Page 1 of 2 12 LastLast
Results 1 to 12 of 16

Thread: Best of AHMAD FARAZ

  1. #1
    Chandamalik's Avatar
    Chandamalik is offline Senior Member+
    Last Online
    20th July 2014 @ 11:18 PM
    Join Date
    22 Oct 2006
    Location
    Mansehra
    Posts
    670
    Threads
    206
    Credits
    0
    Thanked
    148

    Thumbs up Best of AHMAD FARAZ

    Suna hai log use aankh bhar ke dekhte hain
    so us ke shahar main kuch din Thahar ke dekhte hain

    Suna hai rabt hai us ko Kharaab halon se
    so apane aap ko barbaad karake dekhate hain

    Suna hai dard ki gaahak hai chashm-e-naazuk us ki
    so hum bhi us ki gali se guzar kar dekhate hain

    Suna hai us ko bhi hai sher-o-shayari se shagaf
    so hum bhi mojaze apane hunar ke dekhate hain

    Suna hai bole to baatoun se phuul jhaartay hain
    ye baat hai to chalo baat kar ke dekhate hain

    Suna hai raat use chaand takataa rahataa hai
    sitaare baam-e-falak se utar kar dekhate hain

    Suna hai hashr hain us kii Gazaal si aankhein
    Suna hai us ko hiran dasht bhar ke dekhate hain

    Suna hai din ko use titaliyaan sataati hain
    Suna hai raat ko jugnuu Thahar ke dekhate hain

    Suna hai raat se barr kar hain kaakulein us ki
    Suna hai shaam ko saaye guzar ke dekhate hain

    Suna hai us ki siyaah chashmagi qayaamat hai
    so us ko surmaafarosh aankh bhar ke dekhate hain

    Suna hai us ke laboun se gulaab jalate hain
    so ham bahaar par ilzaam dhar ke dekhate hain

    Suna hai aainaa tamasaal hai jabiain us kaa
    jo saadaa dil hain ban saanvar ke dekhate hain

    Suna hai jab se hamaail hain us ki gardan main
    mizaaj aur hi laal-o-gauhar ke dekhate hain

    Suna hai chashm-e-tasawar se dasht-e-imkaan main
    palang zaave us ki kamar ke dekhate hain

    Suna hai us ke badan ke taraash aise hain
    ke phuul apani qabaayen katar ke dekhate hain

    vo sarv-qad hai magar be-gul-e-muraad nahain
    ke us shajar pe shaguufe samar ke dekhate hain

    bas ek nigaah se luTataa hai qaafilaa dil kaa
    so rahain-ravaan-e-tamannaa bhi Dar ke dekhate hain

    Suna hai us ke shabistaan se muttasil hai bahisht
    makeen udhar ke bhi jalve idhar ke dekhate hain

    ruke to gardishein us kaa tawaaf karati hain
    chale to us ko zamaane Thahar ke dekhate hain

    kise naseeb ke be-pairahan use dekhe
    kabhi kabhi dar-o-diivaar ghar ke dekhate hain

    kahaaniyaan hian sahi sab mubaalaGe hi sahi
    agar wo Khvaab hai taabeer kar ke dekhate hain

    ab us ke shahar main Thaharein ki kuuch kar jaayein
    'Faraz' aao sitaare safar ke dekhate hain
    CHANDAMALIK
    ZIDDI

  2. #2
    Chandamalik's Avatar
    Chandamalik is offline Senior Member+
    Last Online
    20th July 2014 @ 11:18 PM
    Join Date
    22 Oct 2006
    Location
    Mansehra
    Posts
    670
    Threads
    206
    Credits
    0
    Thanked
    148

    Default

    Uss se milnay ko kbi hm jo machal jatay hain
    To khayalo mai bohat door nikal jatay hain

    Gar wafaon mai sadaakat b ho shidat b
    Phir to ihsaas se pather b pigal jatay hain

    Us ki ankhon k nashay mai hun jb se dooba
    Larkharatay hain kadam aur sanmbhal jatay hain

    Bewafai ka muje jab b khayal aata hai
    Ashk rukhsar pe aankhon se phisal jatay hain

    Pyar mai aik hi mosam hai baharon ka FARAZ
    Log mosam ki tarah kaisay badal jatay hain...

  3. #3
    Chandamalik's Avatar
    Chandamalik is offline Senior Member+
    Last Online
    20th July 2014 @ 11:18 PM
    Join Date
    22 Oct 2006
    Location
    Mansehra
    Posts
    670
    Threads
    206
    Credits
    0
    Thanked
    148

    Default

    Tum ko aata hi nahin shikwa shikayat karma

    Meri mano tum kisi say na mohabat karma

    Abh kay bikhra to mushkil say samaito gai mujhay

    Phir na aisi mujh say shararat karma

    Zulm sahnay say haalat nahin badlain gai kabhi

    Abh zarori hai ameer-e-shehr say baghawat karma

    Zuban jo kholi to uljhain gai zamanay walay

    Chup rehna izhaar kin a himmat karma

    Tum nay daikhay meri ghar ki udasi ko Faraz

    Ho sakay to kisi sham zara zehmat karma

  4. #4
    Chandamalik's Avatar
    Chandamalik is offline Senior Member+
    Last Online
    20th July 2014 @ 11:18 PM
    Join Date
    22 Oct 2006
    Location
    Mansehra
    Posts
    670
    Threads
    206
    Credits
    0
    Thanked
    148

    Default

    is se pahale ke bevafa ho jayain
    kyon na ai dost ham juda ho jayain

    tu bhi hire se ban gaya patthar
    ham bhi kal kya se kya ho jayain

    ham bhi majaburiyon ka uzr karain
    aur kahin aur mubtala ho jayain

    ishq bhi khel hai nasibon ka
    khak ho jayain kimiya ho jayain

    ab ke gar tu mile to ham tujh se
    aise lipatain teri qaba ho jayain

    bandagi ham ne cho.d di hai 'Faraz'
    kya karain log jab khuda ho jayain

  5. #5
    msamib4u's Avatar
    msamib4u is offline Senior Member+
    Last Online
    7th February 2011 @ 07:42 PM
    Join Date
    02 Jun 2009
    Location
    multan
    Age
    34
    Posts
    4,269
    Threads
    56
    Credits
    945
    Thanked
    439

    Default

    well done brother

    __________________
    Sach Bolna hay ap nay Keyn k Aj aap ko Check kia ja raha hay


  6. #6
    Chandamalik's Avatar
    Chandamalik is offline Senior Member+
    Last Online
    20th July 2014 @ 11:18 PM
    Join Date
    22 Oct 2006
    Location
    Mansehra
    Posts
    670
    Threads
    206
    Credits
    0
    Thanked
    148

    Default

    Mohabbat kar saktey ho tu RAB se karo FARAZ
    Matti k khilonoon se kabhi wafa nehein milti....

  7. #7
    Chandamalik's Avatar
    Chandamalik is offline Senior Member+
    Last Online
    20th July 2014 @ 11:18 PM
    Join Date
    22 Oct 2006
    Location
    Mansehra
    Posts
    670
    Threads
    206
    Credits
    0
    Thanked
    148

    Default

    Mere mola ne mujhe chahatoon ki saltanat de di FARAZ

    Magar woh pehli mohabbat ka khasara hamesha baqi rehta hai.

  8. #8
    Chandamalik's Avatar
    Chandamalik is offline Senior Member+
    Last Online
    20th July 2014 @ 11:18 PM
    Join Date
    22 Oct 2006
    Location
    Mansehra
    Posts
    670
    Threads
    206
    Credits
    0
    Thanked
    148

    Default

    Kisi ko Pasand aye tu Please THANKS per Click kar dain.


    THANKS

  9. #9
    Chandamalik's Avatar
    Chandamalik is offline Senior Member+
    Last Online
    20th July 2014 @ 11:18 PM
    Join Date
    22 Oct 2006
    Location
    Mansehra
    Posts
    670
    Threads
    206
    Credits
    0
    Thanked
    148

    Default

    kuck na kisi se bolain gay
    tanhaii main ro lain gay

    ham bay-rahoon ka kya??
    sath kisi k ho lain gay

    khud to hovay ruswa laikin
    teray baidh na kholain gay

    hijar k shab sonay valay
    hashar ko ankhain kholain gay

    phir koi andhii uthay giii
    punchee jab par tolain gay

    neend to kya aye gii FARAZ
    maut aye to soo lain gay

  10. #10
    Chandamalik's Avatar
    Chandamalik is offline Senior Member+
    Last Online
    20th July 2014 @ 11:18 PM
    Join Date
    22 Oct 2006
    Location
    Mansehra
    Posts
    670
    Threads
    206
    Credits
    0
    Thanked
    148

    Default

    اب کے ہم بچھڑے


    اب کے ہم بچھڑے تو شايد کبھي خوابوں ميں مليں
    جس طرح سوکھے ہوئے پھول کتابوں ميں مليں
    ڈھونڈ اجڑے ہوئے لوگوں ميں وفا کے موتي
    يہ خزانے تجھے ممکن ہے خرابوں ميں مليں
    غم دنيا بھي غم يار ميں شامل کر لو
    نشہ برپا ہے شرابيں جو شرابوں ميں مليں
    تو خدا ہے نہ ميرا عشق فرشتوں جيسا
    دونوں انساں ہيں تو کيوں اتنے حجابوں ميں مليں
    آج ہم دار پہ کھينچے گئے جن باتوں پر
    کيا عجب کل وہ زمانے کو نصابوں ميں مليں
    اب نہ وہ ميں ہوں نہ تو ہے نہ وہ ماضي ہے فراز
    جيسے دو سائے تمنا کے سرابوں ميں مليں

  11. #11
    Chandamalik's Avatar
    Chandamalik is offline Senior Member+
    Last Online
    20th July 2014 @ 11:18 PM
    Join Date
    22 Oct 2006
    Location
    Mansehra
    Posts
    670
    Threads
    206
    Credits
    0
    Thanked
    148

    Default

    Kisi ko Pasand aye tu Please THANKS per Click kar dain.


    THANKS

  12. #12
    msamib4u's Avatar
    msamib4u is offline Senior Member+
    Last Online
    7th February 2011 @ 07:42 PM
    Join Date
    02 Jun 2009
    Location
    multan
    Age
    34
    Posts
    4,269
    Threads
    56
    Credits
    945
    Thanked
    439

    Default

    lakin brother is ka section WEBSITE REVEIW keyn hay?
    Urdu Adab And Shairi mein hona chahye thaa is ko to

    Any wy thnx 4 nice work


    __________________

    Sach Bolna hay ap nay Keyn k Aj aap ko Check kia ja raha hay

Page 1 of 2 12 LastLast

Similar Threads

  1. Ahmad faraz
    By piyare786 in forum Roman Urdu Poetry
    Replies: 2
    Last Post: 17th December 2021, 09:56 PM
  2. Ahmad Faraz
    By Zulfiqar Tahir in forum Roman Urdu Poetry
    Replies: 6
    Last Post: 7th January 2020, 03:04 PM
  3. Ahmad faraz
    By ihsangumbat in forum Design Poetry
    Replies: 6
    Last Post: 23rd February 2010, 09:58 PM
  4. ~~ahmad Faraz~~
    By myvoice in forum Urdu Adab & Shayeri
    Replies: 9
    Last Post: 11th October 2009, 08:22 AM
  5. Ahmad Faraz
    By musayyab1 in forum Ask an Expert
    Replies: 4
    Last Post: 24th April 2009, 06:42 PM

Bookmarks

Posting Permissions

  • You may not post new threads
  • You may not post replies
  • You may not post attachments
  • You may not edit your posts
  •