Assalam-Alaikum,

Mera problem yeh hay ke meri hard drive 80 gb hay aur mein ne D: E: aur F: drive mein kafi softwares or movies ka backup rakha hua tha us ke bawajood bhi kafi disk space mojood thi magar 15, 20 din se jab system kholta hoon to show hota hay low disk space aur drives mein space fill ho chuki hay mein us ke baad kafi movies delete karta hoon magar kuch ghanton baad phir low space ka message popup ho jata hay. pls experts solve my problem