Men shair hu to aksar log mjhse poochte hen
Mohabat Aakhirish hy kya. . ?
"wasi" men hans k kheta hu
ksi piyase ko apne hissey ka pani pilana b mohabat hy
bhanwar men doobte hue ko sahil tk le jana b mohabat hy
kahin ham, raaz saare khol sakte hon mgr phr b
ksi ki bebasi ko dekh kr khamosh reh jana mohabat hy
ksi k waaste jabrn he honton pr hansi lana mohabat hy
kahin baarish sehmey, bheegte billi k bache ko
zra c der ko ghar le k aana b mohabat hy
koi chiriya jo kamrey men bhatakti aan nikli ho to us chiriya ko
pankhe band ker k raasta baher ka dikhlana mohabat hy
mohabat k hazaron rang, laakhon isteaare hen
ksi b rang men ho ye
mjhe apna banati hy
ye mere dil ko bhaati hy. . .
( Wasi Shah )