Tamam brothers and sisters ko,
ajkal dill buhat upset rahta hai ka akhir humara mulk ko kis ki nazar lag gai,halat din badin bigarta jaraha hain or hukmaranon or tamam siasi paries mulk ki bajaya apna mafad ko tarji da raha hain.
Loadshedding jo kah ajkal hot issue bana hua hai jis na awam ko jhanjora or tamam logon ko bahir nikalna per majboor kia or kal tak yeh lagta tha ka shaid ab hamari in corrupt hukmaranoon sa jan chot jia,tamam parties bhi government sa naraz nazar arahi thi joka mazloom awam ko iss dozakh sa nikalna main shaid mudadgar sabit ho sakti thi lakin,afsoos Lanat ho in tamam siasi jamaton per jinhon nain awam ka sukh chain per apna mafad ko tarjhi di,or in idiots sa hakomat ka sath shamil ho ker yeh sabit ker dia kah awam mara ya jia hamain iss sa koi sarokar nahi,agar abb bhi hamari ankhain nahi khuli to lanat ho hum per bhi.
suna hai ka ksi koom ka jasa loog hota hain wasi hi uski government hoti hai,to ab hum kud soch lain ka kia hum itna bura hain ka zardari jasa zmana bhar ka ghanda insaan hum per hakomat ker raha hai.
mera brothers and sisters ab wo waqt agia hai ka hum sab ko yakzoban ho ker yeh kahna para ga ka,
Ab buuuuuuuuuuuus,no more!
hum sab ko yeh prove karna hoga ka hum itna bura nahi.
aik baat jo bilkul ab waza ho gai hai,wo yeh ka tamam siasi jamatain humara sath nahi dain gi,wo to kud humain iss daldal main dakhalna main puri taqat sa sargarm hain,ab hum sab ko bahir nikalna hoga or kud apna mulk ko apni izzat ko bachana ho ga,ppp,mqm,q ligue,yah N ligue,koi bhi muklis jamat nahi hai my dear jis tarhan inhon na hamara jazbaat ko isktamal kia or un ki dhajian bikhari hain,ab hamain uss ka hisab lana hoga.
plzzzzzzz hamain misbat ahtajaj karna ho ga,sab ko akhata hona ho ga,apna ksi Pakistani ko nuqsan da ker nahi balka in taqleef dani hogi,sarkari imlak ko nuksan dana sa in koi koi taqleef nahi hogi,kon sa in ki zadi jabkharch da jana hai,iss tarhan to hum apna app per zulm kerta hain.humain wo road block kerna honga jahan sa in ko taqleef ho,jasa motorway etc.
iss hakomat ko plzzzz sab mil ker asi saza dain ka phir koi bhi itni dhidai sa hamara jazbaat sa na khala.or hamain dunia bhar ka samna tamash bana ka socha bhi nahi.abb yeh hum sab ka kaam hai ka kiss tarhan hum apna app ko or iss mulk ko nijat dilayan.
yeh tamam siasi parties isi liya hum per itni dhitai sa faisla sadir karti hain kun ka inhain pata ha ka yeh koom to soi hui hai jo marzi karo koi nahi bola ga.
agar yeh government apni mudat pori kara gi to mara khial main humm jasi selfish,idiot or bahis qoom pori dunia main koi nahi ho gi.
so plzzz hamain islamabad jakar yeh prove karna ho ga k nulkon bus buhat ho chuka.jis tarhan or dosra contries main inkalab aya hai,iss sa kai darja bhar ker inkalab ki zaroot hai.
ab dakhna yeh hai kah wo pahla shaks kon ho ga jo iss mulk ki izzat or is ka logon ka sakon wapis diaya ga.
INshallah hamara Allah tala hamara hamion nasir hoga.Ameen
Bookmarks