Bro! Kabhi aisa bhi hot hai k hum apny pc par bios mein ja kar security password laga dete hain aur phir bhool jate hain. Phir apka pc on hony k baad password maangta hai aur agar password na dein to access nai karta. To phir password disable kaisy kia jaey?? Password Disable karne k kafi assan tareekay hain jo brand k hisaab sy kaam karte hain lakin assan hain.
Time ki kami ki wajah sy main 1 brand (Dell Pheonix Tech PIII) k bios ka password disable karne ka tareeka batata hon.
1. Pehly CPU ka cover uthaein.
2. Mother board pe Cell k pass he aik jumper laga ho ga. uss jumper ko utha kar
side wali pin mein laga dein.
3. Pc ko switch on karein. Ab App k BIOS ka Password disable ho chuka hai.
4. Jumper ko dobara uss ki asli jagha pe laga dein.
Easy hai na. Next time Dell p4 aur Compaq P3-p4 k pc's k BIOS password disable karny ka tareeqa share karon ga.
Bookmarks