai ye Tum se Kaha Kis Ne
    Sirf Is Liye BUT se Aqeedat Hai Mujhe
    Tarashay Janay me Bohat Dard Saha Hai Us ne
    ----------
    Aaj Darichay me Wo Aana Bhool Gaya
    Main B Apna Diya Jalana Bhool Gaya
    Aaj Mujhe B Us Ki Yaad Nahi Aayi
    Wo B Mere Khawab Me Aana Bhool Gaya
    Khat Likha Hai Lekin Khat K Konay Per
    Wo Apni Aankh Ka Aansoo Mitana Bhool Gaya
    ----------
    …MAA…
    Aesa Chatna Shajer Hai
    Jiska Saya Ghora Andhera
    Jiska Mausam Sirf Sawera
    Jiski Shaken Chain Basera
    Ji Karta Hai Ur K Jaon
    Uski Kokh Me Bhar Bhar Jaon
    Wo Ji Jaye Main Mar Jaon
    Lekin Maa, Meri Payari Maa
    Tujhe Kaha se Laon……..
    ----------
    main ne faslon ko mitaya wo judai ker gaya
    kitna masoom tha lekin bewafai ker gaya
    wo sikha gaya kisi pe etibaar na kerna
    itni burai ker ke ek achaiii ker gayaa
    ----------
    Miti meri kabar se chura raha hai koi
    Mar kar bhi mujhe yaad aa rha hay koi
    Ae KHUDA ek pal ki zindagi mujhe aur de
    Mayoos meri kabar se jaa raha hai koi
    ----------
    Anmol aankhon mein jo tehreerain thein
    Honton pe wo bol na thay
    hum thay us k pyar k ashiq
    Bas hathon mein kashkol na thay
    hum ne us ko toot k chaha ye us ka haq tha lekin
    wo b hum ko toot k chahay hum itne b anmol na thay
    ----------
    Kahi Ruton se Mere Neem-o-dar Darichon me
    Theher Chuka hai Tere Intezar ka Mausam
    Rafaqton ki nai Rut Khush nama hai Mager
    Guzar Chuka ha Tere Itebar ka Mausam
    ----------
    Itna hi Yaad Rakhna Mujhe
    Jesay Kisi Kitab me
    Bitay Dinon k Doost ka
    Ik Khat Para hua Milay
    Lafz Mitay Mitay Sahi
    Rang Ura Ura sa ho
    Lekin wo Ajnabi na ho
    ----------
    Ek Naam kya Likha Tera Sahil ki Rait per
    Phir Umar Bhar Hawa se Meri Dushmani Rahi
    ----------
    Bari Koshish k Baad usay Bhula Diya
    Us ki Yadon ko Sinay se Mita Diya
    Aak Din Phir uska Pigham Aaya
    MUJHE BHOOL JAO
    or Mujhe Bhula hua Har Lamha Yaad Dila Diya
    ----------
    tum ho meer jafar meer sadiq,he muj pe ilzam laga
    sabit hua k men rah ishq o masti ka salik hoon
    ----------
    Saudaa garon ke sheher me ab kes pe ittebaar
    Aek chehre ke peche jaane ketne chehray hain
    ----------
    Hum ko un se hai wafa ko umaid
    Jo nahi jaante wafa keya hai
    ----------
    TUM KHUSH KALAM AESE HO K TUMHARE PAS HAMEN
    TAWEEL REHNA BHI LAGTA HAI MUKHTASAR REHNA
    ----------
    Barishon k Mausam me
    Usay Yaad Karnay ki
    Aadten Purani Hain
    Ab k Baar Scha Hai
    Aadyen Badal den
    Phir Khayal Aata Hai
    Aadten Badalnay se
    Barshen nahi Ruktein
    ----------
    Kabhi Jab Yaad Ayen to
    ik Muskaan ka Sadqa
    Hamaray Naam ker Dena
    Bus ik Khamosh Sa Jazba
    Dua ki Mang me
    Bhar kar
    Hume Arsaal ker Dena
    Hume Tum Yaad ker Lena
    ----------
    Dua to Na-Janay Kaun si The Zahen me Nahi
    Bus itna Yaad Hai
    Do Hatheliyan mili hui Thee
    in me ik meri the or ik Tumhari
    ----------
    Sub Puchtay Hain k Tum ne Shayari Q Chor Di
    Mudaton se Kuch na Likha
    Kesay Keh Don Main k
    Ab Dukh Lafzon me Biyan Nahi Hotay
    ----------
    Un ki chahat me hum zamana bhool gay
    Un K baad kisi ko apnana bhool gay
    Un sy mohabat hai bataya sary zamany ko
    Bas yehi ek baat unhaein batana bhool gy
    ----------
    Chale gaye hain kuch pal ke liye
    magar kareeb hain har pal ke liye
    kaise bhulayenge aapko ek pal ke liye
    jab ho chuki hai dosti har pal ke liye
    ----------
    Mausam Ka Aitabar Zayada Nahi Kiya
    So Hum Ne Us Se Pyar Zayada Nahi Kiya
    Kuch To FARAZ Humne Palatnay Me Dair Ki
    Or Kuch Us Ne B Intizar Zayada Nahi Kiya
    ----------
    Tabeeb Miltay Hain Per Dawa Nahi Milti
    Dawa Ager Milti Hai To Shafa Nahi Milti
    Main Saari Duniya Dhoond Aaya
    Husan Walay To Miltay Hain Mager Wafa Nahi Mailti
    ----------
    Main Us K Hathon Me Tha Tute Hue Sheeshe Ki Tarha
    Bari Umeed Thi K Bikhrne Nahi Dega
    Bus Giraya Kuch Is Ada Se K
    Simatne Ki Aas Hi Na Rahi
    ----------
    Ye jo Likhta Phirta hy Daro-o-dewar per maira naam
    Bikhair na dy mujy Harf harf ker k
    ----------
    Aisi Tareekian Ankhoo ma basi ha k Faraz
    Raat tu Raat ham din ko b Jalatay ha Chiraag
    ----------
    Ungllian aj b iss soch ma Ghun hay Faraz
    Us ny kaisy naye haath ko Thama ho ga
    ----------
    Hamary baad na aye ga tumain Chahat ka aisa maza
    Tum kehty phiro gy logo sy mujy Chaho uss ki tara
    ----------
    kabi na Tootny wala Shajer Ban jao Faraz
    wo mairi Zaat ma rehny ka Faisla tu kary
    ----------
    Kitny Ansoo hai abi dill k Samander mein
    Chashm-e-girea nay mairy ISHQ ko samja kia hay
    ----------
    Bikher rahy ha mairi zindagi k tamam warq
    Najany kab koi Andhi Ura ker ly jaiye
    main kab tk Dhoosroo k dukh Sanmball ker rkhoo Faraz
    jis jis k hai wo Nishani bata ker lay jaiye
    ----------
    Aankhein masroof ho jati hain bhula detay hain log
    Door bohat door ja nikltay hain manzilein ganwa detay hain log
    Dast-e-talab utha k maangtay hain mohabbat Khuda se
    Jo ho dastras mein to khud hi ganwa detay hain log
    ----------
    Mere haathon k tarashay huway pathar k sanam
    Aaj but Khanay mein bagwaan banay bethe hain
    ----------
    ye khabar na thee hum ko daar ke qareeb aakar
    hum khayaal logon ne hum zabaan nahee rehna
    ----------
    Ek safeena hai teri yaad agar
    Ek samandar hai meri tanhayee
    ----------
    Kia Kia na kia tere liye
    Zakham pe zakham khae tere liye
    Her Zakham bhool jaoon ga mager kaisy bhool paon ga yeh
    Main jeeon tere liye too zinda rahe kisi aor k leye
    ----------
    Mujh se bichra tha woh pehle bhi magar
    Ab ke yeh zakham naya ho jaise
    Yun to bohat hans ke mila tha magar
    Dil he dil main khafa ho jaise
    ----------
    Socha Tha Iss Kadar Un Ko Bhool Jaen Gay
    Dekh Kar Bhi Un Dekha Kar Jaen Gay
    Par Jab Jab Samne Aaya Un Ka Chehra
    Socha Iss Bar Dekh Lain Agli Bar Bhool Jaen Gay
    ----------
    kitne bedard hain zindan k nigehban muhsin
    ankh lagti he tu zanjeer hila detey hain
    ----------
    Rahe ga peyaar tere saath zindagi ban kar
    ye or baat hai meri zindagee wafa na kare
    ----------
    Sach mein to mumken nahi jhoot se hi yaad kar liya hota
    sach kehna to mushkil tha jhoot se hi iqraar kar diya hota
    ----------
    khubian itni to nai hum main
    k tumhein kabi yaad ayiengay
    per itna aitbar hai hamain khud per
    k aap hamain kabhi bhol nahi paen gay
    ----------
    Waqt ki aanch per pathar bhi pighal jatay hai
    Qahqahay toot ker ashko may badal jatay hai
    Zindagi bhar koi kisi ka sath nahi deta
    Waqt kay sath khialat badal jatay hai
    ----------
    Ek Ghazal wo bhe sunaye to maza aye ga
    Khuch aanso wo bhe bahaye to maza aye ga
    Keh do sabhi se meray gham bahut ghahray hain
    agar marham wo lagaye ga to maza aye ga
    sun k mera gham wo bahut roye ga
    aj phir wo mehfil main aye to maza aye ga
    nafrat he sahi koi rishta to ha qayim
    wo dushmani he nibhaye to maza aye ga
    ----------
    Jab dolatee hai, jeewan kee naiyyaa
    Koee to ban jaataa hain khiwayyaa
    Koee kinaare pe hee doob jaataa hai
    ----------
    Alug reh ker judai ka qareena aa gia hum ko
    Tasawer chand ratoon ka hamaray sath rehta ha
    hum nay to chaha hai ibadat ke tarah os ko
    Taqaddas os k sajdon ka hamaray sath rehta hai
    ----------
    Kisi k dil mein basna bura to nahin
    Kisi ko dil mein basana koi khata to nahin
    Guna hai ye zamanay ki nazar mein to kya huwa
    Zamanay wale koi Khuda to nahin
    ----------
    Ye dua hai teri zindagi sanwar jaye
    Har nazar mein bas pyar nazar aaye
    Tujhe jis khushi ki talash hay
    Khuda kare wo khushi khud teri talash mein chali aaye
    ----------
    ham Dua Likhta raha wo Dagha Samjta rahe
    Ik Nukhta ne Mehram sa Mujrim bana diya
    ----------
    Tu ne ye na kaha k main kashti par bhoj huun
    ab ankhon ko yun na dhanp muja dubta hua b dekh la
    ----------
    raat bari Mushkil sa sulaya ha khud ko amin ne
    Apni ankhon ko tere khawabo ka laluch da kar
    ----------
    Tumhein lakhon ki bheer mein pehchanta hai koi
    Din Raat Khuda se teri khushian mangta hai koi
    Tum khud se waqif nahin ho ge itna
    Tumhein tum se ziada janta hai koi
    ----------
    ROSHANI HAI KION TERE GHAR TOO NE YEH SOCHA KABHI
    DIL JALATE HAIN HUM KEH TERI KOI SHAAM UDDAS NAH HO
    ----------
    ANNAD MUJHE TUJH SE NAHI TERI JAFAON SE HAI
    AHL-E-ZARF HAIN HUM MUJRIM SE NAFRAT NAHI KARTE
    ----------
    Ujala teri yadon ka hamaray sath rehta hai
    Khazana teri baton ka hamaeray sath rehta hai
    Bazahr kali raaton k musafir hum sahee laikn
    Nizara teri shamon ka hamaray sath rehta hai
    musalsal faslon mai bhe kuch aisa majra deikha
    ishara teri ankhon ka hamray sath rehta hai
    ----------
    Mera os sheheir-e-adawat mai basaira ha
    jahan Log sajdown mai bhe logon ka bura chahtay hain
    ----------
    piyara sa hehsas ho tum
    her pal mairy pass ho tum
    ----------
    kisi i ki kya majal thi jo koi Hum ko kharid sakta Faraz
    Hum to kudh hi Bik gaey
    kharidar dekh k
    ----------
    kis qadar ahsas hai fitrat ko maray dard ka
    jagtay rehtay hain taray raat bher maray liyay
    ----------
    Seerat na ho to aarz o rukhsaar sub ghalat
    Khushboo oree to phool faqat rung reh gayaa
    ----------
    Zarori to nahee labon se kehdon dastaan apni
    Zabaan ek ovr bhi hoti hai izhaare tammanna ke lye
    ----------

  2. #2
    Aasi_786's Avatar
    Aasi_786 is offline Advance Member
    Last Online
    2nd February 2024 @ 10:00 PM
    Join Date
    14 Jan 2008
    Location
    Islamabad
    Posts
    19,001
    Threads
    2012
    Credits
    1,386
    Thanked
    1109

    Default

    Very nice work

Similar Threads

  1. PoetrySMS10 (60 SMSs)
    By shahid786imran in forum SMS/MMS/EMS/SMSc
    Replies: 9
    Last Post: 22nd February 2020, 05:39 AM
  2. PoetrySMS09,19 (60 SMSs)
    By shahid786imran in forum SMS/MMS/EMS/SMSc
    Replies: 7
    Last Post: 2nd September 2011, 07:48 PM
  3. PoetrySMS10 (60 SMSs)
    By shahid786imran in forum SMS/MMS/EMS/SMSc
    Replies: 1
    Last Post: 5th December 2009, 09:44 PM
  4. PoetrySMS11 (60 SMSs)
    By shahid786imran in forum SMS/MMS/EMS/SMSc
    Replies: 1
    Last Post: 3rd December 2009, 05:48 PM
  5. New SMSs
    By shahid786imran in forum General Discussion
    Replies: 3
    Last Post: 14th May 2009, 04:02 PM

Tags for this Thread

Bookmarks

Posting Permissions

  • You may not post new threads
  • You may not post replies
  • You may not post attachments
  • You may not edit your posts
  •