Slam Dosto,

Mai ne ask an expert me ek software ki request ki the jo ke store keeping k hawaly se tha, to kuch dosto ne Excel me sheet bananay ko kaha, Unki Hidayt pe amal krty huay mai ne ek sheet bana to li magar us me mujhay aik aik item k lie kafi mehnat karna parti hai, ek dost ne mujhay formulas use karnay ko kaha, mai ne uske mshwaray per bhi amal kia, Ab problem yeh hai k mai ne sppliers ki mukamal list bana li hai, aur unki janib se wasool honya walay main items ki bhi.
,
Ab mai chahta yeh hoon k mujhay wo formula bataya jaye jis se agar mai supplier Column me spllier name put karoon to next colum jo k items ka hai us me us supllier se related item automatically aa jayen. jahan tak mera zehn jata hai us me IF ka funtion use hoga, magar uska acript kia hoga mujhay mujahy kuch samjh nai aarahi,
For example
agar aik cell ki value A1 hai to us se next column me auto matically B1 aa jaye, aur agar usi cell ki value A2 hai to next column me B2 aa jaye.

please any body help me,