Tum aur fareb khao bayan-e-raqib se
Tum se to kam gila hai ziyada nasib se
Goya tumhari yad hi mera ilaj hai
Hota hai paharon zikr tumhara tabib se
Barabad-e-dil ka akhiri saramaya thi ummid
Vo bhi to tum ne chin liya mujh garib se
Dhundhala chali nigah dam-e-vapasi hai ab
A pas a ke dekh lun tujh ko qarib se
Poet Agha Hashar
Bookmarks