Dosto mujhay yeh bata dain windows xp ghost kia hota hia aur yeh kaisay banta hai zara tafsilan bata dain ap ke bhaot bhot mahirbani hogi.
Dosto mujhay yeh bata dain windows xp ghost kia hota hia aur yeh kaisay banta hai zara tafsilan bata dain ap ke bhaot bhot mahirbani hogi.
Walaikum salam bhai
Ghost ik software ka nam hai jis say ap apni system main mojood hard drive k kisi bhi partition ya pori ki pori hard disk ka image bana saktay hain.
misaal k toor par ap ap nay apnay system ki window load kin aur kafi saraay programs load kiay aur apki window cruppt hogai to ap kya karoogay ?
ghost isi wajah say banaya gaya hai k ye apka waqt bachata hai aur ap k data ko b sava kar laita hai.
is main hota ye hai k ap fresh window karnay ghost software run kartay hain aur apnay "C" drive k image kisi b dosri drive main ik file k tor par save kar laitay hain.
aur jab window cruppt hojati hai to ap DOS k zarye apnay ghost software ko run kartay hain aur woh backup file k zarye jo apnay dosri drive main save ki thi apko usi halaat main wapas lay ata hai jab apnay ghost banaya.
is say apka waqt b bach jata hai aur bar bar window load karnay say b jan choot jati hai. (Ghost jis system par banaya jata hai sirf usi par chalta hai buhat kam aisa hota hia k dosray system ko support kar sakay)
umeed hai apko samaj main agaya hoga. agar kuch samaj nahi aya to P.M main poch lain.
Allah Hafiz
Bookmarks