Results 1 to 12 of 12

Thread: faiz ahmed faiz

  1. #1
    szaib's Avatar
    szaib is offline Senior Member+
    Last Online
    23rd December 2009 @ 01:12 AM
    Join Date
    19 Sep 2008
    Age
    34
    Posts
    339
    Threads
    70
    Credits
    1,045
    Thanked
    0

    Post faiz ahmed faiz

    Ab Aansoun Ko Aankhon Main Sajaana Ho Ga
    Chiraagh Bujh Gaye Khud Ko Jalaana Ho Ga

    Na Samajhna K Tum Say Bichar K Khush Hain
    Humain Logon Ki Khaatir Muskuraana Ho Ga

    Phir Shaam Dhal Gaye Tum Aaye Na Aaj Bhi
    Dil Ko Aaj Phir Umeedoon Say Behlaana Ho Ga

    Wada Khilaafi Kar K Muskuraatay Ho Aap
    Dekhna Aik Din Sanam Aap Ko Pachtaana Ho Ga

    Lahu Say Apnay Kafan Pay Tera Naam Likh Jaon Ga
    Thaam K Hath Main Phool Tum Ko Aana Ho Ga

    Abhi Say Na Ki Jiey Takaaza-E-Masroofiat K Aap
    Abhi Uthna Hai Janaaza Kaandha Tu Dena Ho Ga

    Muddatoon Kia Hai Tera Intizaar Aaye Sanam
    Umar Kat Chuki Ab Tu Jaana Ho Ga
    *
    *
    *
    *
    *
    *
    *
    *
    *
    *
    *

    Meri Zeesat Pur Musarat, Kabhi Thi, Na Hay, Na Ho Gi
    Koie Behtari Kie Surat, Kabhi Thi, Na Hay, Na Ho Gi
    Mujhay Husan Nay Sataya, Mujhay Ishq Nay Mitaya
    Kissi Aur Kie Yeh Halat, Kabhi Thi, Na Hay, Na Ho Gi
    Main Yeh Jantay Hoay Bhi, Teri Anjman Main Aya
    Keh Tujhay Meri Zarorat , Kabhi Thi, Na Hay, Na Ho Gi
    Jo Gila Kia Hay Tum Say, Tu Samjh Kay Tum Ko Apna
    Mujhay Gayer Say Shikayat, , Kabhi Thi, Na Hay, Na Ho Gi
    Yeh Karam Hay Doston Ka, Keh Woh Keh Rahay Hain Saba Say
    Keh Naseer Par Enayat, , Kabhi Thi, Na Hay, Na Ho Gi





    Woh Bujha Bujha Sa Charag Tha, Yeh Kabhi Kissi Ko Khabar Na Ho
    Ussay Lay Gie Kahan Hawa, Yeh Kabhi Kiss Ko Khabar Na Ho
    Bahut Log Jaengay Meray Qatilon Kie Talash Main
    Meray Qatal Main Kiss Ka Hath Tha,Yeh Kabhi Kiss Ko Khabar Na Ho
    Woh Tamam Dunia Kay Wastay Jo Mohabton Kie Misaal Tha
    Wohi Apnay Ghar Main Tha Baywfa, Yeh Kabhi Kiss Ko Khabar Na Ho
    Kaheen Masjidon Main Shahadten, Kahen Mandron Main Adalten
    Yahan Kon Karta Hay Faislay,Yeh Kabhi Kiss Ko Khabar Na Ho
    Meray Pass Jitni Hay Roshni, Hay Yehi Charag Kie Zindagi
    Main Kahan Jala, Main Kahan Bujha,Yeh Kabhi Kiss Ko Khabar Na Ho
    Mujhay Jaan Kar Koie Ajnabi, Woh Phira Rahay Hain Gali Gali
    issi Shehar Main Tha Mera Ghar, Yeh Kabhi Kissi Ko Khabar Na Ho
    Woh Samjh Kay Dhoop Ka Diota Mujhay Aaj Poojnay Aye Hain
    Main Charag Hoon Teri Shaam Ka,Yeh Kabhi Kiss Ko Khabar Na Ho





    Aye Meray Ham Nasheen Chal Kahen Aur Chal
    Iss Chaman Main Ab Apna Guzara Nahin
    Baat Hoti Gulon Tak Tu Seh Letay Ham
    Ab Tu Kantoon Pay Bhi Haq Hamara Nahin
    Janay Kiss Ki Laga Uss Kay Man Main Lagi
    Ja Rahay Hain Kahan Mur Kay Dekha Nahin
    Hum Nay Awaz Par Tum Ko Awaz Di
    Tum Yeh Kehtay Ho Hum Nay Pukara Nahin
    Dil Ko Behlaeen Kesay Shab-e-Hijar Main
    Dil Behalnay Ka Koie Sahara Nahin
    Chand Bhi Chup Gia Raat Bhi Dhal Gie
    Aasman Pay Bhi Koie Tara Nahin
    Jab Likha Tu Khoon Kie Zarorat Pari
    Sab Say Pehlay Hamari Gardan Kati
    Phir Bhi Kehtay Hain Hum Say Yeh Ahl-e-Chaman
    Yeh Chaman Hay Hamara Tumhara Nahin
    Iss Haqeqat Say Ab Kiss Ko Inkar Hay
    Kion Keh Insaan Tu Bay Sahara Nahin
    Bay Sahara Samjh Kar Na Thukraiay
    Kia Khuda Ka Sahara, Sahara Nahin
    Aaj Aye Ho Aur Kal Chalay Jao Gay
    Yeh Mohabbat Ko Meri Gawara Nahin
    Umar Bhar Ka Sahara Banay Tu Bano
    Char Din Ka Sahara, Sahara Nahin
    Mera Zooq-e-Nazar Aazma Lijiay
    Gar Ho Bijli Girana, Gira Lejiay
    Main Bhi Ghar Say Chala Hoon Yehi Sooch Kar
    Ya Tu Nazreen Nahin Ya Nazara Nahin










    mujh ko shikwa hai meray bhai keh tum jaate hooay
    le gaye sath meri umr-e ghuzishta ki kitaab
    is mein tau meri bohut kimati tusweerien thein
    is mein buchpun tha mera, aur mera aihd-e shabab

    is ke badle mujhe tum de gaye jaate jaate
    apnay ghum ka yeh dumakta hua khoon rung golaab
    kya karoon bhai, yeh aizaz mein kyoon ker pehnoon
    mujh se le lo meri sub chaak qamizoon ka hisaab

    aakhri baar hai, lo maan lo ik yeh bhi sawaal
    aaj tuk tum se mein lota nahin mayoos-e jawaab
    aa ke le ja'o tum apna yeh damukta hua phool
    mujh ko lota do meri umr-e ghazishta ki kitaab

    (Faiz had written this upon the death of his brother.)







    naakaam aashik

    raaz-e-ulfat chhupaa ke dekh liyaa
    dil bahut kuchh jalaa ke dekh liyaa.

    vah mere ho ke bhii mere na hue
    un ko apanaa banaa ke dekh liyaa.

    aur kyaa dekhane ko baakii hai
    aap se dil lagaa ke dekh liyaa.

    faiz, taqamiiil-e-Gam bhii ho na sake
    ishk ko aazamaa ke dekh liyaa






    Teri Samundar Ankhon Mein"

    Yah dhup kinara shaam dhalen,
    Milte hain dono waqt jahan,
    Jo raat na din, jo aaj na kal,
    pal bhar ko amar, pal bhar mein dhuaan
    Is dhup kinaare pal do pal.
    Hothon ki lapak
    Baahon ki khanak
    Yah mel hamaara jhooth na sach
    Kyon raar karen, kyon dosh dharen
    kis kaaran jhoothi baat karen
    Jab teri samandar aankhon mein
    Is shaam ka suraj dubega
    Sukh soyenge ghar dar waale
    Aur rahi apni rah lega.







    nahii.n nigaah me.n manzil to justajuu hii sahii
    nahii.n visaal mayassar to aarazuu hii sahii

    na tan me.n Khuun faraaham na ashk aa.Nkho.n me.n
    namaaz-e-shauq to vaajib hai be-vazuu hii sahii

    kisii tarah to jame bazm maikade vaalo
    nahii.n jo baadaa-o-saaGar to haa-o-huu hii sahii

    gar intazaar kaThin hai to jab talak ai dil
    kisii ke vaada-e-fardaa kii guftaguu hii sahii

    dayaar-e-Gair me.n maharam agar nahii.n ko_ii
    to 'Faiz' zikr-e-vatan apane ruu-ba-ruu hii sahii






    Aiy mairy humnasheen chal kahen aur chal
    iis chamn mein ab apna guzaraa nahey
    baat hotii guloon tak to seh laitay hum
    ab to kantoon pay bhi haq humara nahey






    bol k lab azad hain tere
    bol,zaban ab tak teri hai
    tera sutwanjism hai tera
    bol k jan ab tak teri hai
    dekh k ahangur ki dukan mein
    tund hain shoalay,surkh hai ahan
    khulne lage khuflon k dahane
    phela har ik zanjeer ka daman
    jism-o-zaban ki mout se pehle
    bol.k sach zinda hai ab tak
    bol,jo kuch kehna hai keh le




    sahal yun rah-e-zindagi ki hai
    her kadam hum ne ashiqi hai

    hum ne saja dil mein liye gulshan
    jab baharon ne berukhi ki hai

    zehar se dhoo liye hain hont apne
    lutf-e-saqi ne jab kami ki hai

    tere koche mein badshahi ki
    jab se nikle gadagari ki hai

    bus wohi surkhro hoa jis ne
    behr-e-khoon mein shanawari ki hai

    jo guzarte hte daag per sadmein
    ab wohi kaifiat sabhi ki hai








    himat-e-iltija nahi baqi
    zabt ka hosla nahi baqi

    ik teri deid chin gayi mujh se
    warna duniya mein kya nahi baqi

    apni mashqe sitam se hath na kench
    mein nahi yad-e-wafa nahi baqi

    teri chishm-e-alam nawaz ki khair
    dil mein koi gila nahi baqi

    ho chuka khatam-e- ehad hijr-o-wisal
    zindagi mein maza nahi baqi






    bahaar aa_ii to jaise ek baar
    lauT aaye hai.n phir adam se
    vo Khvaab saare, shabaab saare
    jo tere ho.nTho.n pe mar miTe the
    jo miT ke har baar phir jiiye the
    nikhar gaye hai.n gulaab saare
    jo terii yaado.n se mushk_buu hai.n
    jo tere ushshaaq kaa lahuu hai.n

    ubal pa.De hai.n azaab saare
    malaal-e-ahavaal-e-dostaa.N bhii
    Khumaar-e-aaGosh-e-mahavashaa.N bhii
    Gubaar-e-Khaatir ke baab saare
    tere hamaare
    savaal saare, javaab saare
    bahaar aa_ii to khul gaye hai.n
    naye sire se hisaab saare

    [mushk_buu = musk like fragrance]
    [ushshaaq = lovers; azaab = difficulties/pain]
    [malaal-e-ahavaal-e-dostaa.N = sorrow at
    friends' condition]
    [Khumaar-e-aaGosh-e-mahvashaa.N = intoxication
    of being in one's beloved's embrace]

    Written in April 1975
    Published in 'Shaam-e-Shahr-e-YaaraaN'








    Guloon mien Rang Bharay Bad-e-Nobahar Chalay
    Chalay b aao Kay Gulshan ka Karobaar chalay

    Qafas Udaas hai Yaaro !! Saba Se Kuch Tou Kaho
    Kahien Tou Behr-e-Khuda Aaj Zikr-e-Yaar Chalay

    Jo Hum Pay Guzri So Guzri Magar Shab-e-Hijraan
    Humare Ashk Teri Aqbat sanwaar chalay

    Muqaam Faiz koi Raah Mien Jacha hee Nahi
    Jo koy-e-Yaar Se Nikle Tou Soy-e-Daar Chalay...









    yeh saaghar sheeshey laal-o guhar
    saabit hon to qeemat paatey hain
    yun tukrey tukrey hon to faqat
    chubhtey hain lahoo rulwaatey hain
    tum nahaq tukrey chun chun kar
    daaman mein chupaaye bethey ho
    sheeshon ka maseeha koi nahi
    kya aas lagaye bethey ho








    Aab Kay Yoon Dil Ko Saza Di Hum Nay

    Us Ki Her Baat Bhula Di Hum Nay

    Eik , Eik Phool Bohat Yaad Aaya

    Shakh-E-Gul Jab Woh Jala Di Hum Nay

    Aaj Tak Jis Pay Woh Shermatay Hain

    Baat Woh Kab Ki Bhula Di Hum Nay

    Sheher-E-Jahan Rakh Say Abad Hua

    Aag Jab Dil Ki Bujha Di Hum Nay

    Aaj Phir Yaad Bohat Aaya Woh

    Aaj Phir Us Ko Dua Di Hum Nay

    Koi To Baat Hia Us Main Faiz

    Her Khushi Jis Pay Luta Di Hum Nay!!








    size=18]Hum parwarash-e-loh-o-qalam karte rahenge
    Jo dil pe guzarti hai raqam karte rahenge

    Asbaab-e-gham-e-ishq baham karte rahenge
    Viraani-e-dauraan pe karam karte rahenge

    Haan talkhi-e-ayyaam abhi aur barhe gi
    Haan ahl-e-sitam mashq-e-sitam karte rahenge

    Manzur yeh talkhi yeh sitam hum ko gawaara
    Dam hai to madaawa-e-alam karte rahenge

    Maikhana salaamat hai to hum surkhi-e-mai se
    Tazzain-e-dar-o-baam-e-haram karte rahenge

    Baqi hai lahu dil mein to har ashk se paida
    Rang-e-lab-o-rukhsar-e-sanam karte rahenge

    Ek tarz-e-taghaaful hai so woh unko mubaarak
    Ek arz-e-tamanna hai so hum karte rahenge








    Chhinti hui nazron se jazbaat ki dunyaayen
    Be khwaabian afsaney betaab tamannayen

    Kuchh uljhee hui baten kuchh behke huye naghme
    Kuchh ashk jo aankhon se be wajha chhalak jaayen







    aaye kuchh abr kuchh sharaab aaye
    us ke baad aaye jo azaab aaye

    baam-e-miinaa se maahataab utare
    dast-e-saaqii me.n aaftaab aaye

    is tarah apanii Khamashii guu.Njii
    goyaa har simt se jawaab aaye

    'Faiz' thii raah sar basar ma.nzil
    ham jahaa.N pahu.Nche kaamayaab aaye

  2. #2
    muzafarmohsin is offline Advance Member
    Last Online
    20th September 2019 @ 04:41 PM
    Join Date
    03 Jul 2006
    Posts
    5,561
    Threads
    731
    Credits
    78
    Thanked
    134

    Default

    very nice

  3. #3
    szaib's Avatar
    szaib is offline Senior Member+
    Last Online
    23rd December 2009 @ 01:12 AM
    Join Date
    19 Sep 2008
    Age
    34
    Posts
    339
    Threads
    70
    Credits
    1,045
    Thanked
    0

    Post

    shukria pasand karne ka ...........

  4. #4
    szaib's Avatar
    szaib is offline Senior Member+
    Last Online
    23rd December 2009 @ 01:12 AM
    Join Date
    19 Sep 2008
    Age
    34
    Posts
    339
    Threads
    70
    Credits
    1,045
    Thanked
    0

    Default

    muzafarmohsin sirf apko pasand aye

  5. #5
    muzafarmohsin is offline Advance Member
    Last Online
    20th September 2019 @ 04:41 PM
    Join Date
    03 Jul 2006
    Posts
    5,561
    Threads
    731
    Credits
    78
    Thanked
    134

    Default

    Quote szaib said: View Post
    muzafarmohsin sirf apko pasand aye
    Asal Men Hamm Adabb Dost Hen...aur aissi Takhliqaat Adab Dostoon Ko Hi Pasand Aatti Hen.......

  6. #6
    szaib's Avatar
    szaib is offline Senior Member+
    Last Online
    23rd December 2009 @ 01:12 AM
    Join Date
    19 Sep 2008
    Age
    34
    Posts
    339
    Threads
    70
    Credits
    1,045
    Thanked
    0

    Default

    Muzafar Bhai Ap Bohot Nice Insan Hain...........

  7. #7
    SHAH110 is offline Senior Member+
    Last Online
    31st December 2009 @ 03:19 AM
    Join Date
    23 Dec 2008
    Posts
    1,279
    Threads
    28
    Credits
    0
    Thanked
    0

    Default

    بہت خوب جناب
    بہت خوب انتخاب ہیں

    تمام تعریفیں اللہ کے لئے
    درود و سلام حضرت محمد صلی للہ علیہ و آلہ وسلم پر

  8. #8
    kiran22's Avatar
    kiran22 is offline Senior Member+
    Last Online
    19th November 2013 @ 11:31 AM
    Join Date
    15 Aug 2007
    Location
    Sialkot
    Posts
    219
    Threads
    36
    Credits
    0
    Thanked
    4

    Default

    thats great buhat hi acha selection hy

  9. #9
    Rashid Jan's Avatar
    Rashid Jan is offline Advance Member
    Last Online
    25th December 2022 @ 04:34 AM
    Join Date
    20 Jul 2008
    Location
    ur Dreams
    Age
    35
    Gender
    Male
    Posts
    3,889
    Threads
    49
    Credits
    85
    Thanked
    70

    Default

    sooper sooper sooper sooper sooper sooper sooper sooper sooper sooper sooper sooper sooper sooper sooper sooper sooper sooper sooper sooper sooper sooper sooper sooper sooper sooper sooper sooper sooper sooper sooper sooper sooper sooper sooper sooper sooper sooper sooper sooper sooper sooper sooper sooper sooper sooper sooper sooper sooper sooper sooper sooper sooper sooper sooper sooper sooper sooper sooper sooper sooper sooper sooper sooper sooper sooper sooper sooper sooper sooper sooper sooper sooper sooper sooper sooper sooper sooper sooper sooper sooper sooper sooper sooper sooper sooper sooper sooper sooper sooper sooper sooper sooper sooper sooper sooper sooper sooper sooper sooper sooper sooper sooper sooper sooper sooper sooper sooper sooper sooper sooper sooper sooper sooper sooper sooper sooper sooper sooper sooper sooper sooper sooper sooper sooper sooper sooper sooper sooper sooper sooper sooper sooper sooper sooper sooper sooper sooper sooper sooper sooper sooper sooper sooper sooper sooper sooper sooper sooper sooper sooper sooper sooper sooper sooper sooper sooper sooper sooper sooper sooper sooper sooper sooper sooper sooper sooper sooper great sharing bro.....

  10. #10
    Hope's Avatar
    Hope is offline Advance Member
    Last Online
    7th January 2020 @ 04:18 PM
    Join Date
    25 Jan 2009
    Location
    Islamabad
    Gender
    Male
    Posts
    17,405
    Threads
    750
    Credits
    74
    Thanked
    212

    Default

    Very Nice

  11. #11
    aemughal's Avatar
    aemughal is offline Senior Member+
    Last Online
    16th September 2015 @ 04:18 AM
    Join Date
    04 Jun 2009
    Location
    Barcelona
    Gender
    Male
    Posts
    568
    Threads
    45
    Credits
    960
    Thanked
    14

    Default

    szaib very good collection

  12. #12
    Aasi_786's Avatar
    Aasi_786 is offline Advance Member
    Last Online
    2nd February 2024 @ 10:00 PM
    Join Date
    14 Jan 2008
    Location
    Islamabad
    Posts
    19,001
    Threads
    2012
    Credits
    1,386
    Thanked
    1109

    Default


    اس خوبصورت انتخاب کے لیے آپ کا شکریہ
    مزید کا انتظار رہے گا

Similar Threads

  1. Aakhri Khat ...faiz Ahmed Faiz
    By SHAH110 in forum Design Poetry
    Replies: 11
    Last Post: 27th November 2022, 01:07 AM
  2. Khuda Woh Waqat Na Laey ...by Faiz Ahmed Faiz
    By SHAH110 in forum Design Poetry
    Replies: 6
    Last Post: 2nd March 2010, 04:09 PM
  3. FAIZ AHMED FAIZ Ki EK KHOOBSORAT GHAZAL
    By BARi_Bhatti in forum Urdu Adab & Shayeri
    Replies: 3
    Last Post: 28th November 2009, 02:08 PM
  4. Dunoon Jahan Teri ~ By Faiz Ahmed Faiz
    By editorshahid in forum Urdu Adab & Shayeri
    Replies: 8
    Last Post: 19th August 2009, 09:48 PM
  5. Na Qurb k Na Wafa k ***** Faiz Ahmed Faiz
    By habibrahet in forum Design Poetry
    Replies: 3
    Last Post: 10th August 2009, 05:43 PM

Bookmarks

Posting Permissions

  • You may not post new threads
  • You may not post replies
  • You may not post attachments
  • You may not edit your posts
  •