badbaan khulny sy pahlay ka ishara daikhna
main samander daikhti hun tum kinara daikhna
yun bicharna bhi koi asan na tha us sy magar
jaty jaty us ka woh mur kay doobara daikhna
kis shabahat ko liyye aya hy darvazy pay chand
aye shab-e-hijran zara apna sitara daikhna
kiya qiyamat hy kay jin kay namm pay pasppa huyye
unhi logun ko maqabil main psara daikhna
jab banm-e-dil gavahi sir ki manghi jayye ghi
khoon main dooba hua parcham hamara daikhna
aina ki ankh hi kuch kam na thi mairy liyye
jany abh kiya kiya dikhayye gha tumhara daikhna
aik mushk-e-khak aur woh bhi hawa ki zad main hy
zindaghi ki bybasi ak istayara daikhna
Bookmarks