Badan mein jaise lahu taaziyaanaa hogaya hai

Usay gale se lagaaye zamaanaa hogaya hai


Chamak raha hai ufaq tak ghubaar e tiira-shabi

Koi chiraaGh safar par rawaanaa hogaya hai


HumeiN to khair bikharna hi tha kabhi na kabhi

Hawaay-e-taaza ka jhoNka bahaanaa hogaya hai


Gharaz K poochhte kya ho ma’aal e sokhtagaaN

Tamaam jalna – jalaana fasaanaa hogaya hai


Fazaay e shouq mein uski bisaat hi kya thi

Parindaa apne proN ka nishaanaa hogaya hai


Kisi ne dekha hai patjhaR mein phul khilte hue

Dil apni khush nazarii mein divaanaa hogaya hai