Pyar Se Pyari Koi Majburi Nahi Hoti,
Kami Apno Ki Kabhi Puri Nahi Hoti,
Dilon Ka Juda Hona Ek Alag Baat Hai,
Nazron Se Dur Hona Koi Duri Nahi Hoti
----------
hansi agai unki berukhi par
barabar se guzre daaman bachae
----------
Pochty hyn wo mujh say k ghalib kon hai
Koi batlaye k hum batlaen kia
----------
Baad Marne K Mere Tum Jo Kahani Likhna,
Kaise Barbaad Hui Meri Jawani Likhna.
Yeh Bhi Likhna K Mere Hoont Hansi Ko Tarse,
Umer Bhar Ankh Se Behta Raha Pani Likhna.
----------
Parastish ki Tamana hay magar Hai re majboori SANAM
jiss se Trasha jaye wo pathar nahi Milta
----------
Chehron Mein Aik Chehra Khojne Ki Adat Hai,
Mujhko Bheer Me Beth Kar Sochne Ki Adat Hai,
Gila Ho Bhi to kya unse Sitam Gari ka K jinhain
Phool Shakhon Se Nochane ki Adat Hai,
----------
agar ansu baha daita to us k pass kia rahta
wo mujh ko hosla daita to us k pass kia rahta
nishan mujh ko nahi milta koi us tak pahunchnay ka
mujhay apna pata deta to us ke pas kia rehta
musafir saray hi phal kha k apni rah chal detay
shajar tahni jhoka daita to us k pas kia rahta
mairi hi yadoon nay usay abad rakha hai
wo mujh ko bhi bhola daita to us k pas kia rahta
----------
har aahat par teri talash hai,
dur ho ker bhi tu mere pass hai,
na yaad karo itna k hamara dil humse pooche,
k yaar DHARKAN kis k pass hai.......
----------
GHAIR KO DARD SUNANE KI ZAROORAT KIYA THI,
APNE JHAGRE MEIN ZAMANE KI ZAROORAT KIYA THI,
TUM MITTA SAKTE NAHI DIL SE MERA NAAM KABHI,
PHIR KITABON SE MITANE KI ZAROORAT KIYA THI.
----------
Wo Ishq Jo Hum Tum Say Kiya Karty Thay,
Wo Ishq To Zinda Aj Bhi Hay,
Tum Door Huay Majboori Me,
Hum Toot Gay Is Doori Me,
Kabi Waqt Millay To Aa Jana,
Khula Dil Ka Dareecha Aaj Bhi Hay,
----------
ye kesi kasak ha jo bayan bhi nahi hoti
wo dard ko ashkon se bhi dhona nahi deta
hai zulm k harjai bhi kehta ha wo hum ko
or uski wazahat bhi hone nahi deta
ye kesi mohabbat hai samaj me nahi aye
milta bhi nahi khud ko bhi khone nahi deta
mera bhi nahi banta kisi tor wo lekin
wo muj ko kisi or ka hone bhi nahi deta
wo muj me samane se gurezan bhi ha mohsin
or beej judai ka bhi bone nahi deta
----------
HAR MULAQAT PE MEHSOOS YE HOTA HAI,
MUJH SE KUCH TERI NAZAR POOCH RAHI HO JAISAY,
RAH CHALTAY HOVY AKSAR YE GUMAN HOTA HAI,
VO NAZAR CHUP K MUJHAY DEKH RAHI HO JAISY
----------
EK SERSARI SE NAZER WO MUJH PE BHI DALDAY
AE RAB-E-ZULJALAL USAY ITNA KHAYAL DAY
ESA BHI KYA UROOJ K WO MIL HE NA SAKAY
WO HO SAKAY MERA USAY ITNA ZAWAL DAY
----------
Teri wafa wafa janu,
Meri mohabbat kuch bhi nahi,
Tera dard dard thera,
Mera zakham kuch bhi nahi,
Tumhari bat pathar ki lakeer,
Meri iltaja kuch bhi nahi,
Tujh me anaa samundar jaisi,
To mera maan kuch bi nahi
Tera gham gham thera,
Aur mery aansu kuch bhi nahi
Tera wajood sub kuch jana,
Meri hasti kuch bhi nahi
----------
badalti ratoon se ghabra ker
ansoon se tang aa ker
ik roz main ne apne saray dukh
apney kamary ki dewaaroon se keh dalay
ab main sota rehta hoon dewarain roti rehti hain
----------
woh is andaz ki mujh se mohabat chahta hai,
keh meray her khowab par apni hakumat chahta hai,
woh kehta hai keh main uss ki zarorat bun chuki hoon,
to goya woh mujhay hasb-e-zarorat chahta hai
----------
Tamanna Dard E Dil Ki Ho To Khidmat Kr Fakeeron Ki....,

Nahe Milta Ye Goher Badshahon K Khazeenon Me....!
----------
ager talash karon koi to mil hi jaye ga,
mager kon tumhari tarah se mujh ko chahye ga,
tumheen zaror koi chahatoon se dekhey ga,
mager woh aankheen humari kahan se laye ga.
----------
wo muh se besabab uljha nhi tha
wo pehle tou kabhi aisa nhi tha
bohot aala tha us ka zarf lekin
wo meri zaat ko samjha nhi tha
wo jitni berukhi se chal dia tha
main itna bhi gya guzra nhi tha
usay mein kion bura thehraon yaroo
wo acha tha faqat mera nhi tha!!
----------
dil bhi pagal hai us shakhs say wa basta hai faraz
jo na apna rakhay na kisi or ka honey de
----------
zara si zindagi he armaan bohat hain
hamdard nhi koi insaaan bohat hain
dil k dard sunaien tu sunain kise
jo dil k qareeeb hain anjaan bohat hain
----------
chamen ko sajaey bohat din huwe
tumhein pass bulaey bohat din huwe
kici din achanak chale aao tum
humaein muskuraey bohat din huwe
----------
Waqt ki aankh se dekho to yeh bahut puraanii lagti hai
Teray meray ishq ki baat ab faqt kahani lagti hai
Ban ke lahu takhleeq mirii kii ragh ragh men woh behti hai
Larki jo naadaan kabhii ,kabhii bahut siyaanii lagti ha
----------
Tum kia jano sharab kesa pilai jaati hai
kholnay sa pheley bottel hilai jaati hai
phir awaz lagai jaati hai ajao Dard-e-Dil walo
yahan Dard-e-Dil ki dawa pilai jaati hai
----------
Jis Par Hamari Aankhne
Moti Bichhaye Raat Bhar
Bheja Wahin Kagaz Use
Humne Likha Kuch Bhi Nahi
----------
Dekha Tujhe Chaha Tujhe
Socha Tujhe Pooja Tujhe
Meri Wafa Meri Khata
Teri Khata Kuch Bhi Nahi
----------
Socha Nahi Achha Bura
Dekha Suna Kuch Bhi Nahi
Manga Khuda Se Har WaQt
Tere Siwa Kuch Bhi Nahi
----------
Tere bichadne se hum har dam kahin kho gaye hai
ab dino ko yaad karke hum chupke se ro lete hai
----------
har dam karoun yad tujha duaoun ma
sada khush raho pyar ki chaoun ma
izzat ho teri sari duniya ki nigahoun ma
koi gham na mila tujha zindagi ki rahoun ma
(AMEEN)
----------
Dil jo toot gaya tu sawal karoge tum
hum na rahe tu yaad karoge tum
aaj tu kehtey ho waqat nahi
lekin ek din mere liye waqat se faryad karo ge tum
----------
mat khol mere dil k udaas darwazay
haw ka shor meri uljhanay barha de ga
mein khoob waqif hoon apnay tabeeb ki fitrat se
wo jab de ga dard to rula de ga
----------
Tum kia jano sharab kesa pilai jaati hai
kholnay sa pheley bottel hilai jaati hai
phir awaz lagai jaati hai ajao Dard-e-Dil walo
yahan Dard-e-Dil ki dawa pilai jaati hai
----------
furkate gham ki mehfil mai ek shakhs tanha sa hai
karwaa to bohot hai magar mere karwaa mai koi naam kal ka sa hai
majlis mai ghazal kehne ka salika na aaya unko
majlis mai sab ka sher mujh se halka sa hai
----------
Tere aane ki ass pr Zinda hon ab tak
Ab tujhe dekhne ki hasrat k siva kuch nhi
Tasvir teri ankho me utr gai is trah
Nazar kahi b jaye teri surat k siva kuch nhi
Subah se sham tk teri Rah takta hon
Ab mere pas teri yaad k siva kuch nhi
----------
"Suno"
Bohat he maan hai tum par
suno paas-e-wafa rakhna
sabi se tum milo lekin
zara sa faasla rakhna
wo saray wal k lamhein
tum ankhon mein saja kar rakhna
abi imkaan baqi hai
abi lab par dua rakhna
buhat nayab hun dekho
mujy sbse juda rakhna
----------
Neendain meri ankhon sy chorata hay wohi shaks
So jaon tu khabon main bhi ata hay wohi shaks
----------
kyun GAREEB samjhte hein hamen ye jahan wale
hazaar dard ki dolat se maala maal hein hum
----------
yaad-e-mehboob main zinda hon wara khudaya.

koon jeeta hae teri dunya main tamasha bun kar.
----------
nahi at hamian ooron ki tarah badal jana,
har rut main tujhy yaad karty hain,
na samait pao gy jisy qyamat tak,
kasam tmhari tmhain itna pyar krty hain.
----------
Mohabbat mosamon ki qed se aazad hoti he
suno sooraj nikalne ka koi mosam nahi hota
----------
ajaey kisi din tu aisa bhi nahi lagta.
lekin wo tera waada jhotha bhi nahi lagta
----------
teri chahat se mujhay inkar to nahi magar
kia karon aik shakhs mera aitbar toor gaya
----------
mery wajood mein tu is tarhan utar jai
mein dekhoon aina aur tu nazar aey
----------
nahi fursat kuch our karnay ki humain
teri yadain teri batain bohat masroof rakhti hain
----------
aaja k abhi zabbt ka musam nahi guzra,
aaja k paharoon pay abhi barf jami hai,
khushbu k jazeroon say sitaroon ki hadoon tak,
is shehar mein sab kuch hai bus ik teri kami hai
----------
Apne ehsas k sub rand uttar jane do,
Meri umeed mere khowab bikhar jane do.
Apne aangan mein charagho ko jlao na abhi,
Mere aangan mein Siyah raat uttar jane do.
----------
kisi say baat karna bolna acha nahin laghta
tumhein dekha hai jab say doosra acha nahin lagta
teary baray mein din bhar sochta rehta hoon mein lekin
teray baray mein sab say pochna acha nahin lagta
----------
Teri Ibtada koi or hai.....
Tari inteha koi or hai.....
Teri bath hum sey hoi to kia......
Tara mudda'a Koi or hai....
Humein Shoq tha bari dair se k teray Sharik-e-safer banein....
Teray sath chal k khabar hoi tera rasta koi or hai.....
Tujhe fikar hai k badal dia mujhe gardish-e-shab-o-roz ne.....
Kabhi khud se bhi too sawal kar tu wohi hai ya koi hoor hai....
----------
Us ne tora wo taluq jo meri zat se tha...
Us ko runj na jane meri kis bat se tha...

La taluq raha logon ki tarah wo bhi...
Jo achi tarah waqif merey halaat se tha...
----------
kash khushyoon ki koi dukaan hoti
aor mujhe us ki pehchaan hoti

main khareed lata tere liye wo saari khushyaan
chahay un ki qeemat meri jaan hoti
----------
mang kabhi ulfat mai jan humse
hum teri kisi bat ko tala nahi kertey
tasdeeq jo kerni ho ajao kisi shab
hum terey bina gher mai ujala nahi kertey
----------
zindagi Ahsan ho zindagi say wafa karta hoon
sayed yahi waja hai Ahsan say pahlay zindagi likha karta hoon
----------
Wo mujh se besabab uljha nahi tha
wo pehley to kabhi aisa nahi tha
bohat ala tha uska zarf lakin
wo meri zaat ko samjha nahi tha
wo jitni berukhi se chal dia tha
mai itna bhi gaya guzra nahi tha
Usey mai q bura theraon yaron
wo acha tha faqat mera nahi tha
----------