ik khofzada jeewan lay ker
main moat kay ghar mai rehta hun
main saan bhi gin ker leta hun
jis roz safar mai rehta hun
jahan zaat nasal kay jhagro pay hathyar uthaya jata hay
har roz kaee masoomo ka jahan khoon bahaya jata hay
jahan mout bhi matam kerti hay
main usi nagar main rehta hun
ik khofzada jeewan lay kay
main mout kay ghar mai rehta hun
har roz kisi maa ka beta
baymout hi mara jata hay
har roz kisi ki mayyat ko
dharti mai utara jata hay
kabhi main bhi mar jaonga
main isi fikar main rehta hun
jis sheher ka naam karachi hay
main usi shsher main rehta hun
Bookmarks