Bara kathin hai !!!!!
Bara kathin hai rasta jo aa sako to saath do
Ye zindagi ka faasla mita sako to saath do,
Baray fareb khaoo gay baray sitam uthaoo gay
Ye umar bhur ka sath hai nibhaa sako to saath do,
Jo tum kahoo to ye dil to kiya main jaan bhi fida karoon
Jo main kahoon bus ik nazar luta sakooto saath do,
Hazaar imtihaan , hazaar aazmaishain
Hazaar dukh hazar ghum utha sakoo to sath do,
Ye zindagi yahan khushi ghamoon ka sath hai
Rula sako to saath do hansaa sakoo to sath do ..
Bookmarks