Janab main Bollywood movies ka database banana chahta hoon, lekin thodi si kam jaankari ki wajah se kahin ghalti na ho jaaye isiliye kuchh jaankari chahta hoon. Mere database mein jo field hain wo is tarha hain :

Film Title
Year
Music Director
Lyrics
Actors / actress in Movie
Banner
Producer
Director
Music Company
Genre
Description

in uppar likhi field ko aapas mein relationship karni hai, kuch maine idhar udhar ki sites par padhkar jo bhi thoda sa seekha hai us lihaj se table ka structure maine banaya hai jo neeche likh raha hoon..

Films Table => filmid, filmtitle, year, musicdirector, lyrics, actor, banner, producer, director, musiccompany, genre, description

Genre Table => genre
Actors Table => actor_name
Music Director => music_director
Banner => banner
Producer => producer
Director Table => director
Music Company => music_company
Lyrics => Lyrics

- Kya itni tables hi banani hongi ya phir kuchh kam ya zayada karni hai, inka structure kaisa ho? field koun koun si kis table mein rakhni hain ? iske saath saath mere paas films ke posters bhi hain unko har film ke saath kaise relation karenge?

agar kisi bhai ke paas thoda sa waqt ho to baraye karam is par nazar daalen aur mujhe munasib hal batayen.

allah aap ko jaza e khair deha

Muveen