Page 1 of 3 123 LastLast
Results 1 to 12 of 33

Thread: ~~*Dard-E-Dil*~~

  1. #1
    Desert_rose's Avatar
    Desert_rose is offline Advance Member
    Last Online
    2nd January 2023 @ 05:49 AM
    Join Date
    04 Jun 2012
    Location
    Quetta
    Age
    32
    Gender
    Male
    Posts
    1,376
    Threads
    171
    Credits
    72
    Thanked
    219

    Exclamation ~~*Dard-E-Dil*~~

    Aashiq Ka Janaza Uthnay Do,
    Phir Haath Mein Mehndi Laga Lena,

    Laash Humari Jalnay Do,
    Phir Tum Phairay Lena,

    Kal Ka Suraj Niklay Ga
    Mere Marnay K Baad,

    Pal Do Pal Ka Hoon Mehmaan,
    Sun Meri Ye Faryaad,

    Tum Aa K Meri Maiyyat Par
    Ho Sakay To Phool Charrha Jana,

    Aitraaz Nahi Hai Koi,
    Ay Dilbar Mere Mujh Ko,

    Haan Tujhe Mubarak Shadi,
    Barbaadi Salamat Mujh Ko,

    Chitta Humari Bujhnay Do,
    Phir Tum Maang Saja Lena,

    Main Door Chala Jaon Ga,
    Haan Chorr K Teri Duniya,

    Mar K Bhi Dua Karoon Ga,
    Tujhe Milein Jahan Ki Khushiyan,

    Arthi Humari Behnay Do,
    Phir Wasl Ki Raat Manaa Lena ....

  2. #2
    Desert_rose's Avatar
    Desert_rose is offline Advance Member
    Last Online
    2nd January 2023 @ 05:49 AM
    Join Date
    04 Jun 2012
    Location
    Quetta
    Age
    32
    Gender
    Male
    Posts
    1,376
    Threads
    171
    Credits
    72
    Thanked
    219

    Default

    Aik Anjaan ko Main Jaan-e-Tamanna Samjhon
    Sab Kahen Ghair Hai Par Main Usse Apna Samjhon

    Lab Na khul Paayen Agar Woh Ho Muqabil Mere
    Yeh Uss Ke Hussnn Ka Chota Sa Karishma Samjhon

    Ik Pal Ko Bhi Uss Ke Pyaar Ki Baarish Joh Ruke
    Main Samandar ko Bhi So Saal Ka Pyasa Samjhon

    Faayda Koi Nahin Uss Ke Bina Mehfil Mein
    Raunak-e-Bazm Kisi Ko Joh Uss Ke Ilaawa Samjhon

    Uss Ke Chehre Ne Mujhe Daal Diya Hai Mushkil Mein
    Main Usse Chaand Saa,Yaah Chaand Ko Uss Sa Samjhon

  3. #3
    Desert_rose's Avatar
    Desert_rose is offline Advance Member
    Last Online
    2nd January 2023 @ 05:49 AM
    Join Date
    04 Jun 2012
    Location
    Quetta
    Age
    32
    Gender
    Male
    Posts
    1,376
    Threads
    171
    Credits
    72
    Thanked
    219

    Default

    suno! tum yaad mat karna
    agar hum mar bhi jain tu
    dill-e nashaad ko phir sey
    na tum bar baad ab karna
    humain tum yaad mat karna
    k ye yaadain tu jism-o roh ka
    nasoor hoti hain
    humarey wastey jevan ko yoon
    be-noor mat karna
    humain tum yaad mat karna
    agar hum chor k tum ko
    manoo mati main so jain
    humaari aankh bojhal ho
    aur hum nendoo main kho jain
    humarey khwaab ko ankhoon main
    phir aabad mat karna
    suno! tum yaad mat karna
    humarey wastey jevan ko yoon
    barbaad mat karna...

  4. #4
    Desert_rose's Avatar
    Desert_rose is offline Advance Member
    Last Online
    2nd January 2023 @ 05:49 AM
    Join Date
    04 Jun 2012
    Location
    Quetta
    Age
    32
    Gender
    Male
    Posts
    1,376
    Threads
    171
    Credits
    72
    Thanked
    219

    Default

    Patta Patta Gul-o-Gulzar Gawahi Deingay,
    Meri Galiyan Mere Bazar Gwahi Deingay,

    Kitnay Tarpay Hain Uski Muhabbat Mein Hum,
    Mere Ghar K Dar-o-Diwar Gwahi Deingay,

    Mere jazbon Meri Sochon Pe Musslat hai Woh,
    Meri Nazmein Mere Ashar Gwahi Deingay,

    Duniyan Mein Sirf Us Se Muhabbat Ki Hai,
    Is Pe So Bar Mere Yaar Gwahi Deingay,

    Usay Panay Ki Jahan Maine Dua'ein Mangi,
    Woh Masjidein Woh Darbar Gwahi Deingay...

  5. #5
    Desert_rose's Avatar
    Desert_rose is offline Advance Member
    Last Online
    2nd January 2023 @ 05:49 AM
    Join Date
    04 Jun 2012
    Location
    Quetta
    Age
    32
    Gender
    Male
    Posts
    1,376
    Threads
    171
    Credits
    72
    Thanked
    219

    Default

    Dil aaj shaair hei , gam aaj nagma hei , shab ye gazal hei sanam ,

    Ghairon k shairon ko o sunine wale ho iss taraf bhi karam ,

    Aa k zara dekh to teri khatir ham kis tarah se jiye ,

    Aansoo k dhage se seete rahe ham jo zakham tune diye ,

    ham se hei zinda wafa aor hamin se hai teri mahfil jawan ,

    jab ham na hon ge to ro ro k dunia dhunde gi mere nishan .

    Hai piyar ham ne kiya jis tarah se oss ka na koi jawab ,

    Zara the lekin teri lao mein jal kar ham ban gai aaftab ,

    Chahat ki mahfil mein gam tera le kar qismat se khela juwaa ,

    dunia se jeete par tujh se haare yun khel apna huwa

  6. #6
    Desert_rose's Avatar
    Desert_rose is offline Advance Member
    Last Online
    2nd January 2023 @ 05:49 AM
    Join Date
    04 Jun 2012
    Location
    Quetta
    Age
    32
    Gender
    Male
    Posts
    1,376
    Threads
    171
    Credits
    72
    Thanked
    219

    Default

    سرد تاریک کمرے میں



    جگنو تمھاری یاد کا



    اچانک ٹمٹما اٹھا



    درد کی اک ٹیس نے



    پھر سے انگڑاہی لی



    خامو ش رات مہکنے لگی



    یاد کی آگ دھکنےلگی

  7. #7
    Desert_rose's Avatar
    Desert_rose is offline Advance Member
    Last Online
    2nd January 2023 @ 05:49 AM
    Join Date
    04 Jun 2012
    Location
    Quetta
    Age
    32
    Gender
    Male
    Posts
    1,376
    Threads
    171
    Credits
    72
    Thanked
    219

    Default

    Na Gila Hai Koi Halaat Se
    Na Shikayaten Teri Zaat Se,

    Khud Hi Sare Warq Juda Huwe
    Meri Zindagi Ki Kitab Se,

    Tujhe Chaha Tha Tujhe Pa Liya
    Tujhe Pa K Bhi Tujhe Kho Diya,

    Mujhe Khuwahishon Ki Thi Aarzu
    Meri Zindagi Me Azab Thy,

    Meri Wehshaton Ki Raah Mein
    Faqat Mehfilon K Saraab Thy,

    Kati Umer Jinki Talaash Mein
    Mere Ratjagon K Wohi Khuwab Thy,

    Yun Bhatak Bhatak K Tamam Umer
    Kabhi Asar Hi Na Hua,

    Jinhe Kho Diya Tere Ishq Mein
    Wo Sapnay Be Hisaab Thy.

  8. #8
    Sajjad8799's Avatar
    Sajjad8799 is offline Senior Member+
    Last Online
    29th March 2017 @ 10:34 PM
    Join Date
    21 Oct 2012
    Location
    Dhanot lodhran
    Gender
    Male
    Posts
    1,356
    Threads
    53
    Credits
    92
    Thanked
    49

    Default

    Nice

  9. #9
    Muhammaduf's Avatar
    Muhammaduf is offline Senior Member
    Last Online
    24th September 2017 @ 05:11 AM
    Join Date
    29 Jun 2012
    Location
    Toba Tek Singh
    Age
    29
    Gender
    Male
    Posts
    12,314
    Threads
    517
    Credits
    11
    Thanked
    1180

    Default

    Nice Poetry Thanks For Sharing
    [B][CENTER][SIZE=4][URL="https://www.youtube.com/watch?v=1LLCI_DmRj0"]AdSense Vs. Affiliate Marketing — $100 on 1,000 Views?![/URL][COLOR="#FF0000"]?![/COLOR][/SIZE][/CENTER][/B]

  10. #10
    Desert_rose's Avatar
    Desert_rose is offline Advance Member
    Last Online
    2nd January 2023 @ 05:49 AM
    Join Date
    04 Jun 2012
    Location
    Quetta
    Age
    32
    Gender
    Male
    Posts
    1,376
    Threads
    171
    Credits
    72
    Thanked
    219

    Default

    Thanks both of you

  11. #11
    Join Date
    16 Nov 2012
    Location
    Gilgit Baltista
    Gender
    Male
    Posts
    219
    Threads
    81
    Credits
    1,544
    Thanked
    25

    Default

    Hawa thami thi zaroor lekin…bari hi muddat guzar chuki thi…

    who shaam bhi jaise sisak rahi thi …k zard patton ko aandhion ne…

    Ajeeb Qissa suna diya tha…k jisko sun kar tamaam patte…

    sisak rahe thay bilak rahe thay…

    Najane kis “saanhey” k ghum mein…shajar jarron se ukhar chuke thay…

    bohat talasha tha hum ne tumko…

    Har ek rasta…har ek waadi…har ek parbat…har ek ghaati…

    kahein se teri khabar nahi aayi…

    To keh ke yeh hum ne dil ko taala…”hawa thame gayi to dekh lein gay”…

    hum us ke raston ko dhond lein gay mager humari ye “khush khyali”…

    Jo hum ko barbaad kar gayi thi…hawa thami thi zaroor lakin…

    “bari hi mudat guzar chuki thi”…humare balon ke janglon mein safayd chandni utar chuki thi

    falk pe tare nahi rahe thay…gulab Pyaray nahi rahe thay…

    wo jin se basti thi dil ki basti…”wo log saray nahi rahe thay…

    magar ye “almiya” sab se baala tar tha…

    “k Hum tumhare nahi rahe thay”…

    “k tum humare nahi rahe thay”…

    Hawa thami thi zaroor lekin…bari hi muddat guzar chuki thi

  12. #12
    Desert_rose's Avatar
    Desert_rose is offline Advance Member
    Last Online
    2nd January 2023 @ 05:49 AM
    Join Date
    04 Jun 2012
    Location
    Quetta
    Age
    32
    Gender
    Male
    Posts
    1,376
    Threads
    171
    Credits
    72
    Thanked
    219

    Default

    Quote lonelysagar said: View Post
    Hawa thami thi zaroor lekin…bari hi muddat guzar chuki thi…

    who shaam bhi jaise sisak rahi thi …k zard patton ko aandhion ne…

    Ajeeb Qissa suna diya tha…k jisko sun kar tamaam patte…

    sisak rahe thay bilak rahe thay…

    Najane kis “saanhey” k ghum mein…shajar jarron se ukhar chuke thay…

    bohat talasha tha hum ne tumko…

    Har ek rasta…har ek waadi…har ek parbat…har ek ghaati…

    kahein se teri khabar nahi aayi…

    To keh ke yeh hum ne dil ko taala…”hawa thame gayi to dekh lein gay”…

    hum us ke raston ko dhond lein gay mager humari ye “khush khyali”…

    Jo hum ko barbaad kar gayi thi…hawa thami thi zaroor lakin…

    “bari hi mudat guzar chuki thi”…humare balon ke janglon mein safayd chandni utar chuki thi

    falk pe tare nahi rahe thay…gulab Pyaray nahi rahe thay…

    wo jin se basti thi dil ki basti…”wo log saray nahi rahe thay…

    magar ye “almiya” sab se baala tar tha…

    “k Hum tumhare nahi rahe thay”…

    “k tum humare nahi rahe thay”…

    Hawa thami thi zaroor lekin…bari hi muddat guzar chuki thi
    Bht Aalaa

Page 1 of 3 123 LastLast

Bookmarks

Posting Permissions

  • You may not post new threads
  • You may not post replies
  • You may not post attachments
  • You may not edit your posts
  •