AOA Friends Kasey Hein Sab,,
Dosto Mein Pahley Intel D845 GRG Board Use Karta Tha,,,Intel Original

Uss ky sath yeh Sab Kuch Mein Chala Raha Tha
160GB Hardisk
Ram 512mb,,Bus Speed 400
Processor 2.6,,Cache Speed 533
Yeh Sab Tha
Pher Mein Ny Board CHange karney ka fasla kiya or Intel D865 GCL board ly lia,,

160GB Hardisk
Ram 512mb,,Bus Speed 400
Processor 2.6,,Cache Speed 533
laga kar chalana start kar dia,,magar mujhey ab apney Computer ki speed slow lagti hai

Desktop Par "Welcome" Aney ky baad system thori dair sy desktop show karta hai during start computer or files bhi slow sy open hoti hein

jabky pahley jab mein intel d845 grg board use kar raha tha,,tab mera desktop jaldi open hota tha during start computer or tamam files bhi fast open hoti thein

dekha jaye tu Intel D865 ko fast speed sy chalna chaye kyounky yeh intel d845 sy latest hai,,iss ky ilawa mera processor or board original hai,,,,,Board Not Chipset And Processor Not Celeron

mein aik bat or wazeha karna chahon merey computer mein koi virus nahi hai,,iss bat ki gurrantee hai,or meri hardisk 80 gb full hai

pls batayein mera masla kiya hai
or iska hal kiya hai?