Results 1 to 9 of 9

Thread: 33 Shair

  1. #1
    szaib's Avatar
    szaib is offline Senior Member+
    Last Online
    23rd December 2009 @ 01:12 AM
    Join Date
    19 Sep 2008
    Age
    34
    Posts
    339
    Threads
    70
    Credits
    1,045
    Thanked
    0

    Post 33 Shair

    ___________________ZAIB ________________

    Shair/1
    Meray ****** ki yaqeenan yeh aazmaish hai
    Bahaar aai hai ab kay baras magar tanha

    Shair/2
    NIKHRAA HUWA HAI HUSN TERE INTEZAAR KA.......
    AB K KHIZAAN MEIN RANG HAI MAUJ-E-BAHAAR KA

    Shair/3
    Har zabaan naam le jiska tu wo shai hai Zaalim
    Nazar ko intezar hai jiska wo mulaqaat na poochho
    Uske hansne se kyon gulshan mein bahaar aati hai
    Uske rone se kyon Ho jaati hai barsaat na poochho..

    Shair/4
    Kis ko sunaon haal dil-e-beqarar ka,
    Bujhta hua chiraag hoon apne mazar ka,
    Ay kaash bhool jaon per bhoolta nahi!
    Kis ***** se utha tha janaza bahaar ka.

    Shair/5
    Bas aik hamaray dil ki kali hee na khil saki
    Lakhon hee phool yoon to khilaye bahaar ne

    Shair/6
    Tumhen udaas daikh kar hota hai ye gumaan
    Jaise BAHAAR ka koi lamha udaas ho

    Shair/7
    mere jeewan mai aana aur phir na jana,
    mera jeewan khizaan hai aur tum ho bahar,
    mere jeewan me kya hai bass hai intezar,
    mere jeewan mai aana aur phir na jana,

    Shair/8
    Wo Udass ladki ' bahaar lai pahariyoon say zamin per
    meray dil mae dard ka chand bhi yonhi zeena zeena uter gia
    ye gulab bhi mera aakus hai' ye sitara bhi mera naqash hai
    mae kabhi zamin mae dafan hoon' kabhi aasman say guzer gia

    Shair/9
    qadam Qadam Pe Ugaey bahar k Mousam
    Jo Meray Dil Ko Khizaan Mousomoon Main Chod Gaya

    Shair/10
    bahaarban k jab mohabbat ne piyaam diye...
    naseem-e-subh ne phoolon k hont choom liye....


    Shair/11
    Waqt Kahan Aik Sa Rehta Hai Sadaa!
    Aaj Bahaar Hai To Kal Hai Khizaan...........

    Shair/12
    KHAYAL-O-KHUWAB HUA BURG O BAR KA MOUSAM
    BICHHAR GAYA TERI SURAT BAHAAR KA MOUSAM
    KAEE DINO'N SEY MERE NEEM VA DAREECHO'N MAIN
    TEHER GAYA HAI TEREY INTEZAAR KA MOUSAM

    Shair/13
    Kahin se us haseen awaz ki khushboo pukaray gi
    Too ise kay sath badlay ga dil-e-udas ka masum
    Na koi ghum-e-khizan hai na hai khawaish hai BAHAR ki
    Humaray sath hai kisi ki yaad ka masum.

    Shair/14
    Bahaar kya aab kizan bhi mujh ko galle lagaey toh kuch na paey
    Main barg-e-sehra hoon youn bhi mujh ko hawa urdaey toh kuch na paey
    Usse ganwa ker khud uss ko paney ka shok dil main youn hai mohsin
    K jaise pani main daira sa koi banaey toh kuch na paey

    Shair/15
    "KyA BaTaOoN, aJeEb hI shaKhs Tha WoH DOsToOo....
    MiL KaR MauSam-E-KhiZaaN Mein, ZINDAGI BaHaAr Kar GaYa !!!"


    Shair/16
    Ranj aur dard main doobi BAHAR utri hai
    koi khushboo meri dehleez kai paar utri hai

    Shair/17
    وہ پیار جسکے لیے ہم نے چھوڑ دی دنیا
    وفا کی راہ میں گھائل وہ پیار آج بھی ہے
    یقین نہیں ہے مگر آج بھی یہ لگتا ہے
    میری تلاش میں شاید بہار آج بھی ہے


    Shair/18
    hUm aJeEb tArZ k LoG tHaY, k hAmArAy aUr hE rOg tHaY
    mAiN kHiZaAN mAiN uSkA mUntAziR, uSaY iNtEzAr-E-baHaAr tHa

    Shair/19
    Na koi ghum khizan ka hai na khawish hai "bahaaroon" ki
    humarey saath hai amjad kisi ki yaad ka mousam


    Shair/20
    bahaaro.n ko chaman yaad aa gayaa hai
    mujhe vo gul_badan yaad aa gayaa hai
    lachakatii shaaK ne jab sar uThaayaa
    kisii kaa baa.Nkpan yaad aa gayaa hai

    Shair/21
    Taaza mohabbatoN ka nasha jism o jaaN meiN hai
    phir mausam?e bahaar mere gulsitaan meiN hai

    Shair/22
    Mere Wajood ki mujh may talash chore gaya
    Jo Poori na ho kabhee, aisee aas chore gaya
    Yehi karam nawazi uski mujh per kam hai kya
    Khud tou dur hai, yadain tou paas chore gaya
    Baharon say mujhe isee liye tou nafrat hai...
    in hee ruton main woh mujhe Udas Chore gaya!!

    Shair/23
    YEH KHIZAN KI ZARD SI SHAAL MAIN JO UDAS PAID KE PAAS HAI
    YEH TUMHARE GHAR KI BAHAR HAI USE AANSOON SE HARA KARO

    Shair/24
    Nammi kehti hai kay ishq ki bahaar guzar gayee
    Youhn raat aik aur uske intezaar main guzar gayee
    Jahaan nilaam hua tha zarra zarra mere khuaab ka
    Zindagi aaj tak ussi bazaar main guzar gayee

    Shair/25
    aa gaee fasle-janoo'n chaak gir-e-baa'n waalo
    sil gaey hont koi zakhm silay ya na silay
    dosto bazm sajaao k bahaar aee hai
    khil gaey zakhm koi phool khilay ya na khilay

    Shair/26
    is baar ki khezaN ka shikar hua phir gul
    aur kehne laga ke lena hisab aglee bahaar se

    Shair/27
    رہین گے نام وہ پیڑوں پہ نقش صدیوں تک
    چڑھا کے جن پہ بہاروں نے چھال رکھی ہے
    تلاش کرتا ہے جنگل میں جس کو شہزادہ
    وہ مورنی کسی جنگل نے پال رکھی ہے


    Shair/28
    Raat Yuun Dil Men Terii Khoii Huii Yaad Aaii
    Jaise Viiraane Men Chupake Se Bahaar Aa Jaaye
    Jaise Seharaa Men Haule Se Chale Baad-E-Nasiim
    Jaise Biimaar Ko Be-Vajah Qaraar Aa Jaaye

    Shair/29
    Mujhay maujazoN pay yaqeeN nahiN magar mujhay bazm-e-dehr say lay chalay to phir aik baar ye izn day kay lehad say laut kay aa sakooN teray dar pay aa kay sada karooN tujhay gumgusar ki ho talab to teray huzoor maiN aa rahooN ye na ho to soo-e-adum maiN phir aik baar rawana hooN

    30
    Zindagi say darrtay ho...
    Zindagi to tum bhi ho, zindagi to hum bhi hai'n...
    Aadmi say darrtay ho..
    Aadmi to tum bhi ho, aadmi to hum bhi hai'n..
    Aadmi zubaa'n bhi hay, aadmi bayaa'n bhi hay..
    Is say tum nahee'n darrtay..
    Harf aur ma'ani k rishhta haa-e-aahan say..
    Aadmi hay waabasta..
    Us say tum nahee'n darrtay..
    "An-kahi" say darrtay ho..
    Jo abhi nahee'n aaii us gharri say darrtay ho..
    Us gharri ki aamad ki aa-gahi say darrtay ho..
    Pehlay bhi to guzray hai'n...
    Daur na-rasaaii k, Bay-riya khudaaii k..
    Phir bhi yeh samajhtay ho, hoge AARZOO mandi..
    Yeh shab-e-zubaa'n bandi, hay raah-e-khuda-wandi..
    Tum mager yeh kya jaano..
    Lab ager nahee'n hiltay..
    Haath jaag uth'tay hain..
    Haath jaag uth'tay hain raah ka nishaa'n ban ker..
    Noor ki zubaa'n ban ker..
    Haath bol uth'tay hain subha ki azaa'n ban ker..
    aushni say darrtay ho..
    Shay'her ki faseelo'n may..
    Deyo ka jo saaya tha, paak ho gaya aakhir...
    Raat ka libaada bhi...
    Chaak ho gaya aakhir, khaak ho gaya aakhir...
    Azdahaam-e-insaa'n say fardi nawa aaii...
    Zaat ki sadaa aaii...
    Raah-e-shauq may jaisay rah-ro ka khoon lapkay...
    Ik naya junoo'n lapkay...
    Aadmi chhalak utthay...
    Aadmi ha'nsay daikho, shay'her phir basay daikho...
    Tum abhi say darrtay ho...!!!

    31
    kia baynaam uljhun hai
    na janay aagha'i aur khawab k mabeen kaisa masla hai
    k her takhleeq say pehlay
    ajab ik khoof dil ko ghair layta hai
    mujhay mehsoos hota hai
    mae apni akhri tehreer likhnay ja rahi hoon
    sukhun ki shab k mathay per
    wo meray naam k jitnay sitaray thay
    wafa k istaa'ray thay
    sub apni umer pori kr chukay hain
    yehi dharka sa rehta hai
    k jitnay shair likhay thay
    jinhien mae
    apnay honay ki gawahi ki terha mehsoos kerti thi
    ye ab na likhay jaien gay
    ye ab na soochay jaien gay
    mri nazmien
    jo ab tak ARZOON ka sunhairA AKus bun ker jhilmilati thien
    mohabbat ki zaminoon per utertay
    hijer k aur wisl k sub mosamoon ki baat kerti thien
    unhien tehreer kernay ka hunar bhi bhool jaon gi
    gumaan ye bay'sabati ka
    yaqeen bun bun k her lamha
    badi shiddat say meray zehan ka damun hilata hai
    yehi bawer kerwata hai
    k herf o lafz ka jitna aasasa tha
    fana ki serhadoon per hai
    sukhun sachaii ka sara tafakher tootnay ko hai
    mohabbat roothnay ko hai
    ye kia bynaam uljhun hai
    k her takhleeq say pehlay
    ajub ik khoof dil ko ghair layta hai
    mujhay mehsoos hota hai
    mae apni akhri tehreer likhnay jaa rahi hoon!!!!

    32
    ye kia baynaam uljhun hai
    na janay aagha'i aur khawab k mabeen kaisa masla hai
    k her takhleeq say pehlay
    ajab ik khoof dil ko ghair layta hai
    mujhay mehsoos hota hai
    mae apni akhri tehreer likhnay ja rahi hoon
    sukhun ki shab k mathay per
    wo meray naam k jitnay sitaray thay
    wafa k istaa'ray thay
    sub apni umer pori kr chukay hain
    yehi dharka sa rehta hai
    k jitnay shair likhay thay
    jinhien mae
    apnay honay ki gawahi ki terha mehsoos kerti thi
    ye ab na likhay jaien gay
    ye ab na soochay jaien gay
    mri nazmien
    jo ab tak ARZOON ka sunhairA AKus bun ker jhilmilati thien
    mohabbat ki zaminoon per utertay
    hijer k aur wisl k sub mosamoon ki baat kerti thien
    unhien tehreer kernay ka hunar bhi bhool jaon gi
    gumaan ye bay'sabati ka
    yaqeen bun bun k her lamha
    badi shiddat say meray zehan ka damun hilata hai
    yehi bawer kerwata hai
    k herf o lafz ka jitna aasasa tha
    fana ki serhadoon per hai
    sukhun sachaii ka sara tafakher tootnay ko hai
    mohabbat roothnay ko hai
    ye kia bynaam uljhun hai
    k her takhleeq say pehlay
    ajub ik khoof dil ko ghair layta hai
    mujhay mehsoos hota hai
    mae apni akhri tehreer likhnay jaa rahi hoon!!!!

    ZAIB

    33
    Kabhii kabhii merey dil me Khayaal aataa hai
    Ke!
    zindagii teri zulfon ke narm chaaon me
    guzarne paati to shaadaab ho bhi saktii thii...!!!!
    ye teeragi jo meri zeest ka muqaddar hai
    terii nazar ki shu?aaon me kho bhi sakti thii...!!!!
    Ajab na thaa ! ke main begaana-e-alam ho kar
    terii jamaal ki ra?anaaiyoo me kho rahtaa...!!!!
    teraa gudaaz badan terii neembaaz aakhein
    inhee haseen fasaano me mahv ho rahtaa...!!!!

    Pukaarti mujhe jab talkhiyaa zamaane ki
    terey labo se halaavat ke ghoont pee letaa...!!!!
    hayaat cheekhti phirti barhanaa sar aur main
    ghaneri zulfon ke saaye me chup ke jee letaa...!!!!

    Magar ye ho na sakaa !
    aur ab ye ? aalam hai
    k tu nahii ...!!
    tera Ghum ! , teri justajoo bhi nahii...!!!!
    guzar rahii hai kuchh is tarah zindagii jaise
    ise kisii ke sahaare ki Aarzoo bhi nahii...!!!!
    Zamaane bhar ke dukho ko lagaa chukaa ho gale
    guzar rahaa hu kuch anjaani rah-guzaaro se,
    muheeb saaye merii simt barhte aate hain
    hayaat-o-maut ke purhaul khaar_zaaro se...
    Na koii jaadaa...
    na manzil....,
    na roshnii ka suraag...
    bhatak rahii hai Khalaa_oo me zindagii meri...!!!!
    inhii Khalaao me rah jaaoun_gaa kabhii kho kar
    main jantaa hu merii ham_nafas magar yuuN hi
    Kabhi kabhi merey dil me Khayaal aataa hai..........

  2. #2
    szaib's Avatar
    szaib is offline Senior Member+
    Last Online
    23rd December 2009 @ 01:12 AM
    Join Date
    19 Sep 2008
    Age
    34
    Posts
    339
    Threads
    70
    Credits
    1,045
    Thanked
    0

    Default

    wah kia bat hai hai ak bhii kisi ko pasand nahii aaya .... good

  3. #3
    muzafarmohsin is offline Advance Member
    Last Online
    20th September 2019 @ 04:41 PM
    Join Date
    03 Jul 2006
    Posts
    5,561
    Threads
    731
    Credits
    78
    Thanked
    134

    Default

    Quote szaib said: View Post
    wah kia bat hai hai ak bhii kisi ko pasand nahii aaya .... good
    Phir Maayussi....?Apnaa Asal Naam Bataaen.....Agar Nahhi Batanaa To...Us Ke Aagge TAKHALLUS....MAYOOS Rakh Len.......Jaisse.................................. ...............muzafarmohsin maayoos......Yaah...MAYOOS BADAYUNNI.....

  4. #4
    dejavu's Avatar
    dejavu is offline Senior Member+
    Last Online
    19th March 2010 @ 03:22 AM
    Join Date
    15 Aug 2007
    Posts
    294
    Threads
    68
    Credits
    1,000
    Thanked: 1

    Default

    bohat khoob sharing hai ji
    اِحتیاط سے پھینکو سنگ بدگُمانی کے
    دوستی کے آئینے ان سے ٹُوٹ جاتے ہیں

  5. #5
    wanted's Avatar
    wanted is offline Junior Member
    Last Online
    19th February 2009 @ 04:26 PM
    Join Date
    05 Nov 2008
    Age
    34
    Posts
    16
    Threads
    1
    Credits
    1,045
    Thanked
    0

    Default

    muzafarmohsin

    me samjha nahii. explain pls

  6. #6
    $unny's Avatar
    $unny is offline Senior Member+
    Last Online
    18th October 2012 @ 09:32 AM
    Join Date
    13 Dec 2008
    Location
    IN YOUR HEART...
    Age
    33
    Posts
    274
    Threads
    11
    Credits
    940
    Thanked
    0

    Default

    ye shair hain ya phr writing practice ki hy????????????

  7. #7
    Rashid Jan's Avatar
    Rashid Jan is offline Advance Member
    Last Online
    25th December 2022 @ 04:34 AM
    Join Date
    20 Jul 2008
    Location
    ur Dreams
    Age
    35
    Gender
    Male
    Posts
    3,889
    Threads
    49
    Credits
    85
    Thanked
    70

    Default

    es se aap book chupwa sakte ho poetry he sab mein bahar ki word bhut use kiya gaya he bahar ke naam se poetry ki book nikal lo


    nice sharing

  8. #8
    KakaBalli2 is offline Senior Member+
    Last Online
    25th December 2008 @ 06:23 AM
    Join Date
    18 Dec 2008
    Posts
    30
    Threads
    3
    Credits
    0
    Thanked
    0

    Default

    بہت شکریہ۔۔۔۔۔۔۔۔۔۔۔۔۔۔۔۔۔۔۔۔۔۔۔۔۔۔۔
    بہت ہی اچھا لکھا ۔۔۔۔۔۔۔۔۔۔۔۔۔۔۔۔

  9. #9
    Hope's Avatar
    Hope is offline Advance Member
    Last Online
    7th January 2020 @ 04:18 PM
    Join Date
    25 Jan 2009
    Location
    Islamabad
    Gender
    Male
    Posts
    17,405
    Threads
    750
    Credits
    74
    Thanked
    212

    Default

    So Nice

    Thanks For Sharing

Similar Threads

  1. Ik Shair
    By adnanhussain in forum Urdu Adab & Shayeri
    Replies: 4
    Last Post: 27th November 2010, 02:46 AM
  2. Shair
    By ~!~RaBi$h~!~ in forum Urdu Adab & Shayeri
    Replies: 2
    Last Post: 15th February 2010, 08:52 PM
  3. 2 shair
    By ~*SEEP*~ in forum Urdu Adab & Shayeri
    Replies: 6
    Last Post: 1st October 2009, 07:11 AM
  4. isi ko agar es shair se pehle wala shair yaad ho,plz help
    By M.Jawad in forum Urdu Adab & Shayeri
    Replies: 12
    Last Post: 13th June 2009, 08:58 PM

Bookmarks

Posting Permissions

  • You may not post new threads
  • You may not post replies
  • You may not post attachments
  • You may not edit your posts
  •