Quote umer1089 said: View Post
shah sahib jhan tuk allah k hum kalam hone ki baat he. to woh appney bundon se ye rabta kaheen bhi ker suktta he. alham ya wahi k liey kisi jaga ka mukhsos hona zarori nahi. khuda k hum kalam honey ka talq MATTER,DIERCTION & SPACE se bulkul nahi he. ye to mukamul rohani mamlla he.

khuda k kalam insan appney hawasekhumsa(jisum) se nahi balkey appni roh(soul) se sunta he.
isi ley jub bi khuda apney nabi se humkalam hota he to dosrey ussey sun nahi suktey.
ALLAH la mehdood or her jaga mojood he. ye tamam muslmanno ka mutfaqa imman he.

rahi baat huzrat MOOSA ki to khuda ne KOHE TOOR k alawa firaon k darbar main bhi HUZRAT MOOSA ko ilham kia tha. or HAZRAT MOOSA ka rabta allah se dawa nabowat se tha na k sirf KOHE TOOR per.

meri sabka post per utthaey hoey swalat ka aap ne jawab deney ki bujai aik bulkul mukhtalim sawal ker dia . aap k jawab ka mutazir.

allah hum sub ko hadayet de (AMMEN)