Page 1 of 2 12 LastLast
Results 1 to 12 of 14

Thread: *~*Khurram's Collection*~*

  1. #1
    mkhurram2k7 is offline Senior Member+
    Last Online
    23rd July 2011 @ 06:07 PM
    Join Date
    02 Nov 2008
    Posts
    48
    Threads
    9
    Credits
    990
    Thanked
    0

    Default *~*Khurram's Collection*~*

    Tootey Huwe Khuwabon Ne Hum Ko Yeh Sikhaya Hai
    Dil Ne Jise Paya Tha Aankhon Ne Ganwaya Hai

    Kya Apni Tammanna Thi Kia Samne Aya Hai
    Dil Ne Jise Paya Tha Aankhon Ne Ganwaya Hai

    Tootey Huwe Khuwabon Ne Hum Ko Yeh Sikhaya Hai
    Dil Ne Jise Paya Tha Aankhon Ne Ganwaya Hai

    Lot Aii Sadda Meri Takkra K Sitaroon Se
    Ujri Hui Dunya K Sunsaan Kinaroon Se

    Tootey Huwe Khuwabon Ne Hum Ko Yeh Sikhaya Hai
    Dil Ne Jise Paya Tha Aankhon Ne Ganwaya Hai.......

  2. #2
    mkhurram2k7 is offline Senior Member+
    Last Online
    23rd July 2011 @ 06:07 PM
    Join Date
    02 Nov 2008
    Posts
    48
    Threads
    9
    Credits
    990
    Thanked
    0

    Default


    Ye husn tera ye ishq mera
    Rangeen to hai badnaam sahi
    Mujh par to Kai ilzaam lage
    Tujh par bhi koi ilzaam sahi

    Is raat ki nikhari rangat ko
    Kuch aur nikhar jaane de zaraa
    Nazaron ko bahak jaane de zaraa
    Zulfon ko bikhar jaane de zaraa
    Kuch der ki hi taskiin sahi
    Kuch der kaa hi araam sahi

    Jazbaat ki kaliyaan chunna hai
    Aur pyaar ka tohfa dena hai
    Logon kii nigaahin kuch bhi kahen
    Logon se hamen kyaa lenaa hai
    Ye Khaas taaluq aapas kaa
    Duniyaa ki nazar men aam sahi

    Rusavaai ke Dar se ghabaraa kar
    Ham tark e vafaa kab karate hain
    Jis dil ko basaa Len pahalu mein
    Us dil ko judaa kab karate hain
    Jo hashr huaa hai laakhon kaa
    Apanaa bhi vahi anjaam sahi

    Ye husn teraa ye ishq meraa
    Rangeen to hai badnaam sahi
    Mujh par to Kai ilzaam lage
    Tujh par bhii koi ilzaam sahi

  3. #3
    mkhurram2k7 is offline Senior Member+
    Last Online
    23rd July 2011 @ 06:07 PM
    Join Date
    02 Nov 2008
    Posts
    48
    Threads
    9
    Credits
    990
    Thanked
    0

    Default

    Na thi JISKO mere pyaar ki kadar...
    Humnay Dil Tora Dharkanoun Kay Khauf Say
    Apni Basti He Mita Di Barishoun Kay Khauf Say
    Kon Kehta Hai Hamein Mohabbat Ras Agaye?
    Hum Tu Youn He Hans Daitay Hain Ansoun Kay Khauf Say

    Jab bhi yaad aate ho ye nazrain jhuka leta hon,
    Bheegi bheegi palkon se Tumhe hoton tak la leta hon,
    Tumse jo kuch keh na paya khud se woh sab kehta hon,
    Guzri lamhe guzri baton ko yaad karta rehta hon,
    Dil main bebasi nazron ki berukhi si khamoshi ko apna leta hon,
    koi khol na de ye raaz ko daar ke nazrain hi jhukaye rakhta hon..

    Har baar apki salamati ki dua karenge,
    teri arzoo main apni hasti fanaah karenge,
    tum chahe daman bachalo humse lekin....
    Hum marte dum tak aapse wafa karenge!

    Kuch rahe na rahe, teri mohabbat ka sahara rahe
    Pyar main dooba, hamesha ye dil hamara rahe
    Khushian teri, sare ghum mere hon dua yehi hai
    Ankhoon main, sada chehra tumhara rahe

    Intezaar rehta har shaam tera,
    yaadain katati hain le-le kar naam tera...
    Muddat se baithe hain yeh aas paale,
    Ki aaj aayega koi paigaam tera....

    Na thi JISKO mere pyaar ki kadar...
    Itefaq se USSI ko chah rahe they hum...
    Usi diye ne jalaya mere hathon ko,
    Jisko hawa se bacha rahe they hum.!

    Waqt aur khushi tere Gulam Honge,
    Har Pal aur Pehlu Tere Hi naam Honge,
    Jara Mud Kar Dekhna Mere Dost,
    Tere Har Kadam ke neechemere hatho ke nishan Honge...

  4. #4
    mkhurram2k7 is offline Senior Member+
    Last Online
    23rd July 2011 @ 06:07 PM
    Join Date
    02 Nov 2008
    Posts
    48
    Threads
    9
    Credits
    990
    Thanked
    0

    Default

    Bas Yaad Saath Hai



    Dil gumao ke alam se farmaa raha hai,
    Ki ab to use bhul ja jiski justju karta hai,
    meine dekha hai teri tanhani ko jo ab muje chubti hai,
    teri yaadon mein aaj bi woh tasveer kyu dekhti hai,
    dekh kar teri is bekudi aur khumar ko ab to ...
    dil..dil se faryad karta hai..sambhal ja
    kyu tu abi bi us se milne ki ahass karta hai..
    yeh jankar bi jo is ka kabhi hua hi nahi...
    jane kyu itni hadd tak use yeh pyar karta hai...
    par mein ise dil ko kaise samjhun ki
    ab mera sakun to is tanhai mein hi jiya karta hai

    "bas yaad saath hai"

  5. #5
    mkhurram2k7 is offline Senior Member+
    Last Online
    23rd July 2011 @ 06:07 PM
    Join Date
    02 Nov 2008
    Posts
    48
    Threads
    9
    Credits
    990
    Thanked
    0

    Default

    Wafa ke waday woo saray bhula gaiya chup chap
    Woo mairay dil ki dewarein hila gaiya chup chap

    Gham e hiyaat Kai taptay howay biyanban main
    Wo tanha choor Kai mujh ko chala giya chup chap

    Na jannay kon as wo badnaseeb lamha tha
    Jo gum ki aag mai mujh ko jala gaiya chup chap

    Mai jis ko chuti houn eshrat woo zakhm daita hey
    Woo phool aisay chaman mai khila gaiya chup chap

    Wafa ke waday woo saray bhula gaiya chup chap
    Woo mairay dil ki dewarein hila gaiya chup chap

  6. #6
    mkhurram2k7 is offline Senior Member+
    Last Online
    23rd July 2011 @ 06:07 PM
    Join Date
    02 Nov 2008
    Posts
    48
    Threads
    9
    Credits
    990
    Thanked
    0

    Default

    Kash-m-kash se guzrti, uthti, girti
    Yeh mohabbet aaj rang laye hai
    socha na tha rah main saath dete dete
    tum zindgi mein hamsafar banjaoge

    baithi hun reet main seepe batorti
    aur samundr ke thandi lahere tan ko chuti hai
    socha na tha panch tantra ke is khel main
    saath mere itni door chale aaoge

    Mere baabul ko mili hai aaj kushi
    Apni beti ke haatn unhe peele karne hai
    Socha na tha is asat mohabbet ko dil se laga
    tum kayamat tak mere saath nibhaoge

    tere khayalo main gumsum hun baithi
    hawa ke jokhe mere zulfo ko bahekate hai
    socha na tha yuh lajja jayengi yeh aakhen
    tum jab mere deedar ki preet manaoge

  7. #7
    mkhurram2k7 is offline Senior Member+
    Last Online
    23rd July 2011 @ 06:07 PM
    Join Date
    02 Nov 2008
    Posts
    48
    Threads
    9
    Credits
    990
    Thanked
    0

    Default

    @#@#@>>> WEERAN AANKHE <<<@#@#@


    Na Jane Dhoondtay Ho Kya Meri Weeran Aankhon Mein
    Chupa Rakhay Hum Ne To Kai Toofaan Aankhon Mein

    Kahan Woh Shokhiyan Pehlay Si,Ab Kuch Bhi Nahin Baqi
    Chalay Aaye Ho Tum Kya Khojnay In Be-jaan Aankhon Mein

    Kisi Ka Haath Lekar Haath Mein Jab Tum Mile Hum Se
    To Kaise Toot Ke Bikhra Tha Mera Maan Aankhon Mein

    Na Samjho Chup Hain To Tum Se Koi Shikwa Nahi Baqi
    Hum Apne Dard Ki Nahi Rakhte Koi Pehchaan Aankhon Mein

    Milay The Baad Muddat Ke Humain Tum Ajnabi Ban Kar
    To Kaise Dard Na Uthta Meri Hairaan Aankhon Mein
    Nahi Ab Phir Se Koi Raabta Rakhne Se Kuch Haasil
    Ke Ab Dafna Diye Hum Ne Sabhi Armaan Aankhon Mein…!!

  8. #8
    mkhurram2k7 is offline Senior Member+
    Last Online
    23rd July 2011 @ 06:07 PM
    Join Date
    02 Nov 2008
    Posts
    48
    Threads
    9
    Credits
    990
    Thanked
    0

    Default

    Mujhe Baahon Mein Bikhar Jaane Do..........

    Mujhe baahon mein bikhar jaane do
    Apni mushkabaar saason se mehek jaane do…

    Dil machalta hai aur saans rukti hai,
    Ab toh seene mein aaj mujhe utar aane do
    Apni mushkabaar saason se mehek jaane do…

    Shokh nazron ko sharm aati hai,
    Thartharaate hue labon ko chain paane do
    Apni mushkabaar saason se mehek jaane do…

    Raat tanha hai aur sard mausam hai,
    Shola-e-ehsaas ko ab aur bhadak jaane do
    Apni mushkabaar saason se mehek jaane do…

    Behke hain hum fizaa jo behki hai,
    Dil ko dil rooh ko rooh mein sama jaane do
    Apni mushkabaar saason se mehek jaane do…

    Bikhre gesu hain bikhra kaajal hai,
    Haule haule is shab ko tum guzar jaane do
    Apni mushkabaar saason se mehek jaane do…

    Abhi aur bhi armaan dil me baaki hai,
    Yuhin baahon mein is raat ko kat jaane do
    Apni mushkabaar saason se mehek jaane do…

    Mujhe baahon mein bikhar jaane do
    Apni mushkabaar saason se mehek jaane do

  9. #9
    mkhurram2k7 is offline Senior Member+
    Last Online
    23rd July 2011 @ 06:07 PM
    Join Date
    02 Nov 2008
    Posts
    48
    Threads
    9
    Credits
    990
    Thanked
    0

    Default


    KAHAN KHO GAYE HO TUM ? ? ?



    kahan kho gaye tum na
    jane kahan kho gaye tum?



    chhoti si iss pagdandi pe
    ek sath chale the hum
    bich raah mein chhod ke mujhko
    kahan kho gaye tum???



    hariyali ho ya suukha
    har haal mein sath nibhayenge
    har haal mein sath nibhane ka wada
    kyun tod gaye ho tum??


    baarish ki wo tap-tap bundein
    jo hum dono ko hi bhati thin
    uss baarish mein akela bhigne mujhko
    kyun chhod gaye ho tum??


    thandi hawa wo chandni raatein
    jaage the hum sath mein
    un thandi raaton ko
    aansuon mein
    kyun dubo gaye ho tum??



    saagar kinare bitaaye
    the jo lamhe
    wo zara tum yaad karo
    unn pyaar bhare lamhon ko kaise
    jhuta keh gaye ho tum!!



    dekha tha tumhari
    aankhon mein
    pyar maine dher sara
    meri ek galti k liye mujhe
    un nazron se
    gira gaye ho tum!!


    dhadakta tha dil tumhara
    sirf mere khyal se
    aaj apni unhi dhadkanon ko
    nazar andaz kar rahe ho tum!!



    jeete the hum sada
    khwabon ki hi duniya mein
    meri zindagi ko hakikat k
    hathon soump gaye ho tum!!


  10. #10
    Shaikh Brothers's Avatar
    Shaikh Brothers is offline Senior Member+
    Last Online
    11th September 2013 @ 09:52 AM
    Join Date
    17 Jun 2009
    Location
    Karachi...
    Posts
    6,997
    Threads
    202
    Credits
    975
    Thanked
    315

    Default

    Well Come To It Dunya

  11. #11
    M-Qasim's Avatar
    M-Qasim is offline Advance Member+
    Last Online
    7th September 2022 @ 07:41 PM
    Join Date
    22 Mar 2009
    Gender
    Male
    Posts
    33,351
    Threads
    915
    Credits
    1,718
    Thanked
    3391

    Default


    TO ITDUNYA


    STAY HERE FOR
    LEARN AND SERVE



  12. #12
    masoom no 1 is offline Member
    Last Online
    19th August 2017 @ 06:52 PM
    Join Date
    21 Oct 2007
    Location
    belgium
    Posts
    8,935
    Threads
    239
    Thanked
    586

    Default

    Well Come To It Dunya

Page 1 of 2 12 LastLast

Similar Threads

  1. ~*~*Khurram's Collection*~*~
    By mkhurram2k7 in forum Roman Urdu Poetry
    Replies: 32
    Last Post: 24th July 2022, 04:34 AM
  2. I am Khurram
    By Soldier2 in forum Introduction
    Replies: 16
    Last Post: 3rd August 2020, 05:27 PM
  3. اسے کہنا (Khurram Shahzad Khurram ki Nazam)
    By phototech81 in forum Urdu Adab & Shayeri
    Replies: 23
    Last Post: 29th November 2010, 12:06 AM
  4. Khurram
    By khurramsky in forum Introduction
    Replies: 16
    Last Post: 13th July 2010, 08:26 AM
  5. 2000 + Khurram Shehzad Khurram
    By TheMask in forum Greetings
    Replies: 33
    Last Post: 21st February 2007, 02:33 PM

Bookmarks

Posting Permissions

  • You may not post new threads
  • You may not post replies
  • You may not post attachments
  • You may not edit your posts
  •