Results 1 to 5 of 5

Thread: khuda ka shukr hai

  1. #1
    Real_Light is offline Member
    Last Online
    22nd February 2016 @ 03:49 AM
    Join Date
    15 Oct 2006
    Location
    Hong Kong
    Posts
    9,415
    Threads
    501
    Thanked
    0

    Cool khuda ka shukr hai

    khuda ka shukr hai

    khuda ka shukr hai paida hue muslim ghrane mei.n
    yeh woh daulat hai jo qaayim rahegi har zamane mei.n

    hum us dee.n ke muhafiz hai.n jo adam saath laaye they
    hamara taur haabeeli raha hai har zamane mei.n

    badi takleefe.n sahkar nooh ne is dee.n ko pahunchaya
    na mani qaum to kee baddua apne zamane mei.n

    janabe nooh ki kashti bani gahwara momin ka
    pahaad oonche na aaye kaam kaafir ko bachane mei.n

    baraheemi nazar ne tod dala qasre namroodi
    khaleelullah ka ehsaa.n hai hum par har zamaze mei.n

    bacha kar apni esmat ko jo pahunche qaid mei.n yousuf
    misaali naojawa.n bankar rahe.n hai.n har zamane mei.n

    nabi ke haath mei.n loha jo aata mome banjata
    hai dawoodi mehak duniya ke har ek kaarkhane mei.n

    khuda ne mere zakhmo.n mei.n hai rakkha rizq keedo.n ka
    sukoo.n milta hai makhlooqe khuda ke kaam aane mei.n

    woh dekho sabre ayyoobi woh beemaari woh tanhaayee
    aham kirdaar tha ayyoob ka dee.n ko sajane mei.n

    muqabil zulm ke moosa jo aaye taankar seena
    khuda ne kee madad firown sa zaalim mitane mei.n

    kiya murde ko zinda woh gire sajde mei.n phir eesa
    mai.n banda hoo.n khuda ka yeh bataya us zamane mei.n

    badi mehnat se pahunchaya sabhi nabiyo.n ne is dee.n ko
    lahu dekar bachayee hai shariat har zamane mei.n

    phir aaye banke rahmat saare aalam keliye ahmed
    hai kirdare mohammed hum pe hujjat har zamane mei.n

    hifazat dee.n ki kaise hoti hai batlaya haider ne
    chalo islam mein rach bas ke chaaye.n har zamane mei.n

    suno haamid yaqeenan woh musalmaa.n ho nahi.n sakte
    guzarti zindagi jinki hai ladne aur ladane mei.n
    Attached Images Attached Images  

  2. #2
    Join Date
    23 Oct 2006
    Location
    Lalamusa
    Age
    39
    Posts
    7,054
    Threads
    198
    Credits
    0
    Thanked
    9

    Default

    bohat umda shairi hai..so nice

  3. #3
    shahsaeein is offline Member
    Last Online
    2nd June 2011 @ 02:37 PM
    Join Date
    07 Dec 2006
    Location
    Muscat, Oman
    Age
    46
    Posts
    1,692
    Threads
    99
    Thanked
    0

    Default

    MashaaAllah!!!

  4. #4
    Real_Light is offline Member
    Last Online
    22nd February 2016 @ 03:49 AM
    Join Date
    15 Oct 2006
    Location
    Hong Kong
    Posts
    9,415
    Threads
    501
    Credits
    0
    Thanked
    0

    Smile

    Quote Stolen Moments said: View Post
    bohat umda shairi hai..so nice



    Shukria Bhai




  5. #5
    Real_Light is offline Member
    Last Online
    22nd February 2016 @ 03:49 AM
    Join Date
    15 Oct 2006
    Location
    Hong Kong
    Posts
    9,415
    Threads
    501
    Credits
    0
    Thanked
    0

    Smile

    Quote shahsaeein said: View Post
    MashaaAllah!!!




    Shukria Bhai




Similar Threads

  1. ....insan na shukr....
    By Akhtarbozdar in forum Design Poetry
    Replies: 8
    Last Post: 26th February 2017, 05:24 PM
  2. Replies: 5
    Last Post: 29th March 2015, 01:50 PM
  3. Shukr
    By yma in forum Islam
    Replies: 1
    Last Post: 3rd June 2011, 05:41 PM
  4. Dua ki qabooliyat par shukr krne ki dua
    By erd43 in forum Islam
    Replies: 1
    Last Post: 2nd January 2010, 02:42 PM
  5. Shukr-e-Namat
    By Doctor in forum Islam
    Replies: 2
    Last Post: 28th March 2007, 03:34 PM

Bookmarks

Posting Permissions

  • You may not post new threads
  • You may not post replies
  • You may not post attachments
  • You may not edit your posts
  •