Page 1 of 2 12 LastLast
Results 1 to 12 of 18

Thread: Shab e Mairaj - Orr Ibadaten!!

  1. #1
    silentsmile's Avatar
    silentsmile is offline Advance Member
    Last Online
    26th February 2022 @ 09:36 AM
    Join Date
    01 Aug 2009
    Location
    In a Forest ,), Islamabad
    Age
    35
    Posts
    737
    Threads
    48
    Credits
    95
    Thanked
    53

    Default Shab e Mairaj - Orr Ibadaten!!

    السلام علیکم،

    دوستو شب معراج کی نسبت سے ایک اچھا کالم ملا جس میں عبادتوں کا ذکر بھی تھا میںنے سوچا کیوںنا آپ سےیعنی آئی ٹی دنیا سے شئیر کیا جائے.. یہ کالم خالدہ جمیل کا لکھا ہوا ہے.اُمید ہےکہ آج رات آپ عبادت میں گزاریں گے. اپنا خیال رکھیے گا. والسلام

    تیمور قریشی
    [IMG]http://i171.***********.com/albums/u284/ayesha_786_photo/Ibadaat-Shab-e-Mairaj.jpg[/IMG]

  2. #2
    filmstarali's Avatar
    filmstarali is offline Senior Member+
    Last Online
    5th January 2015 @ 10:21 AM
    Join Date
    01 Jul 2010
    Location
    (¯`·.¸¸.-> °º ĸaracнι º° <-.¸¸.·´¯)
    Gender
    Male
    Posts
    2,600
    Threads
    162
    Credits
    1,075
    Thanked
    379

    Thumbs up Nice Sharing

    Jazak Allah
    bahut e achi sharing hain.

  3. #3
    star_ji is offline Member
    Last Online
    5th December 2010 @ 09:26 PM
    Join Date
    17 May 2010
    Age
    34
    Posts
    154
    Threads
    28
    Thanked
    5

    Default

    nice

  4. #4
    silentsmile's Avatar
    silentsmile is offline Advance Member
    Last Online
    26th February 2022 @ 09:36 AM
    Join Date
    01 Aug 2009
    Location
    In a Forest ,), Islamabad
    Age
    35
    Posts
    737
    Threads
    48
    Credits
    95
    Thanked
    53

    Default

    Quote filmstarali said: View Post
    Jazak Allah
    bahut e achi sharing hain.
    Quote star_ji said: View Post
    nice
    bohat shukriya dosto passandedgi ka..

    Jazak Allah Bohat khush rahein

  5. #5
    wahidawan's Avatar
    wahidawan is offline Senior Member+
    Last Online
    30th July 2020 @ 10:56 AM
    Join Date
    16 Sep 2008
    Location
    Waldain Ki Duaon K Saay Main
    Gender
    Male
    Posts
    486
    Threads
    135
    Credits
    806
    Thanked
    107

    Default

    Ebadat k mutaliq Ghalt Ilm Phelany Ki Koi Zaroorat Nahi.Shukria

  6. #6
    silentsmile's Avatar
    silentsmile is offline Advance Member
    Last Online
    26th February 2022 @ 09:36 AM
    Join Date
    01 Aug 2009
    Location
    In a Forest ,), Islamabad
    Age
    35
    Posts
    737
    Threads
    48
    Credits
    95
    Thanked
    53

    Default

    Quote wahidawan said: View Post
    Ebadat k mutaliq Ghalt Ilm Phelany Ki Koi Zaroorat Nahi.Shukria
    konsa ghalt ilm Wahid g

  7. #7
    wahidawan's Avatar
    wahidawan is offline Senior Member+
    Last Online
    30th July 2020 @ 10:56 AM
    Join Date
    16 Sep 2008
    Location
    Waldain Ki Duaon K Saay Main
    Gender
    Male
    Posts
    486
    Threads
    135
    Credits
    806
    Thanked
    107

    Default

    Quote silentsmile said: View Post

    konsa ghalt ilm Wahid g
    Jo Ahadees is threer mein shamil ki hein un ka kitabi hawal dein. Tum ye sabit kar do k Nabi(saww) ne apni 5nabvi ko miraj k bad kis sal 27rajb ko koi khas ebadat ki jo tm ne threer mein shaya ki hai...!

  8. #8
    silentsmile's Avatar
    silentsmile is offline Advance Member
    Last Online
    26th February 2022 @ 09:36 AM
    Join Date
    01 Aug 2009
    Location
    In a Forest ,), Islamabad
    Age
    35
    Posts
    737
    Threads
    48
    Credits
    95
    Thanked
    53

    Default

    Quote wahidawan said: View Post

    Jo Ahadees is threer mein shamil ki hein un ka kitabi hawal dein. Tum ye sabit kar do k Nabi(saww) ne apni 5nabvi ko miraj k bad kis sal 27rajb ko koi khas ebadat ki jo tm ne threer mein shaya ki hai...!
    Bhai sab say ooper jo Hadis nakal kee gaee hai jiss men rozay ka ziker hai wo Hazrat Abu Huraira R.A ki bayan kerda hadees hai..

    app wahid bhai mjhe simple ye batao kay jab app paida hoay thay yaa app nay shadi ki hai too uss din ko koi ahmeat hasil hai ya nahi ??

    App har saal uss din ko manatay ho yaa nahi ?? uss din khushi app ka izhar app kay chehray say ho raha hota hai ya nahi?? app kay pyaray app ko tahaif say nawaztay hain kay nahi?? ager inn sab sawalat kay jawab han men hain too mjhe bataye kay iss shab ko ebadat kernay walay ko azmaten orr Allah Taa'ala ki raza hasil hogi ya nahi

    Baat bohat simple hai naiki kay kaam men kabhi koi aisi baat nahi kerni chahye.. simple ibadat orr ager mumkin ho rozay ki talqeen hee too kee gaye hai iss ibadat men.. Sochye ga zaroor wassalam

    silent smile

  9. #9
    wahidawan's Avatar
    wahidawan is offline Senior Member+
    Last Online
    30th July 2020 @ 10:56 AM
    Join Date
    16 Sep 2008
    Location
    Waldain Ki Duaon K Saay Main
    Gender
    Male
    Posts
    486
    Threads
    135
    Credits
    806
    Thanked
    107

    Default

    Quote silentsmile said: View Post

    Bhai sab say ooper jo Hadis nakal kee gaee hai jiss men rozay ka ziker hai wo Hazrat Abu Huraira R.A ki bayan kerda hadees hai..

    app wahid bhai mjhe simple ye batao kay jab app paida hoay thay yaa app nay shadi ki hai too uss din ko koi ahmeat hasil hai ya nahi ??

    App har saal uss din ko manatay ho yaa nahi ?? uss din khushi app ka izhar app kay chehray say ho raha hota hai ya nahi?? app kay pyaray app ko tahaif say nawaztay hain kay nahi?? ager inn sab sawalat kay jawab han men hain too mjhe bataye kay iss shab ko ebadat kernay walay ko azmaten orr Allah Taa'ala ki raza hasil hogi ya nahi

    Baat bohat simple hai naiki kay kaam men kabhi koi aisi baat nahi kerni chahye.. simple ibadat orr ager mumkin ho rozay ki talqeen hee too kee gaye hai iss ibadat men.. Sochye ga zaroor wassalam

    silent smile
    Aap Ki Ilm-o-Aqal ko daad deta hon. Bat 27rajab ki abadat se salgirah py ly gy. Alhamdulillah tamam k jawabat nahi mein hein aur mukhtasir ye k jab salgirah manana Quran-O-Hadees se sabit nahi tu hum kun manaein gy.

    Jis cheez mein bidat shamil ho jaye osy chorna lazim ho jata hai.

    Nechly 2 Eiden thread mein se Copy ki Hai

    Deen-e-Islam is ka naam nahi k banda kalma parh le ya namaz roza aur deegar arkan-e-islam ada kare tu wo deen islam k haq ko pora kar raha hai...! balky deen tu iss ka naam hai k banda Allah aur os k Nabi (SAAW) k hukamon ko pora kare.

    Main chand aik misalain deta hon.

    1:NAMAZ
    jab Allah pak chaty hein k faraz namaz mein banda-momin masjid mein nazar ay tu ab bandy ka duniya k kamon mein mashghool rehna deen nahi balky masjid mein aa kar jamat se namaz ada karna deen hai aur jab Allah pak zawal k waqt mana farmaty hein k ab koi banda sajda na kare namaz na parhy ab jo namaz parhy ga wo gunah gar ho ga usy sawab nahi mily ga.

    beshak namaz hamare nabi(SAAW) ki ankho ki thandak hai aur namaz momin ki miraj hai. lekin ye osi waqt ho ga jab hukam ko pora kar k waqt par namaz parhein gy na k apni soch k mutabik zawal aur makrooh owkat mein.in okat mein namaz na parhana deen hoga...!

    2:Roza
    Ramaza k rozy faraz hein aur rozay ki bohat si fazeelatein hain lekin sirf ramzan k rozy faraz hein un ko bila uzar chorana bohat bara gunah hai lekin ye tu dekho eid-ul-fitr aur zul-haj k chand ayam mein koi roza rakhy ga tu wo gunahgar hoga na k sawab.

    3: Quran
    Quran k 1 lafz parhany k badly mein 10 nakian hain leinkin jo admi be-wazo ho kar quran pakar k tilawat kare chahy pory quran ki tilawat kar ly sawab nahi milay ga gunahgar hoga.

    Saf samjh lo jab Allah k hukam karda had se tajwaz krein gy tu gunahgar hon gy na k sawab k haqdar.

    dekho insan jab Allah k hukam ko pora karta hai tu is mein insaan ka hi faida hota hai aur Allah ne hamay bin mangy imam-ul-anbiya NABI(Saaw) ka umati banaya, Quran jaisi azeem kitab, hadees jasi bemisal sunat aur sahaba jaisy elm o amal wale insaan ata farmay phir ham un se hat kar kyun apni soch par chalty hein?

    mein ne apko bohat asan alfaz mein samjhane ki koshih ki hai Allah Apko ko pori umat-e-muslimah ko haq pr chalne wala bana de.

  10. #10

    App nay bohat umda baaten kee hain lekin in ka context kuch orr hai.. bass chand guzarishat sunn lain Salgirah ki baat kertay hoay men nay sirf aik misal di thi orr misal dainay ka hargiz matlab nahi tha kay app ko mozo say hataya jaaye iss lye aisa na sochen woo sirf aik misal orr samjhanay ki gharz say thi..

    jahan tak rahi ahadis say iss ka sabit hona too app ko men aik or mazmoon share ker kay dhikha raha hon jiss men ahadess e mubarika say iss raat ki barkat ko ujagar kya gaya hai...
    [IMG]http://i171.***********.com/albums/u284/ayesha_786_photo/Rajjab.jpg[/IMG]
    baqi ager koi iss raat men sota rehta hai too woo khud aik bohat acha lamha zaya ker raha hai jis men naikian dhairon dhair nichawar hoti hain.. iss kay gunah kay baray men, men nay koi baat nahi ki.. app nay ibadat ki thi waisay

  11. #11
    wahidawan's Avatar
    wahidawan is offline Senior Member+
    Last Online
    30th July 2020 @ 10:56 AM
    Join Date
    16 Sep 2008
    Location
    Waldain Ki Duaon K Saay Main
    Gender
    Male
    Posts
    486
    Threads
    135
    Credits
    806
    Thanked
    107

    Default

    1) Aik banda 27rajab ko Nafil roza rakhy aur Ramzan mein roza jan bojh kar chore bila uzar tu kia rajab ka rozay ka sawab os k liye kafi tha?

    2) Aik banda sari raat nafal namazein parhny py zor dey phir fajar qaza kar dey tu kia osy ki raat pori ki ebadat os k liye kafi thi?

    Aik bat yad rakhna hashar Nafil ebadat ki poch gach os waqt hogi jab os k amal mein nafwafil shamil hongy agar nafil ada nahi kiye tu poch b nahi hogi sirf faraiz ki poch hogi nafil.
    Aik banda Nafil ebadat karta hai gunahon se nahi bachta tu wo ebadat maqabool hona muskil hai kun k wo Allah aur Rasool k ihkam ki khilaf warzi kar raha hai maslan (jhot, geebat, choghli, gal-galoch, behtan, badnazri, wada khilfi, kisi ka haq marna, riswat, sood, chori, daka.... ) aur beshumar gunah hein jo sath hoty hein aur nafl ada kar k samjhty hein hum bohat bare muslman ban gay. Na Na aisy nahi hota balky nafil kia faraiz mein b aisy nahi hona chahiye nahi tu faraiz ka b khatara hai. is tarhan deen ko asan samjh lia k ebadat mein deen chupa hai.

    Ebadat k sath islah ka b bta dia kro aisy hi media k har bat ko sach mat jana karo balky ahl-e-ilam se poch lia karo.

  12. #12
    silentsmile's Avatar
    silentsmile is offline Advance Member
    Last Online
    26th February 2022 @ 09:36 AM
    Join Date
    01 Aug 2009
    Location
    In a Forest ,), Islamabad
    Age
    35
    Posts
    737
    Threads
    48
    Credits
    95
    Thanked
    53

    Default

    Quote wahidawan said: View Post
    1) Aik banda 27rajab ko Nafil roza rakhy aur Ramzan mein roza jan bojh kar chore bila uzar tu kia rajab ka rozay ka sawab os k liye kafi tha?

    2) Aik banda sari raat nafal namazein parhny py zor dey phir fajar qaza kar dey tu kia osy ki raat pori ki ebadat os k liye kafi thi?

    Aik bat yad rakhna hashar Nafil ebadat ki poch gach os waqt hogi jab os k amal mein nafwafil shamil hongy agar nafil ada nahi kiye tu poch b nahi hogi sirf faraiz ki poch hogi nafil.
    Aik banda Nafil ebadat karta hai gunahon se nahi bachta tu wo ebadat maqabool hona muskil hai kun k wo Allah aur Rasool k ihkam ki khilaf warzi kar raha hai maslan (jhot, geebat, choghli, gal-galoch, behtan, badnazri, wada khilfi, kisi ka haq marna, riswat, sood, chori, daka.... ) aur beshumar gunah hein jo sath hoty hein aur nafl ada kar k samjhty hein hum bohat bare muslman ban gay. Na Na aisy nahi hota balky nafil kia faraiz mein b aisy nahi hona chahiye nahi tu faraiz ka b khatara hai. is tarhan deen ko asan samjh lia k ebadat mein deen chupa hai.

    Ebadat k sath islah ka b bta dia kro aisy hi media k har bat ko sach mat jana karo balky ahl-e-ilam se poch lia karo.
    Waheed bhai app dau baton ko mix ker rahay hain.. pehli baat too yeh hai kay kabhi bhi ham nay Farz orr Nafil ibadat ka comparison nahi kya...

    app kay pehlay sawal ka jawab yeh hai kay ager koi Rajab ka maheenay ka roza rakhta hai too iss ka matlab hai kay uss ka Dil Emaan say bharpor hai orr yeh mumkin hee nahi kay woo Ramzan kay rozay billa uzer chorhay.. lekin ager phir bhi app ki nazer men koi aesa karay too wo gunah gar hai bagher kisi shak o shubbay kay..

    dosri baat app nay ki kay ager koi sari raat nafal namazen parhay orr fajar ki farz namaz na parhay.. too bhai yeh too app ko tab pata chalay na jab app aisi mahafil men shirkat karen.. Kya app ko pata hai kay inn mahafil men jahan tak men nay dhekha hai Ulama ki janib say Fajer ki namaz ki sakhti say talqeen ki jati hai orr bataya jata hai kay ager app nay Fajer ki namaz iss ibadat kay baad nahi parhi too iss ibadat ka faida nahi kyon kay woo farz hai.. app kisi aik shakhs kay kye gaye amal ko sab kay sath nathi na karen..

    Baqi app ki baat darust hai kay nafil ki pooch gach nahi hogi lekin sath men yeh bhi yaad rakhye kay jab app kay amaal jin men Faraiz wagher shamil hai baroz e mehshar jab inn ka khata clear hoga too yeh nawafil hi hon gay jinn ko app ki bakhshish kay lye ginna jaye ga...!

    Waheed bhai aik baat orr bata don Nafil parhna her kisi kay bass ki baat nahi yeh sirf woo parh saktay hain jin ka Dil Allah kay ziker say munawwar hota hai unhen apnay Rabb ko mannanay ki her waqt fiker hoti hai.. werna kisi ko kya parri hai kay woo Farz kay sath sath inn ki bhi adaigi karay.. app insan ki hi misal lejye jab wo naye job per jata hai too zyada say zyada mehnat kerta hai orr apnay muqrarra kam say bhi zyada kernay ki koshish kerta hai takay uss ki qader/ naam malik kay aagay barhay Allah Allah ham kitnay bad naseeb hain kay apnay sachay malik ko razi kernay kay lye kuch sochtay hi nahi..

    bhai men app say behas nahi kerna chahta app ki orr meri likhi hoee baten qareen parh hi lain gay... let it put in front of these friends app ka bohat shukriya.. Khush Rahen

Page 1 of 2 12 LastLast

Similar Threads

  1. Shab-e-Mairaj Ka Mukhtasar Tazkira(شبِ معراج کا مختصر تذکرہ)
    By Najam Mirani in forum Islamic History aur Waqiat
    Replies: 9
    Last Post: 3rd August 2016, 03:01 PM
  2. Rab Ka Mahman (Shab-e-Mairaj)
    By NADEEMUDDIN in forum Ibadat
    Replies: 3
    Last Post: 9th July 2010, 07:11 PM
  3. Naikian Samatnay Ki Raat (Shab-e-Mairaj)
    By NADEEMUDDIN in forum Ibadat
    Replies: 1
    Last Post: 9th July 2010, 03:24 PM
  4. Tohfa-e-Khan (Shab-e-Mairaj)
    By NADEEMUDDIN in forum Ibadat
    Replies: 0
    Last Post: 9th July 2010, 11:20 AM

Bookmarks

Posting Permissions

  • You may not post new threads
  • You may not post replies
  • You may not post attachments
  • You may not edit your posts
  •