Page 1 of 2 12 LastLast
Results 1 to 12 of 20

Thread: My Collection 1

  1. #1
    Pagal_Azeem is offline Member
    Last Online
    31st January 2010 @ 11:09 PM
    Join Date
    11 Sep 2007
    Location
    kat gaee umer magar izhar karna na aya..afsoos
    Age
    34
    Posts
    1,493
    Threads
    86
    Thanked
    0

    Smile My Collection 1

    Is sey pehley key bewafa ho jaayen
    Kiun na ai dost hum juda ho jaayen

    Too bhi heere se ban gaya patther
    Hum bhi kal jane kia se kia ho jaayen

    Hum bhi majbooriyon ka uzr karein
    Aur kaheen aur mubtila ho jaayen

    Ishq bhee khail hai naseeboN kaa
    Khaak ho jaayen keemiya ho jaayen

    Bandgi humne chhorh di hai Faraz
    Kia karein log jab Khuda ho jaayen

  2. #2
    Pagal_Azeem is offline Member
    Last Online
    31st January 2010 @ 11:09 PM
    Join Date
    11 Sep 2007
    Location
    kat gaee umer magar izhar karna na aya..afsoos
    Age
    34
    Posts
    1,493
    Threads
    86
    Credits
    0
    Thanked
    0

    Smile Dard ......

    Dard ......

    Ahal-e-dil yon bhi nibha letay hain
    dard senay main chupa letay hain

    dil ki mehfil main ujalon ke liye
    yaad ki shama jala letay hain

    jaltay mosam main bhi ye deewane
    kuch haseen phool khila letay hain

    apni aankhon ko bana kar ye zuban
    kitnay afsaane suna letay hain

    jin ko jeena hai muhabbat ke liye
    apni hasti ko mita letay hain

  3. #3
    Pagal_Azeem is offline Member
    Last Online
    31st January 2010 @ 11:09 PM
    Join Date
    11 Sep 2007
    Location
    kat gaee umer magar izhar karna na aya..afsoos
    Age
    34
    Posts
    1,493
    Threads
    86
    Credits
    0
    Thanked
    0

    Smile Main aisi Mohabbat karti hoon


    Main aisi Mohabbat karti hoon
    Tum kaisi Mohabbat karte ho?


    Tum jahan pe beth ke jaate ho
    Jis cheez ko haath lagate ho

    Main wahin pe bethi rehti hoon
    Us cheez ko chooti rehti hoon


    Main aisi Mohabbat karti hoon
    Tum kaisi Mohabbat karte ho?

    Tum jis se hans ker milte ho
    Main us ko dost banati hoon

    Tum jis raaste per chalte ho
    Main us raaste per aati jaati hoon

    Main aisi Mohabbat karti hoon
    Tum kaisi Mohabbat karte ho?


    "Tum kaisi Mohabbat karte ho?"



    Kuch khuwab saja ker ankhon main
    Palkon se moti chunti hoon

    tum se milne julne ke
    Kitne hi bahane rakhti hoon


    Main aisi Mohabbat karti hoon
    Tum kaisi Mohabbat karte ho?

  4. #4
    Pagal_Azeem is offline Member
    Last Online
    31st January 2010 @ 11:09 PM
    Join Date
    11 Sep 2007
    Location
    kat gaee umer magar izhar karna na aya..afsoos
    Age
    34
    Posts
    1,493
    Threads
    86
    Credits
    0
    Thanked
    0

    Smile Dil lagi thi usay humse mohabbat kab thi

    Dil lagi thi usay humse mohabbat kab thi
    mehfil-e-gair se unko fursat kab thi

    hum thay mohabbat main lut janay ke qayal
    us ke waadon main wo haqeqat kab thi

    wo waqt guzari ke liye kerta tha pyar ki baatain
    warna meri khatir uss ke dil main chahat kab thi

    bohat roka lekin nikal aaye kam-bakhat anso
    bazm-e-yaad main aanso bahanay ki ijaazat kab thi

    khuda janey kis ki yaad main hua hai wo be-haal
    werna mere ishq main uss ki aisi haalat kab thi!!!

  5. #5
    Pagal_Azeem is offline Member
    Last Online
    31st January 2010 @ 11:09 PM
    Join Date
    11 Sep 2007
    Location
    kat gaee umer magar izhar karna na aya..afsoos
    Age
    34
    Posts
    1,493
    Threads
    86
    Credits
    0
    Thanked
    0

    Smile Musafar to bicharte hain

    Musafar to bicharte hain
    rafaqat kab badalti hai,

    muhabbat zinda rehti hai
    muhabbat kab badalti hai,

    tumhi ko chahte hain hum
    tumhi se pyaar karte hain,

    yehi bharso se aadat hai
    aur aadat kab badalti hai.......

  6. #6
    Pagal_Azeem is offline Member
    Last Online
    31st January 2010 @ 11:09 PM
    Join Date
    11 Sep 2007
    Location
    kat gaee umer magar izhar karna na aya..afsoos
    Age
    34
    Posts
    1,493
    Threads
    86
    Credits
    0
    Thanked
    0

    Smile Hum se mat poch rastay gher ke

    Hum se mat poch rastay gher ke
    hum musafer hain zindage bher ke

    koon suraaj ke aankh se din bher
    zakham ginta hai shab ki chader ke

    sulah ker le yeh soch ker main ne
    mere dushman na the baraber ke

    kudh se khemay jala diye main ne
    hoslay diekhna the lashker ke

    yeh sitaray yeh tottay motti!
    aats hain maray didahay ter ke

    gerjanoo muslehat na aapnaye
    saray rishtay bohat hain phater ke

    hum bhi chuntay the sipiyan akser
    hum bhi maqrooz hain samander ke

    aankh ke gird matami halqay
    saye jessay jalay huwe gher ke

    dostoon ki zuban tu khulnay do
    bhool jaoo ge zakham khanjer ke

    chand bhi zerd per gaya aakher
    ujray aangan main roshni ker ke

    aankh nam bhi karo to bas itni
    rang pheekay parain na manzer ke

  7. #7
    Pagal_Azeem is offline Member
    Last Online
    31st January 2010 @ 11:09 PM
    Join Date
    11 Sep 2007
    Location
    kat gaee umer magar izhar karna na aya..afsoos
    Age
    34
    Posts
    1,493
    Threads
    86
    Credits
    0
    Thanked
    0

    Smile "Agar Ham Dost Hotay

    "Agar Ham Dost Hotay
    To Karam Ki Inteha Kartey
    Tumhen Palkon Pey Rakhtey Ham
    Tumhen Dil Men Basatey Ham
    Agar Tum Rooth Jaatey To
    Tumhen Kitna Manatey Ham
    Jo Milney Tum Nahi Aatey To
    Aa kar Khud Tumhen Miltey
    Tumhari Laghzishon Ko Bhi
    Hansi Main Ham Ura Detey
    Agar Apni Khata Hoti
    To Khud Ko Bhi Saza Detey
    Magar Ye Sab Jabhi Hota
    Agar Ham Dost Hotey To
    Magar Itna Hi Jana Hey
    K Tum Ney Aaj Tak Ham Ko
    Paraya Keh Kar Jana Hey
    Kabhi Hamdam Naa Mana Hey
    Agar Ham Dost Hotey To.......

  8. #8
    Pagal_Azeem is offline Member
    Last Online
    31st January 2010 @ 11:09 PM
    Join Date
    11 Sep 2007
    Location
    kat gaee umer magar izhar karna na aya..afsoos
    Age
    34
    Posts
    1,493
    Threads
    86
    Credits
    0
    Thanked
    0

    Smile Masoom Mohabbat ka bas itna Fasana hay,

    Masoom Mohabbat ka bas itna Fasana hay,

    Kaghaz ki Hawaili hay aur Baarish ka Zamana hay...

    Kya shart-e-mohabbat hay, kya shart-e-zamana hay,

    Awaz bhi Zakhmi hay aur Geet bhi gaana hay...

    Us paar utarnay ki Umeed bohat kam hay,

    Kashti bhi Puraani hay aur Toofan ko bhi aana hay...

    Samjhay ya na samjhay wo Andaaz Mohabbat kay,

    Aik shakhs ko Aankhon say Shair sunana hay...

    Bholi si Adaa koi phir 'Ishq' ki, zidd par hay,

    Phir 'Aag ka Darya' hay aur 'Doob' kay jana hay...!!!

  9. #9
    Pagal_Azeem is offline Member
    Last Online
    31st January 2010 @ 11:09 PM
    Join Date
    11 Sep 2007
    Location
    kat gaee umer magar izhar karna na aya..afsoos
    Age
    34
    Posts
    1,493
    Threads
    86
    Credits
    0
    Thanked
    0

    Smile Merey haath kee reetiyan tothiyan

    Merey haath kee reetiyan tothiyan
    Mera peer sach tey mein jhootiyan
    Shala Waleya pera
    peera ho peera
    peera ho peera

    meri dachi they gal wich taliyan
    meri dachi they gal wich taliyan
    we mein peer manwan chaliyan
    Shala waleya Peera
    Peera ho Peera
    Peera Ho Peera

    We merey haath katora hai mangan da
    We merey haath katora hai mangan da
    Mera peer wali inaa rawan da
    Shala waleya peera
    Peera Ho Peera
    Peera Ho Peera

    Meri dachi de gal wich taliyan
    Meri dachi de gal wich taliyan
    We mein peer manwan chaliyan
    We Shala waleya peera
    Peera Ho peera
    Peera Ho peera

  10. #10
    Pagal_Azeem is offline Member
    Last Online
    31st January 2010 @ 11:09 PM
    Join Date
    11 Sep 2007
    Location
    kat gaee umer magar izhar karna na aya..afsoos
    Age
    34
    Posts
    1,493
    Threads
    86
    Credits
    0
    Thanked
    0

    Smile Humne dekhi hai un aankhon ki mehakti khushboo

    Humne dekhi hai un aankhon ki mehakti khushboo
    Haath se choo ke isse rishton ka ilzaam na do

    Sirf ehsaas hai yeh, rooh se mehsoos karo
    Pyar ko pyar hi rehne do, koi naam na do
    Humne dekhi hai un aankhon ki mehakti khushboo
    Haath se choo ke isse rishton ka ilzaam na do

    Pyar koi bol nahin, pyar awaz nahin
    Ek khamoshi hai, sunti hai kaha karti hai
    Na yeh bujhti hai, na rukti hai, na thehri hai kahin
    Noor ki boond hai sadiyon se baha karti hai
    Sirf ehsaas hai yeh, rooh se mehsoos karo
    Pyar ko pyar hi rehne do, koi naam na do

    Muskurahat se khili rehti hia aankhon mein kahin
    Aur palkon pe ujale se ruke rehte hain
    Honth kuch kehte nahin, kaanpte honthon pe mager
    Kitne khamosh se afsane ruke rehte hain
    Sirf ehsaas hai yeh, rooh se mehsoos karo
    Pyar ko pyar hi rehne do, koi naam na do
    Humne dekhi hai un aankhon ki mehakti khushboo
    Haath se choo ke isse rishton ka ilzaam na do

  11. #11
    Real_Light is offline Member
    Last Online
    22nd February 2016 @ 03:49 AM
    Join Date
    15 Oct 2006
    Location
    Hong Kong
    Posts
    9,415
    Threads
    501
    Thanked
    0

    Default

    Well Done

    Bohat achi Collection hay..

    umeed hay app esi terha hamaray saath apni keemati sharings kertay rehain gay.


  12. #12
    Zaara's Avatar
    Zaara is offline Advance Member
    Last Online
    26th December 2022 @ 06:33 PM
    Join Date
    24 Jun 2007
    Age
    36
    Gender
    Female
    Posts
    10,423
    Threads
    728
    Credits
    611
    Thanked
    1484

    Thumbs up

    Great sharing
    Great poetry
    Great work
    Weldone

Page 1 of 2 12 LastLast

Similar Threads

  1. Replies: 92
    Last Post: 27th September 2012, 05:40 PM
  2. SmS Collection ~~ You Can't Control Your Smile ~~ SmS Collection
    By ll_zalim_ll in forum SMS/MMS/EMS/SMSc
    Replies: 48
    Last Post: 6th March 2012, 10:43 AM
  3. My Collection 22
    By Pagal_Azeem in forum Urdu Adab & Shayeri
    Replies: 39
    Last Post: 6th June 2010, 05:26 PM
  4. My Collection 20
    By Pagal_Azeem in forum Urdu Adab & Shayeri
    Replies: 28
    Last Post: 22nd July 2009, 10:55 AM

Bookmarks

Posting Permissions

  • You may not post new threads
  • You may not post replies
  • You may not post attachments
  • You may not edit your posts
  •