Kar na duniya-e-ghum k hawalay mujhko,
.
Main tabassum hun to honton pe saja le mujhko,
.
Tu mila hy to yehi khof laga rehta hy,
.
Mera milna kisi uljhan me na dalay tujhko,
.
Is yaqeen par hi andheron me safar jari hy,
.
Mil hi jayen gay kisi roz ujalay mujhko,
.
Teri dosti ne to majboor kiya jeenay par,
.
Ab tera piyar kahin maar na daalay mujhko,
.
Be niyaazi ka ye Andaza nhi kuch bhi
"Mohsin"
.
Baat to tab hai k tu DIL se na nikalay mujh ko...!
Bookmarks