Page 1 of 2 12 LastLast
Results 1 to 12 of 20

Thread: long Distance Wireless Networking

  1. #1
    hammadshareef's Avatar
    hammadshareef is offline Junior Member
    Last Online
    26th April 2023 @ 08:16 PM
    Join Date
    15 Dec 2008
    Location
    Gujranwala
    Age
    34
    Gender
    Male
    Posts
    26
    Threads
    4
    Credits
    1,238
    Thanked
    2

    Default long Distance Wireless Networking

    Asslam Alaikum!
    Agr kisi ko info ho tou wo zrur share kre k meray pass ptcl ka 2mb ka pakage hai or mai agay apne 2 doston se share krna chahta hun though wireless networking lekin problem yeh hai k mera dost 200 meter k faslay pr hai lekin aam router bht kam range mai kam krtay hain mujhe iss k liey kia krna hoga koi outdoor attena lgana paray ga ya koi power full router lena pray jo 200 meter ki range ko cover karay bina center mai access point k

  2. #2
    zohaibumar's Avatar
    zohaibumar is offline Senior Member+
    Last Online
    12th June 2015 @ 12:40 AM
    Join Date
    31 Dec 2009
    Location
    Online
    Gender
    Male
    Posts
    549
    Threads
    21
    Credits
    965
    Thanked
    39

    Default

    you need to place and access point in between you and your friend in repeater mode configuration
    your router---------------Repeater-----------your friend AP
    There are 10 type of people in this world, Those who understand Binary and those who not.

  3. #3
    Join Date
    10 Jun 2009
    Age
    38
    Posts
    432
    Threads
    10
    Credits
    1,259
    Thanked
    25

    Default

    Quote hammadshareef said: View Post
    Asslam Alaikum!
    Agr kisi ko info ho tou wo zrur share kre k meray pass ptcl ka 2mb ka pakage hai or mai agay apne 2 doston se share krna chahta hun though wireless networking lekin problem yeh hai k mera dost 200 meter k faslay pr hai lekin aam router bht kam range mai kam krtay hain mujhe iss k liey kia krna hoga koi outdoor attena lgana paray ga ya koi power full router lena pray jo 200 meter ki range ko cover karay bina center mai access point k

    Apnay wireless router ke sath aik outdoor omni directional antenna laga lain ap aur is ko apni roof pr fit kr dein.

    MS TELECOMMUNICATION SYSTEMS
    BSCS HONORS
    CCNA & MCP CERTIFIED

  4. #4
    hammadshareef's Avatar
    hammadshareef is offline Junior Member
    Last Online
    26th April 2023 @ 08:16 PM
    Join Date
    15 Dec 2008
    Location
    Gujranwala
    Age
    34
    Gender
    Male
    Posts
    26
    Threads
    4
    Credits
    1,238
    Thanked
    2

    Default

    Quote AtifRaza said: View Post

    Apnay wireless router ke sath aik outdoor omni directional antenna laga lain ap aur is ko apni roof pr fit kr dein.


    Buhat Buhat Shukriya Bhai Atif bhai.
    Aap mujhe omni atena ki cost bta sktay hain?

  5. #5
    Join Date
    10 Jun 2009
    Age
    38
    Posts
    432
    Threads
    10
    Credits
    1,259
    Thanked
    25

    Default

    Brother, generally antennas ap youn samaj lain ke 2 types ke hotay hain

    1) Directional Antenna
    Yeh wo antenna hotay hain jo ksi khaas direction main signals throw krtay hain, baki directions main signals ya to hotay nahe hain ya phr bohat weak hotay hain. Sirf aik particular direction main maximum signals hotay hain

    2) Omni-Directional Antenna

    Yeh aesa antenna hota hai jis ne ksi aik particular direction main nahe, balkay tamam directions main signals throw krnay hotay hain. Obviously is ne tamam directions main signal throw krnay hotay hain is leye is ki coverage Directional Antenna se kam hoti hai.


    Question: what is indoor & outdoor????

    Wo antenna jo ksi building/home ke ander use kya jaye us ko INDOOR boltay hain jo mostly ksi building ke ander different rooms main coverage ke leye use kya gata hai. Aur wo antenna jo home/building ke ander nahe balkay roof wagra pr lagaya jaye us ko outdoor antenna bola gata hai.

    Ab ap ko pata lag geya ho ga ke main ne ap ko OutDoor Omni-Directional Antenna kyu kaha tha...,

    Ab ap ka question....... Kon sa antenna use krna chahiye aur us ki price???!!!

    Har antenna ki aik POWER GAIN hoti hai jis se wo signals transmit krta hai. Is power gain ko 'DBI' main measure kya gata hai... 8 DBI Omni-Directional Antenna bhi 300meters ki range provide kr deta hai....

    Ab to OutDoor Omni-Directional antennas 12 aur 15 DBI tk ke bhi aa rahay hain. Any how main situation proper analyze keye baghair koe antenna ap ko recommend nahe kr sakta. Technically main ne ap ko samjanay ki kooshs ki hai. TP-LINK ke aik antenna ka model share kr raha hun ap is ki description parhain, is model ko share krnay ka maksad yeh nahe ke ap yeh purchase kr lain. Aur experts ki bhi suggestion lain aur phr decision lo ap

    TP-LINK 12 DBI OUTDOOR OMNI-DIRECTIONAL ANTENNA

    Regards,
    Atif Raza

  6. #6
    hammadshareef's Avatar
    hammadshareef is offline Junior Member
    Last Online
    26th April 2023 @ 08:16 PM
    Join Date
    15 Dec 2008
    Location
    Gujranwala
    Age
    34
    Gender
    Male
    Posts
    26
    Threads
    4
    Credits
    1,238
    Thanked
    2

    Thumbs up

    Atif Bhai aap ne buhat achay tarika se wazahat ki hai buhat buhat shukrya.
    mujhe smajh aa gai hai kafi had tak me aap ko buhat mashkoor hun

    Atif bhai aik or aat aap se puchna chahun ga k jab me apne dost se share kr lu ga tou aesa kesay mumkin ho ga tou aesa kesay mumkin ho ga k hum dono k ilawa koi or use na kr skay kiun k iss tarah hmari speed pe fark pr skta hai. mene mac adreess k baray mai suna tha k mac adress se hm devices ko jor sktay hain.

  7. #7
    ABDUL FAROOQ is offline Junior Member
    Last Online
    10th March 2015 @ 11:26 PM
    Join Date
    04 Jan 2011
    Age
    37
    Gender
    Male
    Posts
    15
    Threads
    2
    Credits
    0
    Thanked: 1

    Default

    HELLOATIF SAB MAIN LOGO KO INTERNET CONNECTION DENA CHAHTA HO 3KM KE AREA MAIN MONTHLY FEE PER OUR ES K LIYE HOME STATION BANA CHAHTA HON TOWER LAGA KAR OR DEVICES LAGFA KAR etc.. AB TAMAM LOGO KO SAMAJ A GAYE HOGI PLEASE TELL ME ABUOT ...

  8. #8
    affan_848 is offline Senior Member+
    Last Online
    7th May 2015 @ 04:56 PM
    Join Date
    28 May 2010
    Age
    33
    Posts
    172
    Threads
    8
    Credits
    940
    Thanked
    9

    Default

    atif bahi ek baat bata dain mujhay,, ye bat thek hai k antenna k gain hota hai lakin kia iskay liye transmitter bhi power full signal wala hoga na ye sirf antenna say kaam chal skta hai

  9. #9
    Join Date
    10 Jun 2009
    Age
    38
    Posts
    432
    Threads
    10
    Credits
    1,259
    Thanked
    25

    Default

    Quote hammadshareef said: View Post
    Atif Bhai aap ne buhat achay tarika se wazahat ki hai buhat buhat shukrya.
    mujhe smajh aa gai hai kafi had tak me aap ko buhat mashkoor hun

    Atif bhai aik or aat aap se puchna chahun ga k jab me apne dost se share kr lu ga tou aesa kesay mumkin ho ga tou aesa kesay mumkin ho ga k hum dono k ilawa koi or use na kr skay kiun k iss tarah hmari speed pe fark pr skta hai. mene mac adreess k baray mai suna tha k mac adress se hm devices ko jor sktay hain.

    Kyu nahe brother security zaroor hoti hai. Ap ke antenna ne to wireless router se hi attach hona hai to ap koe bhi wireless router le lo har router main security ki option hoti hai, han mukhtalif wireless routers main security options kam ya zyada hoti hain. Aik security option to yeh hai ke ap apnay Wifi ko password/key protected kr do aur ap yeh Key/Password sirf apnay dost se share kro. Jab bhi koe bhi ap ke WIFI se connect honay lagay ga agr wo sahe Key/Password de ga to Internet Access kr sakay ga warna nahe.

    Dosri security option to behtar hai wo 'MAC FILTERING' ki. MAC kya hai... jitni bhi networking ke leye devices hoti hai dunya main un sab ka aik unique address hota hai. Jis tarhan Pakistan main har banday ka unique N.I.C number hota hai isi tarhan networking ke devices ka bhi unique physical adress hota hai jis ko MAC boltay hain. Ksi bhi Network Device ka MAC Address nikalna koe bari bat nahe hai. To ap ko aesa wireless router lena hai jis main FAC FILTERATION ki option ho aur us main ap ne apnay dost ke Wireless Network Card ke MAC Address ko allow kr dena baki sb ke leye disallow. Ab ho ga kya ke jab bhi koe banda ap ke internet ko access krnay ki kooshs karey ga to ap ka Router check kray ga ke us ke card ka MAC address kya hai aur agr wo address ap ke save adress se match ho jaye to phr ap ka dost internet use kr sakay ga. Ab chahay dosra jitni marzi try krta rahay wo access nahe kr sakay ga kyu ke ap ka wireless router dosray mac addresses ko reject krta rahay ga sirf un loogo ko allow kray ga jin ka mac adress ap ne deya ho ga. Is leye Wireless Router sooch samaj ke lejeye ga ...

  10. #10
    Join Date
    10 Jun 2009
    Age
    38
    Posts
    432
    Threads
    10
    Credits
    1,259
    Thanked
    25

    Default

    Quote ABDUL FAROOQ said: View Post
    HELLOATIF SAB MAIN LOGO KO INTERNET CONNECTION DENA CHAHTA HO 3KM KE AREA MAIN MONTHLY FEE PER OUR ES K LIYE HOME STATION BANA CHAHTA HON TOWER LAGA KAR OR DEVICES LAGFA KAR etc.. AB TAMAM LOGO KO SAMAJ A GAYE HOGI PLEASE TELL ME ABUOT ...
    Jitna zyada ap distance barhatay jao gay ap ka signal weak hota jaye ga kyu ke darmiyan main trees aain gay, walls aain gay aur signal loss barh jaye ga. Main pehlay bata chuka hun ke OMNI DIRECTIONAL ANTENNA zyada distance tk coverage nahe detay kyu ke in antennas ne sari directions main signal ko transmit krna hota hai. Han aik high gain directional antennas 3KM tk coverage de de ga magr sirf aik particular direction main.

    Question ata hai ke phr baki companies yeh sab kesay kartein hain???

    Answer: Wo loog multiple antennas use krtay hain, for example aik omni-directional antenna ke sath 3 ya 4 directional antennas laga detay hain, har directional antenna apni apni direction main coverage deta hai. Is ko network designing boltay hain aur is main aur bhi bohat sarey cheezain hotein hain jin ko dekhna hota hai. Aur phr bakaida companies un jaga pr repeaters lagatein hain jahan signal bohat weak hota hai. Is barey main ap ksi Professional Wireless Network Expert se rapta krain....

  11. #11
    Join Date
    10 Jun 2009
    Age
    38
    Posts
    432
    Threads
    10
    Credits
    1,259
    Thanked
    25

    Default

    Quote affan_848 said: View Post
    atif bahi ek baat bata dain mujhay,, ye bat thek hai k antenna k gain hota hai lakin kia iskay liye transmitter bhi power full signal wala hoga na ye sirf antenna say kaam chal skta hai
    Brother, antenna ne ap ke signals ko transmit bhi krna hota hai aur receive bhi krna hota hai.. Alag se koe Transmitter/Receiver nahe required.

  12. #12
    mnaseer42 is offline Senior Member+
    Last Online
    22nd December 2013 @ 12:49 AM
    Join Date
    06 Aug 2010
    Gender
    Male
    Posts
    388
    Threads
    86
    Credits
    0
    Thanked
    7

    Default

    MUJE NETWORKING K BARE MEIN SEIKHNE KA BOHAT SHOK HAI . . . .
    AP LOGO KI WAJA SE MERE KNOWLEDGE MAIN KAFI EZAFA HOWA HAI MUJE TO IN DEVICES K BARE MAIN ZARA SA B NAI PATA THA.
    AAB TO MAIN NA SIRF IN DEVICES K BARE MAIN JAN GIYA HON BALKY IN K WORKING K BARE MAIN B JAN GIYA HON.
    bohat shukriya app sub ka.

Page 1 of 2 12 LastLast

Similar Threads

  1. Replies: 24
    Last Post: 29th June 2014, 02:51 PM
  2. Solved Dsl long distance problem
    By ikram62 in forum Solved Problems (IT)
    Replies: 6
    Last Post: 15th November 2013, 12:16 PM
  3. Wireless Networking
    By Danish shaikh in forum Ask an Expert
    Replies: 10
    Last Post: 10th January 2012, 12:57 AM
  4. Wireless networking
    By IT Power in forum Ask an Expert
    Replies: 4
    Last Post: 26th August 2008, 11:19 AM

Bookmarks

Posting Permissions

  • You may not post new threads
  • You may not post replies
  • You may not post attachments
  • You may not edit your posts
  •