Hoi hai shaam to aankhoon mein bas gayaa phir tu,
kahaan gayaa hai meray shahar ke musaafir tu.
Bohat udaas hai ik shaKhs tere jaane se,
jo ho sake to chalaa aa usii kii Khaatir tu.
Meri misaal ki ik naKhl-e-Khushk-e-saharaa hoon,
Teraa Khayaal ki shaaKh-e-chaman kaa taa_ir tu.
Main jaanataa hoon ke duniyaa tujhe badal degii,
Main maanataa hoon ke aisaa nahein bazaahir tu.
Hansi Khushi se bichhar jaa agar bichharnaa hai,
Ye har maqaam pe kyaa sochataa hai aaKhir tu
'Faraz' tunay usay mushkiloon mein Daal diyaa
Zamaanaa saahib-e-zar aur sirf shaayar tu
Bookmarks