Jo mairy aankhon se KHUAB dekho ...
to aik shab bhi na so sako gay ...
k lakh chaho na ro sako gay ...
hazar chaho na hans sako gay ..
k khuab kiya hain azab hain ye ...
mairay dukhon ki kitab hain ye ...
rafaqatain in main phot ti hain ...
mohabbatain in main roothti hain ...
panapti hain in main vehshatain si ...
aziyatain in main phot ti hain ...
inhin k dar se khizan hain jazbay ..
inhain se shakhain se toot ti hain ....
ghamon ki bandish hain khuab mairay ...
dukhon ki barish hain khuab mairay ...
ubal raha hai dukhon ka lava ...
raheene aatish hain khuab hain mairay ..
khayal saray jhulas gaya hain ..
sulagti khuahish hain khuab mairay ...
ukharti sansain hain zindagi ki ...
lahoo ki sazish hain khuab mairay ...
jo mairay aankhon se khuab dekho ....
to aik shab bhi na so sako gay
Bookmarks