Page 1 of 4 1234 LastLast
Results 1 to 12 of 45

Thread: Examination phobia by Aasyah Zohaib

  1. #1
    Shehzad Iqbal's Avatar
    Shehzad Iqbal is offline Advance Member+
    Last Online
    26th November 2023 @ 06:28 PM
    Join Date
    16 Jan 2009
    Location
    Karachi
    Gender
    Male
    Posts
    28,463
    Threads
    2271
    Credits
    11,705
    Thanked
    5385

    Default Examination phobia by Aasyah Zohaib

    السلام علیکم ورحمۃ اللہ وبرکاتہ
    سسٹر آسیہ زوہیب (اللہ پاک اُسے جلد از جلد صحت کاملہ عاجلہ نصیب فرمائے) کا ایک اور ہنستا مسکراتا عین حالات کے مطابق تھریڈ۔۔


    " Examination phobia"

    jaisa keh hum sab jantay hain kah humaray forum k bohat se members aaj kal gair hazir dikhai dete hain,,,aur aik signature chor jatay hain...
    busy in exams
    iss liye socha kah kuch tips de doon inn members hazraat ko,,,chalo Allah bhala hi kere ga
    waise tou mahreen-e-nafsiyaat k kahnay k mutabiq insaan ko bohat se khoof aur bemariyan laahaq hoti hain jin ki wajha se insaan ki zindagi ajeeran ho jati hai, masslan (for example) bad soorti ka khof [kyon k shahzad bhaiya kahtay hain k agr aap khoob surat dikhai dete hain toi aaina jhooth bolta hai ]
    nakami ka khoof, ehsas-e-bartri aur burhapay ka khoof ....
    lekin aaj hum aik naye aur mohlik khof ya aap isse bemari kah lain tou zyada behtar ho ga,, iss pe behas kerain ge,,,,[ i wish k ye topic Dil- Shah likhtay kyon k wo achi khasi behas kr lete hain ] (juz kidding )g tou iss bemari ko talib-e-elm "examination phobia" ka naam dete hain aur ye bemari khas un hi ki wajha se wajood kainaat ka hissa bani aur wo samjhtay hain k exams koi unnecessary blla(monster) hai,,aur sardi ki raton mein b passeenay mein sharaboor uthay hain,,,mamma g pochti hai beta kya hua kehtay hain "mamma g ik bora sapna dekha main examination hall mein tha aur mujhe paper nahi ata tha

    chalain g sab se pehlay hum iss ki alaamat(symptoms) byaan fermatay hain .....
    iss k asraat emtehaan ki date sheet muqqrar hone k sath hi shoroh ho jatay hain aur emtehaan k ikhtataam tak chaye rahtay hain. iss doran talib-e-elm ki halat bohat qabil-e-raham hoti hai.iss pe mayosi k badal chaye rahtay hain aur wo bohat zyada tanhai pasand ho jata hai.baat baat pe iss ka dil ghabranay lagta hai aur khas tor pe kitabon ko dekh kr isse hol uthtay thay, ser chakranay lagta hai, inn dino mareez neend awar goliyan kasrat se istamaal kerte hain aur aik aur bohat zaroori baat kah wo kasrat se chaye, coffee aur kehwa nosh fermatay hain, inn sab baton k elawa sab se qabil-e-zikar aur khatrnaak alaamat yeh mushahiday mein ati hai kah inn dino mareez bohat chirchara ho jata hai aur aksar apne saathi mareezon kay sath baith ker professor sahibaan ko apni iss halat ka morad alzaam tahraata hai kah wo papers bohat mushkl banatay hain bulkah out of syllabus banatay hain khud ko alama samjhne lagta hai aur apna peechla sunehri dour yaad kerta hai...jaisa k aksar talib-e-elm hazraat fermatay hain kah 80% paper ka inhasaar os lecture pe hota hai jo un se miss ho jata hai ya wo kitaab jo unhain kabhi perhai hi nahi gai
    aur mostly tali-e-elm ye b uzr paish kerte hain k unhain pata nahi chala un ka english ka paper tha aur wo urdu ki tyari mein masroof thy

    chalin g ab dekhtay hain k iss bemaari ka koi elaaj b hai ya nahi
    kyon k iss mouzi aur mutaeddi bemaari ka elaaj kerna bohat zarori hai agr zyada arsa tak ye beemari lahaq rahy tou bohat se noqsaanat ka baes banti hai.....
    sab se pehlay tou temadaar ko chaiye k wo mareez ko nisaab k paas b na phatakanay de kyon k mazeed perhai se iss ki bemari mein azafa ho sakta hai aur jahan tak ho sake isse khulasay (manuals) guaides, test papers aur usaataza k qalmi nushkay faraham kiye jayain..kyon k ye behtareen tonic hai
    iss k elawa ird gird ka mahol mareez pe bohat asr andaaz hota hai agr mareez k mizaaj shareef ko thori tafreeh di jaye tou kya hi baat hai, T.V aur rock music ka ehtamam krna bohat hi zarori hai, temadaar ko chaiye k wo mareez k serhanay baith kay almiya aur ishqiya ashar ka vird jari rakhain...ho sake tou koshish kerain mareez ko aik do baar cinema ka chakr lagwa lain,,,,
    tafreeh kissi open park mein honi chaiye mareez ko family park se door rakhain
    iss ka faida result anay pe zahir ho ga
    tab tak mareez nafsiyati tor pe b tayaar ho ga aur board, mumtahin hazraat ko bakhoobi slawatain suna sake ga .......
    ab atay hain perhaiz ki taraf kyon k iss k bina treatment ka koi faida nahi.....
    aur aik famous proverb b tou hai na
    "perhaiz elaaj se behtar hai " ahoooo
    iss bemari mein perhaiz tou bohat mushkil hai balkah namumkin hai, iss mouzi bemari se bachnay k liye zarori hai kah shuroo saal se hi parha jaye ya imtehaan se pehlay hi khoob tyari matbal tamam zarori bootiya, kartoos wagaira tyar kr liye jayain ,,ya examination honor ko thora side pe le ja kr thora git mit kr liya jaye ....ahooooo
    ya phir khud ko imtehaan ki sarhadon se door rakha jaye.....
    umeed hai aap sab talib-e-elmo ko meray mashwaron se afaqa ho ga,,,,,aram na anay ki sorat mein apne mualij se mashwara kerain.... ahooooo

  2. #2
    Shehzad Iqbal's Avatar
    Shehzad Iqbal is offline Advance Member+
    Last Online
    26th November 2023 @ 06:28 PM
    Join Date
    16 Jan 2009
    Location
    Karachi
    Gender
    Male
    Posts
    28,463
    Threads
    2271
    Credits
    11,705
    Thanked
    5385

    Default

    جی آسیہ سسٹر اس حوالے سے تو بہت پریشانی تھی اور کچھ ہے بھی آپ جلدی سے واپس آجاؤ کافی کچھ معلوم کرنا ہے۔۔

  3. #3
    Tahir hkl's Avatar
    Tahir hkl is offline Advance Member
    Last Online
    27th August 2023 @ 07:06 PM
    Join Date
    18 May 2011
    Gender
    Male
    Posts
    5,891
    Threads
    188
    Credits
    69
    Thanked
    684

    Default

    Kitna lamba chora likha hua hai........!
    Waqt milega to parhunga warna.........

  4. #4
    maheenkh's Avatar
    maheenkh is offline Advance Member
    Last Online
    13th December 2023 @ 10:09 PM
    Join Date
    28 Sep 2012
    Gender
    Female
    Posts
    2,580
    Threads
    1
    Credits
    79
    Thanked
    22

    Default

    . acha hai per meri halat aci hoti i always happy n take them as can done it han jo log tension lete hain may be wo ye sab sun k mazid hopeledss hojaye ..but all the best u if u solve problems of any single person
    Last edited by maheenkh; 27th April 2013 at 04:58 AM.
    It Dunya...

  5. #5
    Muhammaduf's Avatar
    Muhammaduf is offline Senior Member
    Last Online
    24th September 2017 @ 05:11 AM
    Join Date
    29 Jun 2012
    Location
    Toba Tek Singh
    Age
    29
    Gender
    Male
    Posts
    12,314
    Threads
    517
    Credits
    11
    Thanked
    1180

    Default


    Very Nice Assyah Sister Bohat Acha Ilaaj Btaya Hai.
    But Me Is Disease Ka Shikaar Nahen Hun. Thanks 4
    Sharing This Subject With Us And Get Well Soon
    [B][CENTER][SIZE=4][URL="https://www.youtube.com/watch?v=1LLCI_DmRj0"]AdSense Vs. Affiliate Marketing — $100 on 1,000 Views?![/URL][COLOR="#FF0000"]?![/COLOR][/SIZE][/CENTER][/B]

  6. #6
    ShahidRasool's Avatar
    ShahidRasool is offline Senior Member
    Last Online
    11th November 2018 @ 08:22 PM
    Join Date
    08 Nov 2011
    Location
    dhondh lo :p
    Age
    27
    Gender
    Male
    Posts
    3,011
    Threads
    64
    Credits
    80
    Thanked
    227

    Default

    wslam::
    hahahahaha
    bilkul aen halat k mutabik bht zyada interesting or funy tips ,
    meri to jan choot gai exam se !
    Or akhir apne Rab e Karim se Dua k Jald az Jald Aasya sister ko sehat yab kre or wo dobara itd ki ronak banain!
    JazakAllah
    [CENTER][COLOR="Purple"][SIZE="4"][COLOR="Red"]Exams[/COLOR] Are [COLOR="DarkOrchid"]Finished[/COLOR][/SIZE] [/COLOR][SIZE="5"][COLOR="Magenta"]Now I [COLOR="DimGray"]Am [/COLOR][COLOR="DarkOrange"]Back[/COLOR]...[/COLOR][/SIZE]
    :yahoo:[/CENTER]

  7. #7
    MERYAM's Avatar
    MERYAM is offline Senior Member+
    Last Online
    17th September 2013 @ 11:14 PM
    Join Date
    24 Mar 2013
    Location
    KARACHI
    Age
    34
    Gender
    Female
    Posts
    653
    Threads
    48
    Credits
    0
    Thanked
    47

    Default Salam

    بہت زبردست آسیہ
    جلدی سے واپس آؤ
    اور میری فرینڈ ریکوسٹ ایکسپٹ کرو
    میں انتظار کر رہی ھوں
    اور دعا بھی

  8. #8
    Shehzad Iqbal's Avatar
    Shehzad Iqbal is offline Advance Member+
    Last Online
    26th November 2023 @ 06:28 PM
    Join Date
    16 Jan 2009
    Location
    Karachi
    Gender
    Male
    Posts
    28,463
    Threads
    2271
    Credits
    11,705
    Thanked
    5385

    Default

    آگئیں جی۔۔ تو ہوگئی دوستی یا پھر نسخہ بتا دوں؟؟؟


    Quote meryam said: View Post
    بہت زبردست آسیہ
    جلدی سے واپس آؤ
    اور میری فرینڈ ریکوسٹ ایکسپٹ کرو
    میں انتظار کر رہی ھوں
    اور دعا بھی

  9. #9
    Ghalib Awan's Avatar
    Ghalib Awan is offline Advance Member
    Last Online
    14th February 2022 @ 02:55 AM
    Join Date
    01 Feb 2010
    Location
    Hong Kong
    Age
    35
    Gender
    Male
    Posts
    6,672
    Threads
    187
    Credits
    86
    Thanked
    789

    Default

    Quote Shehzad Iqbal said: View Post
    آگئیں جی۔۔ تو ہوگئی دوستی یا پھر نسخہ بتا دوں؟؟؟
    پاجی، سفیان برادر کے بعد آپ نے بھی پھکیاں بیچنی شروع کر دیں !!!!!!!؛



  10. #10
    Join Date
    18 Sep 2012
    Location
    Jannat ul baqee
    Gender
    Female
    Posts
    3,365
    Threads
    134
    Credits
    70
    Thanked
    970

    Default

    oh bhaiya g aap tou boss hain aapko kya maloom kerna hai???
    Quote Shehzad Iqbal said: View Post
    جی آسیہ سسٹر اس حوالے سے تو بہت پریشانی تھی اور کچھ ہے بھی آپ جلدی سے واپس آجاؤ کافی کچھ معلوم کرنا ہے۔۔

  11. #11
    Join Date
    18 Sep 2012
    Location
    Jannat ul baqee
    Gender
    Female
    Posts
    3,365
    Threads
    134
    Credits
    70
    Thanked
    970

    Default

    so sweet of u sis...
    be happy always
    Quote MERYAM said: View Post
    بہت زبردست آسیہ
    جلدی سے واپس آؤ
    اور میری فرینڈ ریکوسٹ ایکسپٹ کرو
    میں انتظار کر رہی ھوں
    اور دعا بھی

  12. #12
    Ghalib Awan's Avatar
    Ghalib Awan is offline Advance Member
    Last Online
    14th February 2022 @ 02:55 AM
    Join Date
    01 Feb 2010
    Location
    Hong Kong
    Age
    35
    Gender
    Male
    Posts
    6,672
    Threads
    187
    Credits
    86
    Thanked
    789

    Default

    Quote Aasyah said: View Post
    oh bhaiya g aap tou boss hain aapko kya maloom kerna hai???
    بھلا پا جی نے بھی کیا معلوم کرنا ہو گا !!!!؛

    میں دساں پاجی????؛


Page 1 of 4 1234 LastLast

Similar Threads

  1. kahani Pakistan ki by Aasyah Zohaib
    By Shehzad Iqbal in forum Roman Urdu Poetry
    Replies: 14
    Last Post: 19th February 2020, 05:01 AM
  2. Replies: 0
    Last Post: 10th May 2012, 01:25 PM
  3. Replies: 1
    Last Post: 6th January 2012, 11:50 AM

Tags for this Thread

Bookmarks

Posting Permissions

  • You may not post new threads
  • You may not post replies
  • You may not post attachments
  • You may not edit your posts
  •