Page 2 of 44 FirstFirst 1234512 ... LastLast
Results 13 to 24 of 524

Thread: AZEEM collection

  1. #13
    Pagal_Azeem is offline Member
    Last Online
    31st January 2010 @ 11:09 PM
    Join Date
    11 Sep 2007
    Location
    kat gaee umer magar izhar karna na aya..afsoos
    Age
    34
    Posts
    1,493
    Threads
    86
    Thanked
    0

    Default

    Aye Meri Zindagi Tu Zara Paas Aaa

    [U]Aye meri zindagi tu zara paas aaa
    eak nazer tujhko main bas dekho zara

    Dekh paas ho main abhi bhi tere
    Aankh bandh kerke tu mujhe bas bola

    Tere honto pe main sajti sawarti bhi ho
    Aaina banke ke dekh le tu khod ko zara

    Tere dil main basi her aarzo hai meri
    Apni dherkan ki bas tu soon le sada

    Teri baaho mai banke khoshbo main raho
    Teri sanso se aaye us mahek ki sada

    Tere saaye se lipat ke main tu chalo
    Tu jahan bhi rahe wahi gher hai mera

    Mere sajde main bhi hai tassaour tera
    Naam tere kerdi ebadat ne her dowa

    Dunya walon se hai u tu rishta mera
    Meri phechaan dondhe bas teri hi wafa

    Aakhri lafz hai aakhri saas main
    Naam leke tera hogaye ham tujh pe fida

  2. #14
    Pagal_Azeem is offline Member
    Last Online
    31st January 2010 @ 11:09 PM
    Join Date
    11 Sep 2007
    Location
    kat gaee umer magar izhar karna na aya..afsoos
    Age
    34
    Posts
    1,493
    Threads
    86
    Credits
    0
    Thanked
    0

    Default

    Aye Khoda Aye Khoda



    Aye Khoda Aye Khoda bebaso ki tu soon le doaa
    Ayesa gham na de jiski na ho koi dawa


    kaisi taqdeer leke aati hai qismat
    etna dard deke bhi na chain pati hai qismat
    dekhte hi rah jati hai ankhein ye howa tu kiya howa
    Aye Khoda Aye Khoda bebaso ki tu soon le doaa


    hai preshanion ka naam zindaghi
    kab talak azmayegi ab teri bandaghi
    thak gaye hai bhut ab tu chaira khoshi ka dikha
    Aye Khoda Aye Khoda bebaso ki tu soon le doaa


    Manghty thy kiya ham aur kiya mil gaya
    dekhty hi dekhty sab kho gaya
    kis se bole ham koun hai eak tere siwa
    Aye Khoda Aye Khoda bebaso ki tu soon le doaa


    bojh mere jo dil pe hai batao kise?
    gham jo dety hai unhe gham sunao kaise?
    chaand jaisi thi qismat jinko mili
    unhe meri shmma bojha ke kaya mila?
    Aye Khoda Aye Khoda bebaso ki tu soon le doaa


    tu to hazir hai tuhi nazir hai
    tuhi jane her gayeb ka waqiaa
    hai teri kaisi aazmayish cheen li jisne meri sari khoshiya
    ab khoshi k liye dil tersta bhi hai
    tu derti hai qismat badnasibi na kare koi haadsa
    Aye Khoda Aye Khoda bebaso ki tu soon le doaa


    kis tarf ab ham le jai qadam
    aansuo ne ab raasta kho diya
    bebasi etni shamil howi
    k ham ne ab apna gumaa kho diya
    ab rahem tu hi ker raasta koi dikha
    tu hai malik mera tu hi ab ker koi faisla
    Aye Khoda Aye Khoda bebaso ki tu soon le doaa


    Hai musibat zada ye ghum khaar zindaghi
    zakhmon ki aag se hai bezaar zindaghi
    teri aazmayish ka main donghi emtehaan
    mere allah tera gham hai mere dil ka mahema
    bas rahem tu kerna tera shoker hai her haal main aye khoda
    Aye Khoda Aye Khoda bebaso ki tu soon le doaa


    teri zindaghi hai tere faisle hai
    mile ger hame ye aaj jo tere hi haosle hai
    hame taofiq dena k na ladkhadai qadam
    rakh sake bas ham sabhi ka bharam
    dil na tode kisi ka na ho ayesa gonah
    Aye khoda Aye khoda bebaso ki tu soon le doaa
    Ayesa gham na de jiski na ho koi dawaa

  3. #15
    Pagal_Azeem is offline Member
    Last Online
    31st January 2010 @ 11:09 PM
    Join Date
    11 Sep 2007
    Location
    kat gaee umer magar izhar karna na aya..afsoos
    Age
    34
    Posts
    1,493
    Threads
    86
    Credits
    0
    Thanked
    0

    Default

    Aye Hawa Mujhe Le Chal Unke paas

    Aye hawa mujhe le chal unke paas
    Aye ghata de de hatho main unka haath

    wo ayege leke meri dil ki khoshi ko
    unse kahena zara woh thaam le meri zindagh ko
    kerni hai mujhe unse apne dil ki baat
    Aye hawa mujhe le chal unke paas


    pyaar unse main had se zyada karogi
    wo jaha hoge unse milne pankh lag ke chalogi
    qadam qadam pe dongi main unka saath
    kerni hai mujhe unse apne dil ki baat


    unki perchayi banke rhena hai
    saath unka mujhe bas dena hai
    wo jaha rahege main raho gi unke saath
    dil se rooh se hoge ham pas pas


    barish ki boondu main chaire ko main chomogi
    lapti hawao ke rokh se unko main cho logi
    suraj ki kirno se raoshni main dongi
    bas mujhe phaoncha de tu unke pass
    Aye hawa le chal mujhe unke paas


    ankho se unki main taro ko cho logi
    chanda ki raoshni unko main de dongi
    patto main bikher k qadmo ko cho logi
    bijli se lipat k bahon main bher logi
    suraj ki pheli kirno ka unko bosaa main dongi
    aaj bas main nahi mere ye jazbaat


    choke tu ana unhe ye bas batana unhe
    mere wo dilber hai tu na satana unhe
    mera paigham dena choke tu unko fir mujh ko chona
    aye hawa tu samajh jana mere dil ki baat
    wo ho jahan kahi ho hai tu mere saath
    waqat se halaat se raasta doshwaar hai
    mera jana na hoga tu chali ja o mera pyaar hai
    saanso se unki lipat k etna tu kah dena
    tere bina dil nahi lagta o mere sajna
    wo hai sanam mere samjhe ge her ek baat


    tujhko pata nahi maloom; aa de do unka pata
    ankho main tasweer unki meri hi hongi
    honto se naam mera dherkan le rahi hongi
    qadmo ki aahatein mujhko hi dhond rahi hongi
    bahon main leke meri yaadein ankhein so rahi hongi
    palko se mohabbat unki tujhe eshara dengi
    lakho main ek hai wo chahat ye nazara dengi
    fir tu khoshi se unke gale lag jana
    mohbbat hai wo meri tu unko batana
    hongi kitni haseen wo raat
    jis rooz karegi tu unse mulaqaat
    kerna tu unse mere dil ki baat
    Aye hawa mujhe le chal abhi unke paas

  4. #16
    Pagal_Azeem is offline Member
    Last Online
    31st January 2010 @ 11:09 PM
    Join Date
    11 Sep 2007
    Location
    kat gaee umer magar izhar karna na aya..afsoos
    Age
    34
    Posts
    1,493
    Threads
    86
    Credits
    0
    Thanked
    0

    Default

    kuch adhore kuch mukamal rishte ........ ye hamare or thumhare rishte.............kuch dheke or andheke rishte...............kuch apne or paray rishte ..............ye hamare or thumhare rishte .........unglio per bante rishte .........dilo se nibhate rishte .........ye rishte buhat ajeeb rishte ............ye hamare or thumhare rishte ...........ye dhuko se dilo k rishte ..........ye pani se badlo k rishte ...........ye aankh se aanswo k rishte ..........ye hamare or thumhare rishte ...............

    jese b hain per hain ye apne rishte ..................

  5. #17
    Pagal_Azeem is offline Member
    Last Online
    31st January 2010 @ 11:09 PM
    Join Date
    11 Sep 2007
    Location
    kat gaee umer magar izhar karna na aya..afsoos
    Age
    34
    Posts
    1,493
    Threads
    86
    Credits
    0
    Thanked
    0

    Smile 1)Meri deewangi ko galatna samajhna,


    1)Meri deewangi ko galatna samajhna,
    maine chaha hai tumhe hadh se badhkar ,
    meri zindagi se kabhi dur na jana,
    maine paya hai tumhe kismat ki lakeeron se ladhkar...

    2)Hum to har ek ko apna kar rishta banate gaye
    Jahan Jahan se Guzre apni yaad chodte gaye
    Par kismat ka likha bhi ajeeb hai.
    Gunehgar koi aur hum saza paate gaye

    3)Kitni jaldi yeh mulakat guzar jati hai
    pyas bujhti nahi ke barsat guzar jati hai
    Apni yaadon se keh do ke yun na aaya kare
    neend aati nahi aur raat guzar jati hai

    4)Panchi ki tarhan khuli fizaaon mein
    mein bhi urna chahati thi magar meri
    yeh tamanna poori nahin huwi
    hawa toh chalti rehti hai
    zindagi bhi chalti rahegi
    jaise chalta hai jonkha
    hawa ka.!!!

    5)din raat aanhein bherte ho yaad me
    par mohabbat ka izhaar kyun nahi kerte?
    nazer se nazer takraati hai har baar
    chaah ker bhi aankhen chaar kyun nahi kerte?
    poocho hum se bhi hamare dil ke haalaat
    ankhon me chupe pyar ka aitbaar kyun nahi kerte?

    6)Sab jaan ke bhi mujhse vo bhulaya na gaya
    uske diye pyar ka koi bhi nishaan mitaya na gaya
    chaha bahut maine ki dafan kar dun uski sab yaadein
    vo tuti hui chudi vo barsaat ki raatein,
    vo aaine pe lipstik ka nishan vo mahobaat ki baatein
    mujhse mere hi dil pe ye juram dhaya na gaya
    koi yaad uski na hi apni hateli se uska naam mitaya na gaya

    7)Maana K Bhul Jana Aap Ki Fitrat Hi Sahi
    Magar Humein Bhul Jana Aap Ki Kismat MeiN Nahi
    Agar Yaqeen Naho To Aazma K Dekh Lena
    Apny Aap Ko Bhul Jaaoge Par Humein Nahi..
    Humein Jab Kabhi Khushi Mehsoos Ki Hain
    Har Kadam Pey Aap Ki Kami Mehsoos Ki Hain

  6. #18
    Pagal_Azeem is offline Member
    Last Online
    31st January 2010 @ 11:09 PM
    Join Date
    11 Sep 2007
    Location
    kat gaee umer magar izhar karna na aya..afsoos
    Age
    34
    Posts
    1,493
    Threads
    86
    Credits
    0
    Thanked
    0

    Default

    )Jab pyar karna seekh liya,
    toh pyar nibhana bi seekh liya,
    jab aaye aapki yaad toh,
    palkon ko jhukana bhi seekh liya,
    is dar se ki koi dekh na le ye aansoo,
    har gham mein muskurana bhi seekh liya

    2)Ankhon ki zuban wo samaj nahi pate
    hoth magar kuch kahe nahi pate,,,,,,
    apni bebasi kis tarah kahe hum,
    koi he jiske bina hum reh nahi pate!!!!

    3)Woh Aakh Hi Kya Jo Pyar Ki Zubaan Na Samjh Sake,
    Hoton To Hile Bina Hi ,sab Kuch Ankh Se Kehlete Hai,
    Pyar Ko Bebasi Na Kaho Mere
    Keh Ne Ke Liye Sahara Dondh Na Padhe Tumhe.

    4)ki thi suruaat ek choti si mazak se..
    mazak dard ban jayega ye malum na tha..
    samajhte the jise hum apna YAAR..
    wo ek din PYAR ban jayega ye malum na tha..

    5)Dil Ki Dharkan Ko Dharka Gaya Koi
    Merey Khawabon Ko Mehka Gaya Koi ,
    Hum Tu Anjanay Raston Pay Chal Rahay Thay
    Achanak Hi Pyaar Ka Matlab Seekha Gaya Koi!!!!!!!

    6)Dil ko araam milta hai tujhe pane se
    meri saans main saans hai bas tere hi aane se
    kaise tuh chod jati hai mukhe bari mehfil main tanha
    kya dar lagta hai tujhe mere tere karib aane se

    7)Kitna Bhi Chaho Na Bhool Pao Gaya Hume
    Jitni Door Jao Gaya Nazdik Pao Gaya Hume
    Mita Sakte Ho To Mita Do Yaaden Meri
    Magar Kya Sapno Se Juda Kar Pao Gaya Humhe

    8)Dil mein tumharey pyaar key jaltey to hain chirag
    Mana key in ki roshni tum par ayaan nahi
    Na tum bewafa ho, na hum bewafa thay
    Magar kya karain apni rahain juda hain

    9)Na Koi Kisi Se door Hota Hai
    Na Koi Kisi Ke Kareeb Hota Hai
    Pyaar Khud Chal Kar Aata hai
    Jab Koi Kisi Ke Naseeb Main Hota Hai

    10)jab se tum ho zindagi mein aaye
    khushiyon ki baarat ko saath laye. . .
    Allah ne bhi sun li fariyaad meri
    dekho to fiza mein kitne gul hai muskuraye. . .

  7. #19
    Pagal_Azeem is offline Member
    Last Online
    31st January 2010 @ 11:09 PM
    Join Date
    11 Sep 2007
    Location
    kat gaee umer magar izhar karna na aya..afsoos
    Age
    34
    Posts
    1,493
    Threads
    86
    Credits
    0
    Thanked
    0

    Default

    Logo ne sharab mehkhane ja ja kar pee hai,
    jo do pal mein utar jayegi
    humne to pee hai apne mehboob ki aankho se,
    jo umar bhar naa utar payegi....

    2)Woh khud hi ho ruswa khudi maan jaye
    Jo main rooth jaon to mujh ko manaye
    Mere paas aaye zara muskaraye
    Jo main ro paroon to woh aansoo bahaye

    3)iss kadar chaha hai tujhe humney
    tere siwa aur kuch ab nazar aata nahi
    ik tere hi jalwe rehte hai ankhoon mein
    kuch aur meri nigaahoon ko ab bhata nahi

    4)saleeka hi nahi shayud usse mehsos karneka
    jo kehta hai khudda hai to nazar ana zarori hai
    jo dil mein hai usse ankho se kehlana zarori hai
    mohabbat na samajh hoti hia ... samjhana zarori hai

    5)Hume Bhi Pyaar Karne Ka Khayal Aaya,
    Jub Bhi Yeh Khayal Aya Khud Ko Akeala Paya,
    Dhoonte Rahe Is Duniya Main Humsafar,
    Kisi Ko Dhke Baaz, Kisi Ko Bewafa Hi Paya
    .
    6)pyar karnay ka koi saleeqa nahi hota!
    wafa nibhanay ka koi tareeqa nahi hota!
    pyar to woh hai jo ankhon say dil main utray!
    ahsas dilay pyar ka koi kisay, aisa nahi hota!
    jo raz-e-dil kahna ho kabhi sanam say!
    khat hi likha jay, yeh zaruri nahi hota!

    7)Meri deewangi ko galatna samajhna,
    maine chaha hai tumhe hadh se badhkar ,
    meri zindagi se kabhi dur na jana,
    maine paya hai tumhe kismat ki lakeeron se ladhkar...

    8)Ae Allah aaj yeh faislaa kar de
    Use mera ya mujhe uska kar de
    Bohot dukh sahe hain maine zindagi mein
    Koi khushi ab mera muqaddar kar de
    Nahin naseeb main agar uska milna
    Khatm karde ye zindagi, mujhe fana kar de !!!

    9)Kon kehta hai wo mujh se juda hai
    Har pal wo meri palkon mein rehti hai
    Meri har saans main khusboo hai uski
    Dil ki dharkan bhi yehi kehti hai

    10)Ho sakta hai ki aaj unhe mere pyar aur dosti ki zarurat nahi,
    par mujhe lagta hai ki dost ko uski dosti ka ehsaas tab hota hai,
    jab wo uski zindagi se bohot dur chala jata hai...
    aur beetein hue lamho ki kuch haseen yaadein chod jata hai.."

  8. #20
    Pagal_Azeem is offline Member
    Last Online
    31st January 2010 @ 11:09 PM
    Join Date
    11 Sep 2007
    Location
    kat gaee umer magar izhar karna na aya..afsoos
    Age
    34
    Posts
    1,493
    Threads
    86
    Credits
    0
    Thanked
    0

    Default

    )Kabhi Na Bhichadne Ka Wada Kiya Tha,
    Sada Ke Liye Hogaye Hum Tumhare ,
    Gale Se Laga Ker Hume Yeh Kaha Tha,
    Kabhi Kum Na Hongae Hamare Wafayen,
    Yehi Par Kbahi Aap Hum Se Mile The,

    2)ab se judah wo hum se huay
    is dil ne dhadakna chod diya
    chaand ka mouh kuch utra utra
    phooloun ne mahekhna chod diya
    hum ne kaha "taqdeer badal de aye maalik"
    awaz yeh aaye "taqdeer badalna chod diya"

    3)din beet gaye... raatein kat gaeen....
    tere intezaar mein jaanam sadiyan guzar gaeen...
    kya yeh mera pyar hai... ya hai meri gustakhi....
    ya teri bewafaee hai... ya phir koi majboori....

    4)Ek Naam Kya Likha Tera Saahil Ki Rait Par
    Phir Umar Bhar Hawa Se Meri Dushmani Rahi

    5)Tapish Suraj Ki Hoti Hai, Jalna Zameen Ko Parta Hai
    Qusur Aankhon Ka Hota Hai, Tarapna Dil Ko Parta Hai

    6)Zaruri To Nahi, Ke Batayain Labon Se Dastaan Apni
    Zabaan Ek Aur Bhi Hoti Hai Izhaar Ki

    7)Phool Khilna Chahta Hai, Kali Khilne Nahin Deti
    Dil Milnaa Chahtaa Hai, Kismat Milne Nahin Deti

    8)Manzil ko paane ke liye Saahil ko paar karna parta hai
    Mohabbat karne ke liye dil-o-jaan qurban karna parta hai

    9)Khuda kisi ko kis par fidaa na kare,
    Agar kare to Qyamat tak judaa na kare

    10)Mujh se achhe to hai.n teri rah ke pathhar sanam,
    Roz dikhati ho jinhe aate huye jaate
    huye

  9. #21
    Pagal_Azeem is offline Member
    Last Online
    31st January 2010 @ 11:09 PM
    Join Date
    11 Sep 2007
    Location
    kat gaee umer magar izhar karna na aya..afsoos
    Age
    34
    Posts
    1,493
    Threads
    86
    Credits
    0
    Thanked
    0

    Default

    main wo sab bhool ghayi
    Wo taira kanptay hathoon se maira haath thamna
    Phir holay se dabana
    Wo taira Aankhoon se jhank kar nazroon ko girana ,
    dheeray se muskrana
    Wo tairay hontoon ka dheeray se larzna
    Ik ajab lehar ka badan main chalna
    Wo tumhein choonay ka ehsas,
    jesay doolti ho koee nawoon
    Ye sab kuch bhool bhi jawoon magar
    Nahin bholay ghee kabhi bhi mujh ko
    Haye wo Aaghazy mohabat ki pehli dharkan

  10. #22
    Pagal_Azeem is offline Member
    Last Online
    31st January 2010 @ 11:09 PM
    Join Date
    11 Sep 2007
    Location
    kat gaee umer magar izhar karna na aya..afsoos
    Age
    34
    Posts
    1,493
    Threads
    86
    Credits
    0
    Thanked
    0

    Default

    koi ye kaisay batai ke wo thanha kyoon hai..
    wo jo apna tha wohe or kese ka kyoon hai...
    yehe dunya hai tu phir ayse ye dunya kyoon hai...
    ye he hota hai tu phir yehe hota kyoon hai...
    ek zara hath barhain tu pakarlain daman...
    us ke seenay main samajain hamare dhurkan..
    itne kubat hai tu fasla itna kyoon hia..
    dil e barbad say nikla nahin ab tak..
    aass jo tot gai phir say bandhata kyoon hai..
    tum mussarat ka kaho ya isay ghum ka rishta..
    khetay hain ke peyar ka rishta hai janam ka rishta..
    hai, janam ka rishta tu phir badalta kyoon hai..

  11. #23
    miss dia is offline Junior Member
    Last Online
    13th January 2008 @ 12:11 AM
    Join Date
    27 Dec 2007
    Age
    36
    Posts
    15
    Threads
    1
    Credits
    0
    Thanked
    0

    Default

    uff

  12. #24
    Pagal_Azeem is offline Member
    Last Online
    31st January 2010 @ 11:09 PM
    Join Date
    11 Sep 2007
    Location
    kat gaee umer magar izhar karna na aya..afsoos
    Age
    34
    Posts
    1,493
    Threads
    86
    Credits
    0
    Thanked
    0

    Default

    "Roz subha khud say aik waada kartay hain
    Tujhay iss dil say bhulanay ka irada kartay hain
    Apni he baat say mukkarr jatay hain maloom nahi kyoun
    Bheegti ankhon ko khuwab tornay keliye amaadah kartay ha

Page 2 of 44 FirstFirst 1234512 ... LastLast

Similar Threads

  1. Replies: 92
    Last Post: 27th September 2012, 05:40 PM
  2. Azeem allama iqbal ki azeem shaeri
    By farhanleos in forum Urdu Adab & Shayeri
    Replies: 1
    Last Post: 11th August 2011, 01:07 PM
  3. Azeem Inqilab+Azeem Shakhsiyat
    By baniazkhan in forum Halat-e-Hazra
    Replies: 0
    Last Post: 12th January 2011, 04:10 PM
  4. Aik Azeem Insaan - Aik Azeem Maqsad Par!!!
    By -RajpuT- in forum Tanz-o-Mazah
    Replies: 2
    Last Post: 2nd December 2009, 09:34 PM
  5. Azeem Lateefee Collection (new)
    By Pagal_Azeem in forum Tanz-o-Mazah
    Replies: 41
    Last Post: 4th August 2009, 09:59 PM

Bookmarks

Posting Permissions

  • You may not post new threads
  • You may not post replies
  • You may not post attachments
  • You may not edit your posts
  •