Allah Allah Rida nahin Sar par, haye Bazaar-e-Shaam aata hai
Ek bibi chuppaye moon apna, Ek beemar sar juhkata hai

Bibiyon ke kohlay huye sar se takay hat jaye Kufiyoon ki Nazar
Nok-e-Nizay se ek borida sar bus yehi Quraan sunata hai

Paaioon Zakhmi Badan par zanjeerain, phir bhi hai la zawal azam tera
Maula Sajjad teri himmat pe, sabr-e-Ayoub kaaanp jata hai

Aisay Faryaad pe lagay pahray hai masoom Dukhtar-e-sarwar
maan ke seenay main moaun chupati hai zakm kanoon ka jab satata hai

Karke Viraan Khaan-e-Zahra hai kahte tha wo Khuda walay
koi karbobala karay abaad, koi zindaan ko bassata hai

Qatl jis ne kya tha mohsin ko wohi Qatil Hussain tera hai
Jis ne Zahra ka ghar jalaya tha wohi Zainab ka ghar jalata hai...