Salam,
Mera system hard disk nahi uthata pehle to hard disk theek chal rahi thi,phir maine windows dubara karne k liye setup chalay files copy kar k jab system restart hoowa to ab system blue setup main bhi nahi jata just stuck ho jata hia start hote hee,phir maine hard disk change kar k doosri lagayi to wo us ne utha li or kuch din chalne k baad phir wohi problem shroo ho gaya doosry hard disk main ,ab 3rd hard disk laga k main system use kar raha hoon laikin is main bhi yehi masla ana shroo ho gaya hia kabhi cd rom nahi uthata to kabhi hard disk ki lite musalsal chalna shroo ho jati hai or haan is hard disk k sath main agar wo purani hard disk lagata hoon to wo found new hardware kar k show kar deta hai laikin jab system restart karta hoon to phir waheen blue board jahan intell likha hota hia stuck ho jata hai,i dont know k ye kia masla hia koi computer expert hai to pls help karay , mere paas system ki sab se pehle hard disk samsung ki thi 80 Gb phir 40 Gb hard disk lagayi or ab 3rd 10 gb hard disk hia pehli 2 to alrady system uthata nahi laikin ye 3rd wali ab 10gb wali utha raha hai. kindly help me out.shukria