Yunhi do pal sahi ghamgeen dil ko shaad kartay hain
ameer-e-shehar k agay koi faryaad kartay hain
thikana dhondhtay hain ab kisi ujray hoey dil main
cholo aao koi veraan ghar aabaad kartay hain
tumharay ye jahan walay hamain pagal samjhtay hain
bhula detay hain khud ko ham tumhain jab yaad kartay hain
unhain fursat kahan betaab dil ka haal sunnayki
hamaray waste kab wqt wo barbaad kartay hain
porani baat hai toufaan k rukh ko palat dena
jo dil ko phair day aisa hunar ejaad kartay hain
ye khamoshi se barson in ki bunyadon main palte hain
gharoun ko nafratoun k zalzalay barbaad kartay hain
tumhari goud main sar rakh k sona chahte tu hain
magar kab safar k zindaan hamain aazaad kartay hain
Bookmarks