Asalamoalikum
Dear experts, 2,3 din phlay mene windows 7 download ki thi, aur aus pack me already windows ki ISO image file bni hwi thi. Mene Windows 7 USB DVD Download Tool ki help se wo file usb me write krdi thi.
Laptop k BIOS me boot from usb ka option bhe select kr dia hwa hy.
Lakin msla ye hy k aik to BIOS me usb drive ka naam nhi arha, jese HDD ya rom ka nam ajata hy, i.e. Sony Dvd drive. USB ka koi naam nhi arha.
Aur 2ndly, jb me USB ko 1st boot device select kr k restart krta hun to phr jahan pe Press any key to boot from DVD/CD ROM ki option ati hy, wahan pe just DOS screen ajati hy aun aik "_" underscore ajata hy aur kuch nhi ata, kafi der tk wait kia bt kuch nhi ata.
Ais mslay ka koi solution hy?
Yad rahay k usb me iso image successfully write ho gai thi. Plz rahnumai kren.