Doston hum 4 doston ne ptcl broadband ka 1mb wala connection share kia hua hai ab masla yeh hai ke aik larhka hamari wire main switch laga ker net chala raha hai pehle to hum ne ussay pakarh liya aur ussne maafi b maang li lekin woh yeh harket phr bi ker sakta hai to es liye usko roknay ya jab bi woh net chalaye us ka pata chal jaaye aisa koi software ya phr koi trick batayenge to aap ki barhi maherbani hogi