Page 2 of 2 FirstFirst 12
Results 13 to 17 of 17

Thread: pleasee tell me

  1. #13
    SHonas's Avatar
    SHonas is offline Advance Member+
    Last Online
    2nd December 2021 @ 10:42 PM
    Join Date
    20 Sep 2013
    Location
    Karachi
    Gender
    Female
    Posts
    11,115
    Threads
    287
    Credits
    3,413
    Thanked
    1722

    Default

    Quote saika said: View Post

    thank you so much. so much thankssss ik or baat pochni hai kahani lalach buri bala hai koi achi si or choti kahani hai tu bata dain please or yai essay urdu main likh dain na idre pleaseeeeeeeeeeeeeeeee;;;
    hahahahahha Saika bacha bary ho k kia krna hy apny
    ye essay dya to hy mene apko
    ap esy dekh k esy urdu me likho
    atleast khud b kch krlo beta
    ap mazeed lalach na kro k koi apko sara ka sara kaam kr dy
    ye achi bat nhe hy

  2. #14
    Mehboob5157 is offline Member
    Last Online
    1st August 2015 @ 07:39 AM
    Join Date
    26 Sep 2014
    Age
    27
    Gender
    Male
    Posts
    133
    Threads
    26
    Thanked
    8

    Angry yar f.a first year k result kb ae ga

    Help me

  3. #15
    lhrmirpur is offline Senior Member+
    Last Online
    8th July 2018 @ 02:00 AM
    Join Date
    07 Mar 2015
    Age
    28
    Gender
    Male
    Posts
    203
    Threads
    1
    Credits
    0
    Thanked
    2

    Default

    very good

  4. #16
    M.shawal's Avatar
    M.shawal is offline Advance Member
    Last Online
    8th February 2020 @ 11:57 AM
    Join Date
    15 Apr 2016
    Location
    Dera ismailkhan
    Age
    39
    Gender
    Male
    Posts
    6,306
    Threads
    414
    Credits
    8,468
    Thanked
    315

    Default

    تھنکس
    (ہر دوسرے انسان کی مدد)

  5. #17
    Join Date
    16 Aug 2009
    Location
    Makkah , Saudia
    Gender
    Male
    Posts
    29,910
    Threads
    482
    Credits
    148,896
    Thanked
    970

    Default

    Quote SHonas said: View Post
    Essay
    Science K Karishme

    Insan ashraf ul makhloqaat ha. Ye sharf usay is liye hasil hai ke usay ilm jesi naimat se nawaza gaya hai. Science ilm ka hi aik shoba hai. Insan ne science ki badolat is qadar taraqi hasil kar li hai ke science ke in karnamon par hairat hoti hai.
    Insan ne jo aaj tak taraqi ki manazil hasil ki hain woh science hi ki marhon-e-minnat hain aur abhi taraqi ka ye silsila jari hai.

    Science Ki Ijadat:
    Rail Gari:
    Motor Car:
    Behri Jahaz:
    Hawai Jahaz
    Television, Radio
    Telephone, Wireless:
    Doorbeen, Khurdbeen:
    Computer:
    X-Ray
    Radar:
    Bijli
    Atomi Tawanai
    Mawaslati Siyara
    Science Ka Manfi Imtemal


    Rail Gari: (Train) Zaraye amdoraft main rail gari ki ijaad ne aik inqilab paida kar diya, is ke zariye taweel faslay simat kar reh gaye aur mahinon ka safar dinon main aur dinon ka safar ghanton main tay honay laga aur safar jisay aik azaab tasawar kiya jata tha, is main pebanah asayeshain aur sahulatain paida ho gayi hain. Ye logon ko aik jagah se dusri jagah kaseer tadad main lay janay ka mosar zariya hai aur is ke zariye bhari samaan ki naqal-o-hamal main bohat asani paida ho gayi hai. Ab barqi train ne aik aur inqilab paida kar diya hai aur woh railway line ki bajaye faqat aik line ke zariye chalayi ja rahi hai.

    Motor Car:
    Zaraye amdoraft main motor car aik aur mufeed sciency ijaad hai. Jin muqamaat par rail gari ka pohanchna mushkil hai wahan motor car ba'asani istimal ho sakti hai. Is ka istimal waqt guzarnay ke sath teezi se bharh raha hai aur ye aaj ke insanon ke liye aik zaroorat ban kar reh gayi hai. Motor car ki kayi qismain hain maslan bus, truck, wigon, suzuki, pickup, wagera. Jin ke zariye logon aur maal asbab ki naqal-o-hamal ke liye behad asani paida ho gayi hai. In ke naye naye model market main arahay hain.

    Behri Jahaz: (Ship) Behri jahaz aik mufeed aur mosar sciency ijaad hai. Is ke zariye insan ne gehre aur zarkhar samandaron ki wusaton ko samait kar rakh diya hai. Youn maloom hota hai ke aik puray ka pura shehar samundar ki mojon aur thapairon se khailta howa janib mazil hota hai. Jahazon ki beshumar qismain wajod main achuki hain aur in main musalsal izafa ho raha hai. Ye jahaz logon aur bhari samaan ki naqal-o-hamal ke liye bohat karamad hain. Jangi Jahaz Difa ke liye behad zaroori hai. Abdoz aur tarpaid waghera bhi difai maqasad ke liye istimal ki jati hain.

    Hawai Jahaz: (Aeroplane)
    Hawai jahaz aik herat angaiz sciency ijaad hai. Aik zamana tha ke insan bari hasrat se parindon ko asman ki wusaton main parwaz kartay dekhta tha lekin aaj woh khud in fizaon main mahu parwaz hai. Hawai jahaz ke zariye dunya simat kar reh gayi hai. Ab maheenon aur hafton ka safar ghainton main minaton main tay honay laga hai aur is ke zariye insan ka bohat sa qeemti waqt bach jata hai. Hawai jahaz, sehra, jungle aur samandaron se benazay ho kar khuli fizaon main parwaz karta hai. Keht zada aur musibad zada elaqon main hawai jahazon aur helicopter ke zariye ghaza aur zaroori samaan pohanchaya ja sakta hai. Hawai jahaz ki beshumar qismain wajod main arahi hain. In main sawari ke aur jungi jahaz bhi shamil hain jin ke naye naye model maraz-e-wajood main arahe hain.

    Television, Radio:
    Radio aur television is jadeed door ki hairat angez ijadaat hain. Hum radio ke zariye apne kamre main baithay howe mulki khabrain aur deegar programme sunn saktay hain aur is tarah har qisam ke halaat se bakhabar rehtay hain. Tv is silsilay main aik aur hairat angaiz izafa hai. Yani hum mehez awaz sun'nay ki bajaye bolnay wale ki tasweer bhi samne dekh saktay hain. Aaj ki dunya main radio, tv ke beshumar fayeday hain.

    Telephone, Wireless: Telephone aur wireless bhi dor-e-jadeed ki hairat angez ijadaat hain. In ijadaat ne paigham rasani ke kaam ko bohat asaan aur sehal bana diya hai. In ke beshumar karobari, siasi, muashrati, difai fawaid hain.

    Doorbeen, Khurdbeen:
    (Telescope, Microscope) Doorbeen aur khurdbeen bhi science ki ajeeb-o-ghareeb ijadat hain. Ab aysi aysi doorbeenain ijaad ho chuki hain jin ke zariye fizaon aur sayaron ke baray main naye naye inakshafat ho rahe hain aur khurdbeen ke zariye hum aisi cheezon ka baasani mushahida kar saktay hain jo aam asani aankh ki garift main nahin asaktien.

    Computer:
    Computer jadeed door ki aik hairat angez ijad hai. Is ke zariye adaad-o-shumar ke hisab kitab main mojzana toor par taraqi ho chuki hai. Ab is ka istimal zindagi ke mukhtalif shobon main aam ho gaya hai.

    X-Ray:
    Xray ke zariye insan ki aisi androni bimariyon ki tashkhees ho jati hai jo bazahir aik amar mahaal hai. Is ke ilawa science ki hi badolat ilaaj ke behtareen aur bhi kaye tareeqay wajood main achukay hain.

    Radar:
    Radar aik aur hayrat angaiz ijaad hai. Ye goya aik masheeni aankh hai. Jo fiza main hawai jahaz ki mojoodgi ka paishgi mushahida kar leti hai aur is tarah dushman ke fazai hamlay ko roka ja sakta hai aur hawai jahaz ko tabah kiya ja sakta hai.

    Bijli (Electricity):
    Aik zamana tha jub asmani bijli karakti thi tou insan dahel jata tha, lekin ab wohi bijli insan ke qabu main main aur us ki kaneez ban kar us ke sainkron kaam sar anjam deti hai. Door-e-jadeed ki taraqi aur khushhali ka bohat khuch daromadar bijli par hai. Yehi hamari raat ko din main badal deti hai. Isi se hamare karkhanayaur factoriyan chalti hain. Yehi zaraat aur sanat ki taraqi ka zariya hai.

    Atomi Tawanai (Atomic Energy):
    Abadi main izafa aur bharhti hoi insani zarooriyaat ke paish-e-nazar bijli ki tawanai nakafi sabit ho rahi hai. Is liye ab insan atmi tawanai ko baroyekar la raha hai. Ye atomi tawanayi bepanah paidawari salahiyat rakhti hai aur is door main koi qaum apni raftar taraqi ko is ke baghair barqarar nahin rakh sakti.

    Mawaslati Siyara (Communication satellite):
    Jadeed door ki aik aur aham ijaad mawaslati sayara hai. Is ke zariye mausam ka haal maloom kiya jata hai aur tv par banalaqwami programme (international programme) dekhe ja saktay hain.

    Science Ka Manfi Imtemal (Wrong use of science): Science bazat-e-khud aik achi cheez hai lekin is ka ghalat istemal beshumar tabahi aur barbadi aur halakat ka sabab banti hai maslan aisay tabah kun jangi hathyar aijad ho chukay hain jo dunya ko khatam kar saktay hain. Ban al baraazmi missile aur atom bomb aur hydrogen bomb jesi ijadaat ne insaniat ko tabahi ke dahanay par la khara kiya hai. Zaroorat is baat ki hai ke science ki ijadat ko pur aman maqasid aur tameer o taraqi aur khushhali ke liye istemal kiya jaye
    اعلی

Page 2 of 2 FirstFirst 12

Similar Threads

  1. hellllllllllp experts pleasee
    By aminullah789 in forum Mobile phones problems and Help Zone
    Replies: 4
    Last Post: 25th April 2012, 10:23 PM
  2. help me pleasee
    By bushy81pk in forum Ask an Expert
    Replies: 1
    Last Post: 23rd October 2011, 06:43 PM
  3. Pleasee Solve my Problem
    By Emraan1994 in forum Ask an Expert
    Replies: 6
    Last Post: 2nd July 2009, 05:45 AM
  4. Pleasee Koi Batao Yaro
    By inventer in forum Ask an Expert
    Replies: 3
    Last Post: 24th April 2009, 10:23 PM

Bookmarks

Posting Permissions

  • You may not post new threads
  • You may not post replies
  • You may not post attachments
  • You may not edit your posts
  •