salam, mere sath ye masla buhat dino se hai,par iska koi answer nhe mil raha hai, mere computer mein 2 account hain aik mera hai jo admin ka hai aur dosra mere dost ka hia, jab mein apna account log off kar ke jata hon to wo mera account use kar leeta hai, manage mein jar kar paswrod reset karta hai aur use kar leta hai, mera is tarha se buhat sa Data jo Encryptded tha wo lost ho gaya, par mein usko kuch keh nhe sakta aur uska admin rights bhi khatam nhe kar sakta, kia aisa koi tareeqa hai XP mein k wo mera manage mein bhi ja kar pasword change na kar sakee, aur ham dono ke rights bhi equal hi raheen, yani admin equal, plz plz agar xp mein kaheen bhi ye option hai to mujhy zaroor bayaen, shukriya, Allah ham sab par appna reham karee, Ameen!