Results 1 to 11 of 11

Thread: Urdu Quotations - Aqwal e Zareen

  1. #1
    saqib riaz's Avatar
    saqib riaz is offline Junior Member
    Last Online
    14th September 2019 @ 03:24 PM
    Join Date
    19 Jul 2010
    Location
    Dubai UAE
    Gender
    Male
    Posts
    15
    Threads
    2
    Credits
    0
    Thanked: 1

    Default Urdu Quotations - Aqwal e Zareen


    1. jo shaks Allah ki mohabat ka maza chakh leta hay phir use duniya hasal karne ki mohlat nahi miltior use insano se ghabrahat or weshat hoti hay.
    2. main gowahi deta hun ke Khuda ek hay,is ka koi shareek nahi,is ke alawa koi abadat ke laeek nahi,Allah to hamesha se hay or hamesha rehe ga,is jesa koi dosra nahi,woh apne sab kammo ka dehan rakhta hay or nafarmano ko saaza deta hay.
    3. agar tum Khuda ki rehmat ke umeed war ho to is ki makhluk par rehm karo.
    4. jahan tak mumkin ho,apne tamam kamo main koa woh zahir hun ya chupe hun,insan Khuda se darta rehy.
    5. jo Khuda ke kamo main masroof ho jaye,to Khuda is ke kamon main masroof ho jata hay.
    6. jis ke pas jitna ilim ho ga woh Allah se itna hi dare ga or jitna jahil ho ga utna hi bekhoof ho ga.
    7. jo shaks jahanam ke saye se bachna or Khuda ke saye main aana chahata hay is ko chaye ke sakhti ke bejaye raham kare.
    8. Allah tumhara madatgar hay,is ke sawa kisi main koi quat nahi.
    9. pas jo koi Muhammad ki abadat karta hay,is ko maloom hona chaye ke Muhammad ka intekal ho chuka hay,or jo 10.Allah ki abadat karta hay use maloom hona chaye ke Allah us ko dekh raha hay.
    11. is dastoor zindagi par amal karo jo tumhara Nabi tumhare liye laya hay or is raste par chalo jo nabi ne dekhaya hay.
    12. is baat ko yaad rakho ke Allah in logon ki zaroor madat karta hay jo is ke Nabi ke liye qurbani dete hain.
    13. jo islam laye ga is ke islam se khud bhala ho ga,or jo islam nahi laye ga woh hargiz Khuda ka kuch nahi begar sake ga.
    14. talbe dein'amal main zyati karta hay or talib dunyia ilm main.
    15. agar koi dil se mulman nahi ho ga to us ka hasab Khuda ke hath main hay.
    16. jo mulman panch waqt ki namaz ada karta hay Khuda us ka mohafiz hota hay or Allah ki hifazat main aa gya use koi nahi mar sakta .
    17. agar kisi se koi gunah sarzad ho jaye to wazo kar ke do rakat namaz parhe or Khuda se mafi mange,is ke gunah bakish diye jayein ge.
    18. Allah ke waday kabi galat nahi ho sakte or na in main kisi kisam ke shuba ka ehtamal ho sakta hay.
    19. jis koom ne jahad ko tark kiya woh azab main phans gai,is par Allah zilat or ruswai musalat kar deta hay.
    20. kafaron se jahad karna chota jahad hay lakin nafas se jahad karna bara jahad hay.
    21. jahad karne wale or karkhez ko shok se anjam dene wale ko Khuda ajar azim ata karta hay.
    22. fakir ke samne ajzi or adab ke sath sadka pesh karna chahye,kune ke khush dilli se sadka dena kabuliat ka neshan hay.
    23. Allah insanoo ke wohi amal kabul kata hay jo sirf is ki niyat se kiye gye hun,jis admi ki jo niyat hoti hay us ko usi ka ajar milta hay.
    24. elim ke bager amal bekar hay or elim beger amal bekar hay.
    25. jan lo ke Allah amal ki saza diye bager kabi nahi chore ga.
    26. har roz balke har ghari naink amal karne ki kosish karo.
    27. achy bure amal ki jaza Allah ke hath main hay.
    28. jo shaks Khuda ke waste koi masjid banaye Khuda us ke liye janat banaye ga.
    29. ya Allah meri akhari umar achi kar,naik amal par mera khatma farma or apni mulakat ka din sab dino se behtar kar.
    30. har shaks kyamat ke din apne bure amal ka jawab deh ho ga.
    31. tum ko apne prosi se larna jhagarna nahi chaye,is lite ke woh to apni jagah par hi rehy ga logon main tumhara charcha hota rehy gar.
    32. jhooti batein banane wala janat main dakhal na ho ga.
    33. tumhein chaye ke apni halat dorust rakho,take tumhein dekh kar dosre log bhi apni halat dorust rakein.
    34. ameer ka takabur to bura hay hi lekin gareeb ka takabur us se bhi bura hay.
    35. chori or khyanat se bacho ye baatein fikkar or aflas se peda hoti hain.
    36. zuban ko shikwa se rok khushi ki zindagi ata ho gi.
    37. naik baat batana zakham hay lekin nami ke liya batana marham hay.
    38. agar koi naiki kisi waja se reh jaye to use hasal karne ki kosish karo or ise agar paa lo to age barne ki kosish karo.
    39. Khuda makluk se kabi koi moseebat nahi hatata jab take maklok abadat ki taraf na jhuk jaye.
    40. dunyia jin ka sarmaya hay un ke deen ka nukhsan zubane bian karne se ajaz hain
    41. gunah se tobah karna wajib hay,lekin gunah se bachna wajibtar hay.
    42. bad bakht hay woh shaks jo khud to mar jaye lekin is ka gunah na mare .
    43. woh log behtar hain jo dunyia ko akhrat ke liye tark kar dete hain.
    44. jo raye bhi kisi ko do is main Khuda ka khoof zaror shamilhona chahye.
    45. agar koi mashwara talb kare to mukhlasana or sacha mashwara do.
    46. dusman se na to bewafai or na to is ke sath dhoka karna chahye.
    47. woh jinno ki nasal se tha is liye is ne apne rab ka hukam nahi mana.
    48. hamesha Khuda se hi madat or fatah ki dua mango or usi se hidaro.
    49. main ese ghar walon ko pasand nahi karta jo kaein dino ka rizk ek hi din main kharch kar dale.
    50. jis par naseat asar na kare ise samaj lena chahye ke is ka dil iman se khali hay.
    51. jannat wale log agar tejarat karte to kapre ki tejarat karte.
    52. kash main kisi moman ke sene ka ek baal hi hota.
    53. jo chezein tumhein Allah ki azab le jane wali hun in se parhez karo.
    54. jis cheze ke karne main Allah ne apni rehmat ka wada farmaya hay is ke karne main jaldi karo.
    55. jo kom behayai ki janab kadam barhaye gi Allah us kom ko masebaton main mubtala kare ga.
    56. insan ko chahye ke woh mare hoye logon se ibrat hasal kare.
    57. jis main rone ki takat na ho woh rone walon par rehm hi kiya kare.
    58. is din par roo jo teri umar ka guzar gya or is main neki nahi ki.
    59. Ae logo!Khuda ke khoof se ro or agar rona na aye to rone ki kosish karo.
    60. insan ko har halat main sabar karna chahyeis liye ke sabar hi esi cheze hay jo naik kam karata hay.
    61. jis jisamko gaza haram ki mile woh sakhs kabi jannat main dakhal nahi ho ga.
    62. sabar nafs-e-iman or yakeen pura iman hay.
    63. musebat ki jarh insan ki guftagu hay.
    64. mardon se sharm karna achi bat hay magar arton se sharm karna or bhi achi baat hay.
    65. jo kam soab ke liye nahi kiya jata,ys ka joab bhi nahi milta.
    66. har cheze ke soab ka andaza hay lakin sabar ka soab beandaza hay.
    67. jo ammar pesh ana hay woh nazdeek hay lekin mot is se bhi nazdek hay.
    68. mot se mohabat karo to zindagi ata ki jaye gi.
    69. musalman ka haq marne wale par Khuda ki lanat hoti hay.
    70. jo naik amal dunyia main karo ge is ka phal akhrat main mile ga.
    71. yaad rako!sabar iman ka saton hay or ye is liye ke khoof-e-Khuda sab se afzal bhalai hay or khoof-e-Khuda sabar hi ke zariye mumkin hay.
    72. jo Allah ke nabi Muhhamad par darod behjta hay kune ke yehi Allah ka huqam hay.
    73. Rasool Allah ke bad koi sakhs bath ke amamat na kare.
    74. Quran main amezish na karo.
    75. main tum ko in kamo ka hukam deta hun jin ka Quran ne hukanm diya hay or in kamon se rokta hun jin se Rasool Allah ne roka hay.
    76. Quran ki talimat ko samjo kune ke woh ilam ka sar chasma hay or dillon ki bahar.
    77. Khuda ka shukar ada karne ka tareka ye hay ke is ki ata karda dolat se zakat ada karo jis ka Khuda ne hukam diya hay.
    78. Islam ki tablek ke sisaly main kisi par zyadati nahi karni chahy.
    79. bahami mashware ke bager khalafat jayez nahi.
    80. insaf ke zarye aman-o-aafiat ko farok do
    81. jo shaks apna raz chupata hay woh apna ikhtyar apne hath main rakhta hay.
    82. jis se tum ko nafrat ho is se darte raho.
    83. sab se zyada akil woh shaks hay jo apne afal ki achi tawil kar sakta hay.
    84. aaj ka kam kal par na choro.
    85. rupya sar uncha kye bager nahi rehta.
    86. jo cheze peche hati phir woh age nahi barhati.
    87. jo shaks burai se bilkul wakif nahi hay woh burai main mubtala ho sakta hay.
    88. toba ki taklif se gunah chore dena zyada asan hay.
    89. ghar main dakhal hone ke liye pehlay ijazat lo.
    90. jab koi bat maloom na ho to saf saf kehna chahye ke nahi maloom Allah behtar janta hay kehne se kya hasil.
    91. majlis main jab tak betho sede betho jab ghar jao to jis tarhan chaho betho tumhein ekhtyar hay.
    92. Allah ke farmahbadar bando se jo batein suno un ko yaad rakho.
    93. dosron ki fikar main tum khud ko na bhula dena.
    94. dunyia thori si lo to azadana basar karo ge.
    95. agar mere pas sone ke pahar bhi hote to main inhein kyamat ke dar se kharch kar chuka hota.
    95. tofa kabol na kiya karo kune ke ye bhi rishwat ki ek sakal hay.
    96. Allah tumhari taraf se gafil nahi hay.
    97. Allah ke sawa koi hami nahi hay.
    98. logo! Allah se daro,Allah se darna najat ka wasilla hay,tum ko Allah se sharm karna chahye.
    99. Allah ki namton ko yaad rakho jo tum ko ata ki gai hain.
    100. mulmano!Khuda se daro jesa ke darne ka haq hay.

  2. #2
    apna_tanween is offline Senior Member+
    Last Online
    10th December 2017 @ 11:52 PM
    Join Date
    01 Feb 2011
    Age
    38
    Gender
    Male
    Posts
    31
    Threads
    6
    Credits
    0
    Thanked: 1

    Default

    bahut khoob

  3. #3
    Waqar-786 is offline Member
    Last Online
    9th October 2013 @ 08:10 PM
    Join Date
    24 Apr 2013
    Location
    Universe
    Age
    27
    Gender
    Male
    Posts
    2,581
    Threads
    192
    Thanked
    259

    Default

    Bohat Khoob Keep It Up.

  4. #4
    masroor4u is offline Advance Member
    Last Online
    1st September 2023 @ 09:03 PM
    Join Date
    04 Dec 2012
    Location
    Pakistan
    Gender
    Male
    Posts
    907
    Threads
    52
    Credits
    210
    Thanked
    29

    Default

    Bht achi koshish, mgr ap Quotation k sath Ref b dete k aaya ye Quran se hy, Hadith se ya kahin ore se to bht bheter hota.. Ore tadad b kuch kam hoti to bhetr tha

  5. #5
    Avais Raza's Avatar
    Avais Raza is offline Senior Member+
    Last Online
    4th July 2013 @ 10:22 PM
    Join Date
    29 Aug 2012
    Location
    _In Your Heart_
    Gender
    Male
    Posts
    3,205
    Threads
    130
    Credits
    930
    Thanked
    308

    Default

    Very nice sharing..
    Thanks for sharing with us.

  6. #6
    M UmarBh's Avatar
    M UmarBh is offline Senior Member+
    Last Online
    6th February 2017 @ 08:24 PM
    Join Date
    02 Sep 2012
    Location
    Hyderabad
    Age
    26
    Gender
    Male
    Posts
    5,230
    Threads
    127
    Credits
    0
    Thanked
    148

    Default

    nice........

  7. #7
    tanveer2233 is offline Senior Member+
    Last Online
    18th September 2020 @ 12:15 PM
    Join Date
    02 Nov 2011
    Location
    Faisalabad
    Age
    31
    Gender
    Male
    Posts
    277
    Threads
    4
    Credits
    1,071
    Thanked
    13

    Default

    Zabardast

  8. #8
    tanveer2233 is offline Senior Member+
    Last Online
    18th September 2020 @ 12:15 PM
    Join Date
    02 Nov 2011
    Location
    Faisalabad
    Age
    31
    Gender
    Male
    Posts
    277
    Threads
    4
    Credits
    1,071
    Thanked
    13

    Default

    Zabardast

  9. #9
    Eng Ahtasham's Avatar
    Eng Ahtasham is offline Advance Member+
    Last Online
    20th March 2015 @ 08:18 PM
    Join Date
    18 May 2013
    Location
    Mehrabpur
    Age
    31
    Gender
    Male
    Posts
    4,666
    Threads
    153
    Credits
    0
    Thanked
    627

    Default

    بہت اچھے دوست

  10. #10
    Rana Ishaq's Avatar
    Rana Ishaq is offline Senior Member+
    Last Online
    10th August 2016 @ 01:12 PM
    Join Date
    13 May 2012
    Age
    35
    Gender
    Male
    Posts
    275
    Threads
    31
    Credits
    170
    Thanked
    72

    Default

    بہت خوب جناب
    بہت ہی پیاری شاعری ہے
    لاجواب
    ہمارے ساتھ اشتراک کا
    بہت بہت شکریہ

  11. #11
    Join Date
    16 Aug 2009
    Location
    Makkah , Saudia
    Gender
    Male
    Posts
    29,912
    Threads
    482
    Credits
    148,899
    Thanked
    970

    Default

    بہت خوب

Similar Threads

  1. ASGATech UniDic English To Urdu Urdu to English Dictonar v3.0 S60v3 S60v5
    By ZuhaibAbbasi in forum Nokia & Othre Mobiles
    Replies: 114
    Last Post: 19th June 2015, 05:43 AM
  2. Lingoes 2.6.3 English-to Urdu dictiionay
    By agente47 in forum General Discussion
    Replies: 23
    Last Post: 17th April 2014, 10:02 PM
  3. Solved Opera Handler Me Urdu Lekhna
    By Muntazir_Ktk in forum Solved Problem (Mobile)
    Replies: 18
    Last Post: 1st May 2013, 02:03 PM
  4. Urdu Best Websites Needed
    By mudasar786 in forum Ask an Expert
    Replies: 10
    Last Post: 11th November 2011, 01:21 AM
  5. Aqwal e Zareen ( Must Read It )
    By BossisBack in forum Islam
    Replies: 6
    Last Post: 2nd October 2008, 03:39 AM

Bookmarks

Posting Permissions

  • You may not post new threads
  • You may not post replies
  • You may not post attachments
  • You may not edit your posts
  •