Asslam O Alikum !!!
Itdunya k experts, aj jo main masla apna aap ko yhan bata raha hon yeh to mery liy sir dard ban kar reh gya ha..
asal main main hostel main rehta hon or main nay ptcl dsl ka 2mb connection lagaya hoa ha, jis main say main apny sath 1 or connection share bhi kar raha hon. jis room k sath main share kar raha hon us main IT expert mojood ha, and us nay kuch asi setting ki hoi ha k uska system internet ka 80% speed lata ha and mera 20%. ab mjhy yeh nhi pta k us nay yeh kaisy kiya ha. mera net us waqt intahai slow ho jata ha jab wo net use kar raha hon . Main router meri taraf laga hoa ha main us ki cable plugin karta hon to wo bhi us ko pta chal jata ha,

mera net use karna intahai mushkil kam ban gya ha.
ab main apny itdunya k experts say yeh pta karna chahta hon k main asa kya karon k hamary darmiyan net ki speed equal distribute ho...

hope k experts meri help zaror karain gay...