Wo pyar ka saboot dikhaya karti thi,
Aansu baha ke hume manaya karti thi,
Is zindagi mein sirf aap se wasta hai,
Wo aksar hume batlaya karti thi,
Sone ki fursat kise thi,
Wo hume saari raat jagaya karti thi,
Bechaini jab had se zyada badh jati thi,
Tab wo jee bhar ke gale lagaya karti thi,
Wo mohabbat karne wali badal gayi,
Jo har baat par Meri Kasam khaya karti thi…
Bookmarks