Mila wo bhi nahi kartay,
mila hum bhi nahi kartay.
Bewafai wo bhi nahi kartay,
Bewafai hum bhi nahi kartay.
Unhein ruswai ka dukh hai,
Humain tanhai ka dukh hai.
Gila wo bhi nahi kartay,
Gila hum bhi nahi kartay.
Gali k kisi morr pe aksar,
Takrao ho hi jata hai.
Ruka wo bhi nahi kartay,
Ruka hum bhi nahi kartay.
Unhain jab dekhtay hein,
Sochtay hein kuch kahain un se.
Suna wo bhi nahi kartay,
Kaha hum bhi nahi kartay.
Humain wo dekhtay hein,
Unhain hum dekhtay hein.
Raha wo bhi nahi kartay,
Raha hum bhi nahi kartay.
Bookmarks