Mujhe aarzo-e-sehr rahi younhi raat bhar bari dair tak
Na bikhar saka na simat saka younhi raat bhar bari dair tak
Hai buhat azzab or akaily hum, shab-e-gham b meri taweel tar
Rahi zindgai b sarab or rahi aankh tar bari dari tak
Yahan har tarf hai ajab samaan, sabhi khud pasand sabhi khud nama
Dil-e-beqarar ko na mila kahin koi charagar bari dair tak
Mujhey zindgai hai aziz tar, isi wastey merey hamsafar
Mujhe ahista ahista day zehar jo karay asar bari dair tak.
Bookmarks