Assalam o Alaikum dosto! Aj main bazar se ek softwares wali cd le k aya. jab main ne us pe double click kya to woh autoplay ho gae aur auto play menu khul gaya jis main softwares k nam likhe hoe the. (jaise "all in one" main hota hai). jub main ne cd rom pe right click kar k cd ko open kya to us main sirf ek autoplay file thi jis ka size 2mb tha aur is k elava kch bhi nahin the. main ne folder options se hidden files bhi show karwaen lekin koi aur folder ya file nazar na ae. jab main ne cd ka "ISO" image bnaya aur use 7-zip se khola to us main woh folder bhi aa gaya jis main softwares the.
main yeh pochna chahta hon k is folder ko kese super hide banaya gaya hai?

(main ne "ISO" image ko UltraISO main bhi khola tha lekin folder dikhae nae dya aur software main CD ka size bhi 2mb he show ho raha tha jab k ISO file 675MB ki thi)