Assalam O Alaikum...

bhai meri problem yeh hai k meray paas noka N73 set hai jab main data cable k zarye us ko pc k saath connect karta hoon to.... phir mob say to computer mein kuch bhi copy ho jata hai ... lakin jab main pc say mob mein kerta hoon to woh aik error de deta hai .... write-protect ka... aur na he memory card format hota hai pc say... main us error ki pic neechay lagha deta hoon...

plz yaar ager kisi bhai ko iss error k hall ka tareeka maloom ho to yaar plz share karien...

thanx