dosto umeed karta hon ap theek thaak hon ge,mai ne win98 se apni window ka ghost banaya tha par har bar ghost image reload karne ke liye mujhe dobara win98 ki cd lagani parti thi, is masle ke liye main ne itd pe thread banaya par mujhe is ka hal nai mila,ak dost ne mujhe is ka hal bataya to socha ke ap ke sath share kar don,ye mathod apply karne ke baad bios ke baad 2 windows show hon gi uper wali se windows start ho gi aur neeche wali se ap ka ghost cd ke bagair repair ho jaye ga,chalen ab shuru karte hai sab se pehle apne cd/dvd ka drive name check karen jese mere pc ki dvd rom ka E hai phir win98 ki cd dalen aur pc restart karen aur cd boot karen start computer with cd room suport pe enter karen, phir neeche di gaye camands likhken aur enter karen
E:
cd win98
format c:/s
phir c format hone ke baad apni window ki cd lagaye aur win install karna start karen jab drive format ka pooche to "no changes" pe enter karen,aur windows complete hone ke baad apna ghost banayen,aur mujhe duwaon mai yaad rakhen