Sab Bahan Bhaiyo ko salam......masla ye ha k main Adobe Photoshop CS2 use kar raha hoo aur Corel Draw X3. Photoshop mein kisi object pe koi filter apply kar k us file ko Corel Draw mein import karein to wo effect same accurately aa jata hai laikin Photoshop mein kisi object pe layers ki "Blending Options" mein se koi effect apply kar k Corel Draw mein import karein to import kye gaye object pe bilkul koi effect nahe hota. kya koi bhai bata sakta hai k photoshop ka filter effect to Corel Draw mein accurately import ho jata hai per Blending Option ka effect bilkul ghayib ho jata hai......kya waja hai eski ?