Results 1 to 8 of 8

Thread: <*>Poetry Ghar<*>

  1. #1
    Join Date
    17 Nov 2009
    Location
    Lahore
    Gender
    Male
    Posts
    80
    Threads
    11
    Thanked
    0

    Thumbs up <*>Poetry Ghar<*>

    Assalam-O-Alaikum Doston

    Mein Muafi Chahta Ke Mein Is Thread Ko Urdu Mein Tehreer Nahi Kar Paya

    Is Liye Urdu Ko English Mein Tehreer Kar Raha Hon

    Aaj Mein ITDUNYA Mein *Poetry Ghar*Ka Aik Thread Shuru Kar Raha Hon

    Jis Mein IN SHAA'ALLAH Aap Ko Rozana Nayi Ghazlein Milein Gi

    Aap Sab Bhi Is Thread Mein Apni Pasand Ki Ghazlein Share Kar Sktay Hain

    Meri ITDUNYA Ki Manijment Se Darkhuwast Hai Ke Is Thread Ko Stcky Mein Mustakil Shamil Kia Jaye

    Aap Sab Ke Tawan Ka Bohat Shukriya. . .

    Regards:wskami
    %Pö€TrY~KIñG%

  2. #2
    Join Date
    17 Nov 2009
    Location
    Lahore
    Gender
    Male
    Posts
    80
    Threads
    11
    Credits
    0
    Thanked
    0

    Default *Ghazal-No/1*

    Tera khayal Agar Juzw-e- Zindgi Na Rahy,

    Jahan Main Mery Liye koi Dil'kashi Na Rahy,

    Main Aa Gaya Hoon Wahan Tak Teri Tamanna Main,

    Jahan Sy Koi Bhi Imkan-e Waapsi Na Rahy,

    Tu Theek Kehta Hy, Ay Mohsin Theek kehta Hy,

    K Hum Hi QabiL-e-TajDeeD- e-MOHBBAT Na Rahy,

    Mera To khair AzaL Hi Sy Gham MuQaddar Hy,

    Teri NIGAH Ki Pehchan BERUKHI Na Rahy,

    Teray Firaaq Ka Mosam Azaab Hy M0hsiN,

    Kabi kabi To Main kehta Hoon Zindgi Na Rahy.

    %Pö€TrY~KIñG%

  3. #3
    Join Date
    17 Nov 2009
    Location
    Lahore
    Gender
    Male
    Posts
    80
    Threads
    11
    Credits
    0
    Thanked
    0

    Default *Ghazal-No/2*

    Khwahishon k Aangan me raat din basery thy,

    Titliyaan tumhari thi aur phool mere thy,

    Chaand aasmanon se jab zameen pe utra tha,

    Daikhny mein raatein thein asal mein swairy thy,

    Tere paas basny ki khaai thi qasam lekin,

    Shehar b paraya tha Log b lutairy thy,

    Lut gay hain ham To qasoor kis ka hai.

    Khwahishein b teri thin Faisly b tery thy...!

    %Pö€TrY~KIñG%

  4. #4
    Join Date
    17 Nov 2009
    Location
    Lahore
    Gender
    Male
    Posts
    80
    Threads
    11
    Credits
    0
    Thanked
    0

    Default *Ghazal-No/3*

    Mujh ko maloom nahi chahat k taqazay lekin.

    Ham ne teri baaton k siwa har baat bhula rakhi hai.

    Safar mushkil hai maloom hai Lekin.

    Tu hamara hai to har fikr mita rakhi hai.

    Tu bhula de to bhula de Lekin ham ne.

    Teri khushbo bhi Taveez bana rakhi hai.

    Tu Alag ho to har baar yoon lagta hai.

    Zindgi maot k pehlu mein bitha rakhi hai.

    Teri baatain,Tera lehja ,Tera chehra.

    Tujh mein khaaliq ne har cheez juda rakhi hai...

    %Pö€TrY~KIñG%

  5. #5
    Join Date
    17 Nov 2009
    Location
    Lahore
    Gender
    Male
    Posts
    80
    Threads
    11
    Credits
    0
    Thanked
    0

    Default *Ghazal-No/4*

    Bhool Sakta Hai Unhay Koi Bhi Aisay Kaisay

    Raftga'n Dil Main Basa Kartay Hain Kaisay Kaisay

    Jaan Le Kar Bhi Agar Khush Nahi Honay Wala

    Koi Batlaye Wo Phir Manay Ga Waisay Kaisay

    Ye Meray Yaar Ki Ankho'n Main Raha Karti Thi

    Pochiye Kuch Na Hui Dosti Me Se Kaisay

    Wo To Anmol Hai Nayaab Hai Iklota Hai

    Uski Tashbeeh Karein Hum Kisi Sh'ay Se Kaisay

    Hanstay Hanstay Wo Judayi Ko Bhi Seh Jayega

    Zinda Reh Payengay Lekin Meray Jaisay Kaisay

    Zindagi Se Tujhay Be-Dakhl To Kar Dein Jana

    Par Tu Niklay Bhi To Niklay Rag-E-Ja'n Se Kaisay

    Kulkulay Ma'iy Ki Tarha Behnay Laga Khoon Aba

    Naghmay Niklay Hain Meray Dard Ki Na'iy Se Kaisay

    Zindagi Ye Teri Raftaar Ajab Tarz Ki Hai

    Chalna Chahein To Chalay Hum Teri La'iy Se Kaisay

    Hamsay Kehtay Hain Bhula De Tumhein Dekho To 'Wasi'

    Mashwaray Humko Mila Kartay Hain Kaisay Kaisay...

    %Pö€TrY~KIñG%

  6. #6
    Join Date
    17 Nov 2009
    Location
    Lahore
    Gender
    Male
    Posts
    80
    Threads
    11
    Credits
    0
    Thanked
    0

    Default *Ghazal-No/5*

    Khushi ki baat hai ya dukh ka manzar dekh sakti hoon,

    Teri awaaz ka chehra main chuu kar dekh sakti hoon,

    Abhi tere labon pe zikar fasal-e-gul nahin aya,

    Magar ik phool khilte apne andar dekh sakti hoon,

    Kinaara dhoondne ki chaah tak mujh mein nahin hogi,

    Main apne gird aik aesa samandar dekh sakti hoon,

    Vasaal-o-hijar apne yaksaan hain woh manzar hai chahat me,

    Main aankhain band kar ke tujh ko aksar dekh sakti hoon

    Abhi tere siwa duniya bhi hai maujood is dil me,

    Main khud ko kis tarah tere barabar dekh sakti hoon..

    %Pö€TrY~KIñG%

  7. #7
    irfan391 is offline Senior Member+
    Last Online
    1st January 2014 @ 01:48 PM
    Join Date
    16 Jun 2013
    Age
    34
    Gender
    Male
    Posts
    146
    Threads
    4
    Credits
    0
    Thanked
    2

    Default

    Very nice

  8. #8
    Join Date
    16 Aug 2009
    Location
    Makkah , Saudia
    Gender
    Male
    Posts
    29,912
    Threads
    482
    Credits
    148,899
    Thanked
    970

    Default

    Quote wskami said: View Post
    Assalam-O-Alaikum Doston

    Mein Muafi Chahta Ke Mein Is Thread Ko Urdu Mein Tehreer Nahi Kar Paya

    Is Liye Urdu Ko English Mein Tehreer Kar Raha Hon

    Aaj Mein ITDUNYA Mein *Poetry Ghar*Ka Aik Thread Shuru Kar Raha Hon

    Jis Mein IN SHAA'ALLAH Aap Ko Rozana Nayi Ghazlein Milein Gi

    Aap Sab Bhi Is Thread Mein Apni Pasand Ki Ghazlein Share Kar Sktay Hain

    Meri ITDUNYA Ki Manijment Se Darkhuwast Hai Ke Is Thread Ko Stcky Mein Mustakil Shamil Kia Jaye

    Aap Sab Ke Tawan Ka Bohat Shukriya. . .

    Regards:wskami
    %Pö€TrY~KIñG%
    Quote wskami said: View Post
    Tera khayal Agar Juzw-e- Zindgi Na Rahy,

    Jahan Main Mery Liye koi Dil'kashi Na Rahy,

    Main Aa Gaya Hoon Wahan Tak Teri Tamanna Main,

    Jahan Sy Koi Bhi Imkan-e Waapsi Na Rahy,

    Tu Theek Kehta Hy, Ay Mohsin Theek kehta Hy,

    K Hum Hi QabiL-e-TajDeeD- e-MOHBBAT Na Rahy,

    Mera To khair AzaL Hi Sy Gham MuQaddar Hy,

    Teri NIGAH Ki Pehchan BERUKHI Na Rahy,

    Teray Firaaq Ka Mosam Azaab Hy M0hsiN,

    Kabi kabi To Main kehta Hoon Zindgi Na Rahy.

    %Pö€TrY~KIñG%
    Quote wskami said: View Post
    Khwahishon k Aangan me raat din basery thy,

    Titliyaan tumhari thi aur phool mere thy,

    Chaand aasmanon se jab zameen pe utra tha,

    Daikhny mein raatein thein asal mein swairy thy,

    Tere paas basny ki khaai thi qasam lekin,

    Shehar b paraya tha Log b lutairy thy,

    Lut gay hain ham To qasoor kis ka hai.

    Khwahishein b teri thin Faisly b tery thy...!

    %Pö€TrY~KIñG%
    Quote wskami said: View Post
    Mujh ko maloom nahi chahat k taqazay lekin.

    Ham ne teri baaton k siwa har baat bhula rakhi hai.

    Safar mushkil hai maloom hai Lekin.

    Tu hamara hai to har fikr mita rakhi hai.

    Tu bhula de to bhula de Lekin ham ne.

    Teri khushbo bhi Taveez bana rakhi hai.

    Tu Alag ho to har baar yoon lagta hai.

    Zindgi maot k pehlu mein bitha rakhi hai.

    Teri baatain,Tera lehja ,Tera chehra.

    Tujh mein khaaliq ne har cheez juda rakhi hai...

    %Pö€TrY~KIñG%
    Quote wskami said: View Post
    Bhool Sakta Hai Unhay Koi Bhi Aisay Kaisay

    Raftga'n Dil Main Basa Kartay Hain Kaisay Kaisay

    Jaan Le Kar Bhi Agar Khush Nahi Honay Wala

    Koi Batlaye Wo Phir Manay Ga Waisay Kaisay

    Ye Meray Yaar Ki Ankho'n Main Raha Karti Thi

    Pochiye Kuch Na Hui Dosti Me Se Kaisay

    Wo To Anmol Hai Nayaab Hai Iklota Hai

    Uski Tashbeeh Karein Hum Kisi Sh'ay Se Kaisay

    Hanstay Hanstay Wo Judayi Ko Bhi Seh Jayega

    Zinda Reh Payengay Lekin Meray Jaisay Kaisay

    Zindagi Se Tujhay Be-Dakhl To Kar Dein Jana

    Par Tu Niklay Bhi To Niklay Rag-E-Ja'n Se Kaisay

    Kulkulay Ma'iy Ki Tarha Behnay Laga Khoon Aba

    Naghmay Niklay Hain Meray Dard Ki Na'iy Se Kaisay

    Zindagi Ye Teri Raftaar Ajab Tarz Ki Hai

    Chalna Chahein To Chalay Hum Teri La'iy Se Kaisay

    Hamsay Kehtay Hain Bhula De Tumhein Dekho To 'Wasi'

    Mashwaray Humko Mila Kartay Hain Kaisay Kaisay...

    %Pö€TrY~KIñG%
    Quote wskami said: View Post
    Khushi ki baat hai ya dukh ka manzar dekh sakti hoon,

    Teri awaaz ka chehra main chuu kar dekh sakti hoon,

    Abhi tere labon pe zikar fasal-e-gul nahin aya,

    Magar ik phool khilte apne andar dekh sakti hoon,

    Kinaara dhoondne ki chaah tak mujh mein nahin hogi,

    Main apne gird aik aesa samandar dekh sakti hoon,

    Vasaal-o-hijar apne yaksaan hain woh manzar hai chahat me,

    Main aankhain band kar ke tujh ko aksar dekh sakti hoon

    Abhi tere siwa duniya bhi hai maujood is dil me,

    Main khud ko kis tarah tere barabar dekh sakti hoon..

    %Pö€TrY~KIñG%
    واہ بہت خوب

Bookmarks

Posting Permissions

  • You may not post new threads
  • You may not post replies
  • You may not post attachments
  • You may not edit your posts
  •