Results 1 to 9 of 9

Thread: Os Zaat k naam main khod jis ka aik Hissa hoon

  1. #1
    arabiantheme is offline Junior Member
    Last Online
    14th September 2015 @ 06:32 PM
    Join Date
    10 Sep 2009
    Location
    Multan
    Posts
    26
    Threads
    6
    Credits
    980
    Thanked
    4

    Default Os Zaat k naam main khod jis ka aik Hissa hoon

    Khuda ne donon alam jub banaye
    anokhe her taraf jalwey dikhaye
    zameen-o-Aasmaan is main basaye
    falak per kehkashan, tarey sajaye
    chaman main nit naye sabzay ugaye
    Khuda ne donon alam jub banaye

    Bana ker us ne phir ru-e-zamein per
    janab-e-hazrat-e-insaan ko bheja
    khuda ka jis main sub ne aks dekha
    jahan main khushbuon ko phir bakhera
    andhera aur kahein roshan sawera !
    gharaz her shey ko jub us ne bana ker
    hamarey wastey duniya saja ker
    khud apni ghour se takhleeq dekhi
    phir us ne ek nai tasweer khenchi

    woh aisi soch wala shaan wala
    jahan main sub se ounchi aan wala
    na mit pai jub us ki tashnagi phir
    kahein mahsoos kerli ek kami phir
    to Us ne chader-e-rahmat ko bun ker
    hazaron chahaton ke phool chun ker
    gulon se shabnam-e-pakeeza le ker
    dhanak ke khubsurat rung de ker
    mohobat ke samander ko sameta
    duaon ka khazana is main bher ker
    taqaddus se hasein chehra banaya
    ke jis ke her taraf ek noor chaya
    ke jis ki ankhon main ansoo bhare they
    ke jis ki palkhon pe sapney sajey they
    umeed-e-subh-e-roshan ki chamak thi
    sitaron or charaghon ki damak thi
    ke jis k honton pe larzan kahein per
    yaqeenan us samey koi sada thee
    bohat masoom si koi dua thee

    khuda ne lamhey bher ko phir se soucha!
    aur apni is anokhi shey ko dekha
    bohat hi naik pal aur sa-aton se
    zameen-o-Aasmaan ki vus-aton se
    naye jazbon, anokhi chahaton se
    hazaron naimaton aur rahmaton se
    nai takhleeq ke seenay main us ne
    umangon se bhara ek dil banaya
    farishton ne bayak awaz mil ker
    mohobat ka anokha geet gaya
    khuda bhi dosto phir muskuraya

    dar-e-khursheed se pehli kiran li!
    aur us main chand ki thandak bhi rakh di
    phir us ne hosley,himmat bhi de ker
    khuloos-o-rahmat-o-rahat bhi de ker
    ebadat,barkat-o-azmat bhi de ker
    mohobat,dard aur khidmat bhi de ker
    kai jharnon ke behtey paniyun se
    kai jazbon se aur qurbanion se
    gharaz her rung se amaiz ker ke
    her ek dolut se yun labraiz ker ke
    bana ker jab sarapa yeh sajaya
    aur ek alam ko jub us ne dekhaya
    sub hi ne maan li us ki khudai
    khuda ko apni ye takhleeq bhai
    karam ki dil main phir chadar bichai
    aur us main her taraf mamta sajai
    phir un qadmon main ek jannat basai
    khuda ne tab kahein ek MAAN banai

    khuda ne tab kahein ek MAA banai

    I Love to My Mother
    [/SIZE][/SIZE]

  2. #2
    muzafarmohsin is offline Advance Member
    Last Online
    20th September 2019 @ 04:41 PM
    Join Date
    03 Jul 2006
    Posts
    5,561
    Threads
    731
    Credits
    78
    Thanked
    134

    Default

    very nice............

  3. #3
    mhashmat1967 is offline Advance Member
    Last Online
    11th April 2023 @ 11:50 AM
    Join Date
    27 Jul 2009
    Age
    56
    Posts
    2,049
    Threads
    26
    Credits
    3,520
    Thanked
    70

    Default

    Jazakallah.

  4. #4
    Aasi_786's Avatar
    Aasi_786 is offline Advance Member
    Last Online
    2nd February 2024 @ 10:00 PM
    Join Date
    14 Jan 2008
    Location
    Islamabad
    Posts
    19,001
    Threads
    2012
    Credits
    1,386
    Thanked
    1109

    Default

    Thanksss for Sharrring ...!!

  5. #5
    mhafeez is offline Member
    Last Online
    9th June 2010 @ 01:40 PM
    Join Date
    30 Aug 2009
    Location
    *~Aawaara Baadlou'n main~*
    Posts
    3,778
    Threads
    287
    Thanked
    239

    Default

    Masha Allah bahut ziyadah working ki hai apne to dear...
    zabardast sharing ke liye shukriya.......**

  6. #6
    arabiantheme is offline Junior Member
    Last Online
    14th September 2015 @ 06:32 PM
    Join Date
    10 Sep 2009
    Location
    Multan
    Posts
    26
    Threads
    6
    Credits
    980
    Thanked
    4

    Default

    thanks for appreciate

  7. #7
    Nahid's Avatar
    Nahid is offline Senior Member+
    Last Online
    22nd June 2013 @ 12:02 PM
    Join Date
    06 Aug 2009
    Location
    ALLAH ki panha main
    Gender
    Female
    Posts
    12,059
    Threads
    905
    Credits
    960
    Thanked
    2774

    Default

    nice sharing...thank you

  8. #8
    ^NajanyQ^'s Avatar
    ^NajanyQ^ is offline Advance Member
    Last Online
    5th January 2021 @ 10:37 AM
    Join Date
    23 Mar 2009
    Location
    ھزارہ
    Age
    32
    Gender
    Male
    Posts
    13,306
    Threads
    439
    Credits
    995
    Thanked
    701

    Default

    Jazak Allah
    nice sharing

  9. #9
    Gr8^Masood's Avatar
    Gr8^Masood is offline Senior Member+
    Last Online
    18th September 2013 @ 10:50 AM
    Join Date
    23 Jul 2009
    Location
    Khi
    Age
    39
    Gender
    Male
    Posts
    42,351
    Threads
    1398
    Credits
    970
    Thanked
    2855

    Default


    اسلام علیکم
    بہت خوب .... عمدہ انتخاب
    امید ہے آپ اُردو ادب کے بزم
    کو اسی طرح اچھے اور
    معیاری اشعار سے سجاتے رہینگے
    شکریہ
    محسود

Similar Threads

  1. Main Apna Aaj Apna Kal Tumhare Naam Karta Hoon
    By husen in forum Urdu Adab & Shayeri
    Replies: 13
    Last Post: 2nd January 2014, 11:31 AM
  2. Main apna aaj aur kal Tumharay naam kerta hoon
    By A.A.Yasir in forum Urdu Adab & Shayeri
    Replies: 14
    Last Post: 20th June 2012, 03:50 PM
  3. Replies: 2
    Last Post: 27th February 2012, 04:08 AM
  4. -=<<Main Jesa Bhi Hoon Acha Bura Apney Liye Hoon>>=-
    By IT.BOY in forum Urdu Adab & Shayeri
    Replies: 28
    Last Post: 22nd February 2010, 08:41 PM
  5. Teeraa Naam Hissa Haa Duaa Kaa...
    By muzafarmohsin in forum Urdu Adab & Shayeri
    Replies: 11
    Last Post: 3rd October 2009, 12:04 PM

Bookmarks

Posting Permissions

  • You may not post new threads
  • You may not post replies
  • You may not post attachments
  • You may not edit your posts
  •