Asslam Alaikum Doston
Ab beawaz Computer se to tang aagaya hun men, halanki mene 1 ghanta koshish ki magar jo 2 Pins hoti hen Sound ki un ka pata nahin lag raha ki Board men kis jaga lagengi, wahan kafi sari Pins hen aor koi Combination match nahin kar raha mera to
Windows aor Drivers ki taraf se to men Personally mutmain hun, Kuch Maah pehle Board Pentium 4 men Upgrade karaya to shayad theek se set nahin kiya gaya kiunki Power wale buttons bhi kaam nahin karte baad men Cables ka massala hi saamne aaya kiunki unhen ullat pullat karne se Power Lights par kuch assar para
Magar mere pass CPU Computer Shop par lejaane ke zaraye available nahin aor men figure out nahin kar paa raha ki woh 2 Sound ki Cables jin par "Speakers" likha hua hai Board ki kin Pins men lagengi ki kaam karna start karden

Plus + Mene External Sound card bhi try kiya tha jis se zahir hai ki kaam nahin bana aor yeh zahir karta hai ki Internal Sound System sahi hai jo pehle bhi use hota rehta tha....