AOA friends,
mere saath problem yeh hai ke kuch dino se main youtube per online videos dekh raha hn lekin wo videos kuch der tak to sahi speed se chalti hain lekin thori der ke baad wo stilling kerne lagtin hain i mean ke audio to sahi speed se sunai deta hai lekin graphics slow motion ho jate hain jaisey lag hota hai HD wagera mein...jab mai apna task manager open kerta hn to us mein aik process open hota hai SPOOLSV.EXE ke naam se mai is process ko end ker deta hn to video theek chalne lag jati hai lekin phir thori der baad wohi masla aur yeh spoolsv wala process doobara open ho jata hai..isi terha baar baar process to end kerne se video dekhne perti hai aur kafi time lag jata hai....maine google pe search ki to pata laga ke yeh spoolsv.exe aik dangerous virus hai....maine kaspersky bhi run kia lekin koi faida nai hoa...plz mujhe is problem ka hal bataen sirf jab mei youtube se videos online dekhta hn to yeh masla aata hai audio to theek chalta hai lekin video ruk ruk ker chalti hai thori der baad... mujhe koi aisa software bataen jis se mai is spoolsv.exe se chutkara hasil keron...maine windows ki search mai ja ker spoolsv.exe ko search ki aur jahan jahan yeh file thi sab delete ker di lekin phir bhi koi masla hal nai hoa,,saare browsers check ker liye aur window bhi new install ker li lekin koi faraq nai...pehle mere paas aisa koi masla nai aur youtube se videos bilkul sahi chalti thi....plz help mujhe lagta hai mere pc mai aur bhi viruses hain to mujhe koi acha sa software bataen jo meri problem ko hal ker de....